Thought of the day
we all like to spend lots of money on new clothes..!!
But…
Have you ever realised that the best moments in LIFE are enjoyed wihtout colthes.
Thought of the day
we all like to spend lots of money on new clothes..!!
But…
Have you ever realised that the best moments in LIFE are enjoyed wihtout colthes.
Diwali Ke Depak Jag-Magye Apke Angaan Mein
Sat Rang Saje Es Saal Apke Angan Mein
Aya Hay Yeh Tehwaar Kushiyaan Lekar
Hr Kushi Saje Es Saal Apke Angaan Mein
Roshni Sy Ho Roshaan Hr Lumha Apka
Hr Roshni Saje Es Saal Apke Angan Mein
Dua Hum Karte Hain Ap Salmat Rahein
Hr Dua Saje Es Saal Apke Angan Main..!!!
kyon hijr ke shikave karta hai kyon dard ke rone rota hai
ab ishq kiya hai to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai
aagaz-e-musibat hota hai apne hi dil ke shararat se
aankhon mein phul khilata hai talavon mein kanten bota hai
ahabab ka shikwa kya kijiye khud zahir va batin ek nahi
lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai
mALLAHon ko ilzam na do tum sahil wale kya janon
ye tufan kon uthta hai ye kishti kon dubota hai
kya jane kya ye khoyega kya jane kya ye payega
mandir ka pujari jagata hai masjid ka namazi sota hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Hafeez Jullundhri
Woh Log Bohat Hi Achhay Thay
Jo Ishq Ko Kaam Samajhtay Thay
Ya Kaam Se Aashiqui Kartay Thay
Hum Jeetay Jee Masroof Rahay
Kuchh Ishq Kia, Kuchh Kaam Kia
Kaam Ishq Ke Aaray Aata Raha
Aur Ishq Kaam Se Ulajhta Raha
Aur Phir Aakhir Tang Aa Ka Hum Nay
Donon Ko Adhoora Chhor Dia
Apne chere pe khushi k phool sjaya kro,
Gham samndr se bhi gehra ho muskraya kro,
Choti baten jo nfrat ka sabab banti hein,
Meri bat mano unhe bhool jaya kro
Find latest Sair Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Sair Festival 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Sair Festival sms greeting.
The Sair Fair is celebrated at Shimla in Himachal Pradesh, India. It is an extremely popular fair of the area and brings lots of liveliness and fun along with it. The Shimla Sair festival of Himachal Pradesh is celebrated with extreme enthusiasm in the month of September. Himachal Pradesh is already very famous in terms of its culture, fairs and festivals. Throughout the year there are number of fairs dedicated to different seasons that are observed in Himachal Pradesh. Sair fair is one such fair that makes Himachal proud.
One of the main attractions at the Sair fair is the traditional bull fight. The bull fight done here reflects too strongly on the Bull Fight in Athens. This event is organized at Arki in Solan. Although both the bull fights in Himachal Pradesh and in Athens are quite similar, one biggest distinguishing feature is the viewership. In Athens, common men are not allowed to view the event at all, while it is just the opposite in Himachal Pradesh.
Happy Sair Festival Mubarak to all of you from shayari Online Team
AFAIK the series of novels this is established on is still incomplete (on hiatus?), so when the anime quit short, it was rumored that if and when the novels get done, there might be more. Of course quite a bit of time has went since then, so it might be wishful thought at this point… I would enjoy it, though.
