Saturday, January 19, 2013

Ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchiye



ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchiye
do din ki zindagi ka maza hum se puchiye
bhule hain unhen rafta rafta mudatton mein hum
qishton mein khudkushi ka maza hum se puchiye
aagaz-e-ashiqi ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchiye
jalate diyon mein jalate gharon jaise zau kahan
sarakar raushni ka maza hum se puchiye
wo jan hi gaye ki hamen un se pyar hai
aankhon ki mukhbari ka maza hum se puchiye
hansane ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza hum se puchiye
hum tauba kar ki mar gaye bemaut ae ‘khumar’
tauhin-e-maikashi ka maza hum se puchiye


Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Khumar Barabankvi



No comments:

Post a Comment