Kuch Samaa Madhosh Tha , Aur Hawa Me Josh Tha
Fiza Me Mogre Ki Khushbu Bikhari
Aankhon Ki Guftagun Kuchh Aur Nikhari
Pyaar Ka Faila Tha Jaadu ,Tumko Paane Ki Justzoo
Saath Ke Ehasaas Ki Siharan, Kampata Hua Ye Badan
Jaane Aankhen Kyu Band Thi, Saanese Bhi Kuchh Mand Thi
Tere Badan Ki Garmi Se ,Meri Man Mai Pighlan Thi
Kaan Mai Tum Kaho Kuch Gun Gunakar,
Umangon Ki Jaga Do Fir Se Ek Lahar
Wo Surilee Taan Aao Chhere Aaj Fir Hum
Aaj Fir Gaaye Nayi Taal Par Mera Man
Jaise Bhanware Ne Kaha Hai Phoolo Se
Saawan Ne Kaha Hai Jhulon Se
Dharkanon Se Dharkano Ka Sangam Ho Jab
Payalon Ki Chham Chham Baj Rahi Ho Tab
Sapano Ka Wo Aashiyana Banaye Hum
Koi Phool Na Murjhaye Wo Gulistan Sajaye N Hum
Pyaar Ki Wadiyon Me Haath Thaame Tumhara
Kal Raat Maine Har Ek Pal Is Khuwab Me Gujara
Bus Yahi Sapna Hai Ye Khuwab Mera Poora Ho
Koi Ek Pal Na Aaye Zindgi Me Jo Adhura Ho
Kuchh Is Tarah Gujar Jaye Pyar Ka Safar
Ek Duje Mai Khoye Rahe N Din Bhar Raat Bhar
Tum Jaan Lo Mujhe Na Rahe Koi Rahshya
Hai Khwahish ,Aisa Ho Pyaar Ka Bhavishya
Rafta Rafta Wo Meri Hasti Ka Saamaan Ho Gaye
Pehle Jaan Fir Jaane Jaan Fir Jaane Jaana Ho Gaye
Din Badin Badhti Gayi Is Husn Ki Raanayeeyaan
Phele Gul Fir Gul Badan Fir Gul Badaama Ho Gaye
Aap To Nazdeek Se Nazdeek Tar Aate Gaye
Pehle Dil Fir Dilruba Fir Dil Ke Mehmaan Ho Gaye
Pyaar Jab Had Se Badha Saare Takalluf Mit Gaye
Aap Se Fir Tum Huye Fir Tu Ka Unwaan Ho Gaye
An Interesting Definition of
TODAY
T – This is another
O – Opportunity to
D – Do
A – A work, better than
Y – Yesterday
Namasty Sarkaar, kese ho?
Aaj na Kou msg, aur na miss call ??
.Khairiyat to Hai na ..
Oh AchAa acha Ramzan aa gaya hai..
Aap to qaid ho gaye hogy!
Sorry Eid pe Baat karte hain.
**Devil in Ramadan**
“Living alone is really better than living with fake people who hate y0u but act like loving y0u”
महफील भी रोयेगी, हर दिल भी रोयेगा ,ङुबी जो मेरी कस्ती तो साहील भी रोयेगा ,हम इतना प्यार बीखेर देगे इस दुनीया मे के,मेरी मौत पे मेरा कातील भी रोयेगा……!!
Intezamat naye sire se sambhale jayen
jitne kamzarf hain mehafil se nikle jayen
mera ghar aag ke lapaton mein chupa hia lekin
jab maza hai tere aangan mein ujale jayen
gham salamat hai to pite hi rahenge lekin
pehale maikhane ke halat sambhale jayen
khali vaqton mein kaheen baith ke rolen yaro
fursaten hain to samandar hi khangale jayen
khak mein yun na mila zabt ke tauhin na kar
ye wo aansun hain jo duniya ko baha le jayen
hum bhi pyase hain ye ehasas to ho saqi ko
khali shishe hi hawaon mein uchale jayen
aao shahr men naye dost banayen “rahat”
aastinon mein chalo sanp hi pale jayen
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori
Aaj Bato Bato Main Bhut Dur Nikal Aaye,
Jane Kese Kuch Log Mujh Main Se Kuch Or Nikal Aaye,
Jaha Aakke Kahi Ja Nahi Sakte,
Bhla Kyoun Tum Us Oor Nikal Aaye,
Kal Mehkhane Ne Badi Tesh Main Pukara Hame,
Hum Bhi The Magroor Nikal Aaye
Share By : Pawan Kumar
Adhuri Baatein Jo Kr Gaye Ho
Mere Hi Dill Mein Utar Gaye Ho,
Kis Ki Chahat Ka Yeh Asar Hay
Keh Rehza Rehza Bikhar Gaye Ho,
Tum Hi Tu Ho Jo Humare Dill Ki
Hadun Ko Chu Kar Guzar Gaye Ho,
Humara Thaamo Gey Haath Kiya Tum
Abhi Sy Duniya Sy Dar Gaye Ho,
Chale Gaye Ho Nazar Jhuka Ke
Hamein Deewana Sa Kar Gaye Ho,
Bhool Beithe Ho Ehed Sare
Abhi Sy Kiyun Tum Mukar Gaye Ho,
Dhondti Hy Nazar Yeh Tum Ko
Aa Bhi Jaoo Kidhar Gaye Ho…?
Bebasi Jurm Hai Hausla Jurm Hai
Zindagi Teri Ek Ek Adaa Jurm Hai
Ae Sanam Tere Baare Mein Kuch Soch Kar
Apne Baare Mein Kuch Sochna Jurm Hai
Yaad Rakhna Tujhe Mera Ek Jurm Tha
Bhool Jana Tuje Doosra Jurm Hai
Kya Sitam Hai Ke Tere Haseen Sheher Mein
Har Taraf Gaur Se Dekhna Jurm Hai…
ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchiye
do din ki zindagi ka maza hum se puchiye
bhule hain unhen rafta rafta mudatton mein hum
qishton mein khudkushi ka maza hum se puchiye
aagaz-e-ashiqi ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchiye
jalate diyon mein jalate gharon jaise zau kahan
sarakar raushni ka maza hum se puchiye
wo jan hi gaye ki hamen un se pyar hai
aankhon ki mukhbari ka maza hum se puchiye
hansane ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza hum se puchiye
hum tauba kar ki mar gaye bemaut ae ‘khumar’
tauhin-e-maikashi ka maza hum se puchiye
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Khumar Barabankvi
Dil ke divar-o-dar pe kya dekha
bas tera naam hi likha dekha
teri aankhon mein hum ne kya dekha
kabhi qatil kabhi khuda dekha
apni surat lagi pyari si
jab kabhi hum ne aaina dekha
haye andaz tere rukane ka
waqt ko bhi ruka ruka dekha
tere jane mein aur aane mein
hum ne sadiyon ka fasala dekha
phir na aaya khayal jannat ka
jab tere ghar ka rasta dekha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir
Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota
Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota
Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye
Lekin Uske Baad Aankhon
Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota
Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya
Jis Din Se Tumne Yeh Dil Tod Diya
Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe
Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya..!!!
I want you to be with me in a nice Restaurant
To have Candle Light Dinner & say those three sweet words to you….
Pay The Bill. 😉
submitted by: Zain Shuja. (zain_shuja2000@yahoo.com)
May The Light of Jumma,
Shine In Your House.
The Strength of Eemaan,
Stay in Your Heart.
And May Allah Shower
His Countless Blessings
On You and Your Family
on This Holy Day.
Jumma Mubarak.
Ran.J-e-alam aisa hua jab se tu huyi hai khafa khafa
Kya kahu ye janee jana…..bin tere kya kya hua
Angan ke bhag-e-gul ki ….tabassum jaise chali gayi
Kya kahu ye janee jana ……..bin tere kya kya hua
Shab-o-roz Sisak sisak ke roya karte thee………teri tasveer yu dekh ke
Kya kahu ye jane jana……….bin tere kya kya hua
Raat ko tanhayio mein…..karvat badal badal ke …tuj ko hi yaad karta raha
Kya kahu ye janee jana……bin tere kya kya hua
Tu nahi tho noor nahi…….tu nahi tho…….jaha nahi……………
Ran.j-e-alam aisa hua………jab se tu huyi hai khafa khafa.
Kya kahu ye janee jana…………..bin tere kya kya hua…………
#Tarun
Usay to Kho diya hai, Ab najany kis ko khona hai
Lakeeron main Judai ki Aalamat ab bhi baki hai
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
TEacher :
Hamesha Yad Rakho
Hum Is Dunia Me Dosro Ki
Khidmat Karne Aaye
Hain
.
.
.
.
Sardar :
Wah g wah!
Te fer Dujay Ki Amb Len Aae Ney.. ?
Pyar Tha, Muhabbat Thi, Ishq Tha, Adaa Thi !!!
Ager Wafa Bhi Hoti Tu Qayamat Tha Wo Shakhs..
Is tarah har gham bhulaya kijiye
roz maikhane mein aaya kijiye
chod bhi dijiye takalluf shekh jee
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye
zindagi bhar phir na uterega nasha
in sharabon mein nahaya kijiye
ae hasinon ye guzarish hai meri
apne hathon se pilaya kijiye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri
Sardar g 1 Girl k sath chips kha raha tha
Girl ne pyar se ankho mai ankhain dal k pocha
kuch feel ker rahe ho?
Sardar: Han tum mujh se ziada chips kha rahi ho.
Who Jo Her Pal Sath Rehta Tha Kahan Hai Who
Who Jo Mere Bin Ji Nahin Sakta Tha Kahan Hai Who
Who Jo Mere Dukh Mein Rota Tha, Meri Khushi Mein Hansta Tha
Mujhe Rula Ke Khush Hai Ab Kahan Hai Who
Who Jo Zindagi Mein Bahar Ban Ke Aya Tha
Meri Zindagi Ko Khizan Bana Ker Kahan Ahi Who
Who Jo Mere Bin Rehne Ka Soch Bhi Nahin Sakta Tha
Who Jo Ab Mere Bagir Khush Hai Kahan Hai Who
Who Jo Keta Tha Ke Tum Meri Zindagi Ho Kahan Hai Who
Who Jo Kehta Tha Her Pal Sath Nibahon Ga Kahan Hai Who
Aankh se aankh mila baat banata q hai
tu agar mujhase khafa hai to chupata q hai
gair lagata hai na apanon ke tarah milta hai
tu zamane ke tarah mujhko satata q hai
waqt ke sath halat badal jate hain
ye haqiqat hai magar mujhko sunata q hai
ek muddat se jahan kafile guzri hi nahi
aisi rahon pe charagon ko jalta q hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Saeed Rahi
DOCTOR: Why are you looking so exhausted?
Are you properly taking 3 MEALS per day as I advised?
LADY: Oh may God..
I heard you told me three MALES per day.
Meray dil meray musafir
Hua phir se hukm sadir
Ke watan badar hon hum tum
Dain gali gali sadayen
Karen rukh nagar nagar ka
Ke suragh koi payen
Kisi yaar-e-naama bar ka
Har ik ajnabi se pochain
Jo pata tha apney ghar ka
Sar-e-ku-e-nashanaayaan
Hamainn din se raat karna
Kabhi is se baat karana
Kabhi us se baat karana
Tumhainn kya kahon ke kya hai
Shab-e-Gam buri balaa hai
Hamainn ye bhi tha ghaneemat
Jo koi shumaar hota
Hamien kya bura thaa marna
Agar aik baar hota
“2 Ajnabi dost”
03132174713
From: JiNnu Rider
Wishing you a happy
and prosperous birthday
and a sweet night of
birthday dreams.
happy birthday
Sada Deti Hai Khushbu Chand Tare Bol Padate Hain
Nazar Jaisi Nazar Ho To Nazare Bol Padte Hain
Tumhari Hi Nigahon Ne Kha Hai Hum Se Yeh Aksar
Tumhare Jism Par To Rang Sare Bol Padte Hain
Mehak Jate Hain Gul Jaise Saba Ke Chuum Lene Se
Agar Laharen Mukhatib Ho Kinare Bol Padte Hain
Zuban Se Baat Karne Mein Jha Rusvai Hoti Hai
Wha Khamosh Ankhon Ke Ishare Bol Padte Hain
Chupana Chahte Hain Un Se Dil Ka Haal Hum Lekin
Hamare Ansuon Mein Gum Hamare Bol Padte Hain
Teri Pabandiyon Se Ruk Nhi Sakti Yeh Fariyaden
Agar Hum Chup Rahe To Zakhm Sare Bol Padte Hain !
Siyahiyon ke bane harf harf dhote hain
ye log raat mein kagaz kahan bhigote hain
kisi ke shah mein dahaliz par diya na rakho
kivad sukhi hui lakadiyon ke hote hain
charag pani mein maujon se puchate honge
wo kon log hain jo kashtiyan dubote hain
qadim qasbon mein kya sukun hota hai
thake thakaye hamare buzurg sote hain
chamakati hai kaheen sadiyon mein aansuon ke zamin
gazal ke sher kahan roz roz hote hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
jab kisi se koi gila rakhna
samane apne aaiina rakhna
yun ujalon se vasta rakhna
shamma ke pas hi hawa rakhna
ghar ke tamir chahe jaisi ho
is mein rone ke jagah rakhna
masjiden hain namaziyon ke liye
apne ghar mein kaheen khuda rakhna
milana jhulana jahan zaruri ho
milane-jhulane ka hausla rakhna
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli
Yeh Tarikyan Aur Tanhayiyan Hy Allah Se Nazdikyan
Zikr E Ilahi Se Hoti Hain Gunahon Se Duriyan
Gar Banalain Ham Apnee Akhirat Istrah
Sanwar Jayengi Dunya Me Bhi Zindaganiyan
Yeh Dunya To Hy Guzargah Log Aayaingay Jayaingay
Sawaal Hoga Vahan Ke Zindagi Kaisay Bitayiyan
Is Say Behatar Hy Gar Ho Jayain Ham Allahwalay
Phir Hongi Pursayiyon Ki Aasaaniyan
Relationship between two person is like
the relationship between the hand and the eye.
If the hand gets hurt, the eye cries,
and
if the eye cries the hand wipes its tears..!!
Tera mera jhagada kya jab ik aangan ke matti hai
apne badan ko dekh le chukar mere badan ke matti hai
bhukhi pyasi bhatak rahi hai dil mein kaheen umeed liye
hum aur tum jis mein khate the us bartan ke matti hai
gairon ne kuch khwab dikhakar neend churali aankhon se
lori de de har gai jo ghar aangan ke matti hai
soch samajhakar tum ne jis ke sabhi gharonde tod diye
apne sath jo khel raha tha us bachpan ke matti hai
chal nafarat ko chod ke ‘anjum’ dil ke rishte jod ke ‘anjum’
is matti ka qarz utaren apne vatan ke matti hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sardar Anjum
mohabbat ka junun baqi nahi hai
musalamanon mein khoon baqi nahi hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
ke jazaba-e-andrun baqi nahi hai
ragon mein lahu baqi nahi hai
wo dil, wo aawaz baqi nahi hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Allama Iqbal
I really deeply wish dat
u r here with me in my room.
on my bed & lights is off &
we get under the cover together..
2 show u my glow in the dark watch.
Ye aish-o-tarab ke matavale bekar ke baten karte hain
payal ke gamon ka ilm nahi jhankar ke baten karte hain
nahak hai havas ke bandon ko nazzara-e-fitarat ka dawa
aankhon mein nahi hai betabi didar ke baten karte hain
kahate hain unhin ko dushman-e-dil naam unhin ka naseh bhi
wo log jo reh kar sahil par majhadhar ke baten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahi kuch naz-e-safar
chalne ka jinhen maqadur nahi raftar ke baten karte hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
Find latest Ganesh Chaturthi Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Ganesh Chaturthi 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Ganesh Chaturthi sms greeting.
Phool ki shuruvat kali se hoti hai,
Zindgi ki shuruvat pyar se hoti hai,
Pyar ki shuruvat apno se hoti hai…
aur apno ki shuruvat aapse hoti hai.
May Lord Ganesha Bestow
Success, Happiness….
And ProsperityUpon You
And Your Family
Happy Ganesh Chaturthi 2015
Happy Ganesh Chaturthi Mubarak to all of you from shayari Online Team
wo apne chehare mein sau afatab rakhte hain
is liye to wo rukh pe naqab rakhte hain
wo pas baithe to aati hai dilabruba khushbu
wo apne hothon pe khilate gulab rakhte hain
har ek varq mein tum hi tum ho jan-e-mahabubi
hum apne dil ke kuch aisi kitab rakhte hain
jahan-e-ishq mein sohani kaheen dikhai de
hum apni aankh mein kitne chenab rakhte hain
Poet of the Poems/Ghazal or Nazam:Hasrat Jaipuri
Love Sweet Sounds From The Music Of The Heart,
Composed Of Flowers And Flattery,
Played By Instruments, Each Has Its Own Part,
Sung With Passion And Delicacy.
Love Faded Pages With Meaning Beyond Comprehension,
Written With Strength And Fervency,
Read By Many With Constant Devotion,
Stored On Shelves Of Diversity.
Love Strokes Of Vivid Colours And Happiness,
Drawn By The Instinct Of Desire,
Painted With Tenacious Tenderness,
Displayed In Galleries Of Grandeur.
Tu Jo Mil Gya Meri Zindagi
Meri Hr Khushi Mere Sath Hai
Tu Jo Hr Ghari Mere Pass Hai
Meri Hr Khushi Mere Sath Hai
Tujhe Khoo Diya Gar Mein Ne Tu
Mar Jaon Ga Usi Waqt Main
Meri Rooh Bhi Na Bhula Sake
Jo Mere Dil Mein Tu Na Basa Sake
Teri Zindgi Mein Khushi Meri
Teri Maut Mein Meri Maut Hai
Tera Sath Meri Mairaj Hai
Teri Doori Mera Zwaal Hai
Yeh Jo Zindgi Mein Mithaas Hai
Meri Hr Khushi Mere Saath Hai..!!!
Happy Mother’s Day to a dear aunt,
A refuge from conditions and demands,
Perhaps because you have a different slant,
Perhaps because your love is free of plans.
Yet for whatever reason, you are there
More simply and directly than the other,
One with whom a child can always share
The kinds of joys too carefree for a mother.
Happiness can use a bit of room,
Even in the midst of an embrace.
Relevance requires not the womb:
‘Tis love and labor that replenish grace.
So do you play this secondary part,
Dealt not by birth but by the willing heart,
Aunt extraordinaire, whose love will bring
Years of memories that dance and sing.
Larki k galon pr gulab pyar se marney pr response:
English girl:
U r 2 naughty sweet heart!
Urdu girl:
Na karo na Janu!
Punjabi girl:
Banda bann way Dangra!
Tumse dur jane ka irada na tha ,
Sath rehne ka bhi vaada na tha ,
Tum yaad na karoge yeh jante the hum ,
Par itni jaldi bhool jaoge andaza na tha?