Friday, January 18, 2013

Dil ke divar-o-dar pe kya dekha – Sudarshan Faakir



Dil ke divar-o-dar pe kya dekha
bas tera naam hi likha dekha
teri aankhon mein hum ne kya dekha
kabhi qatil kabhi khuda dekha
apni surat lagi pyari si
jab kabhi hum ne aaina dekha
haye andaz tere rukane ka
waqt ko bhi ruka ruka dekha
tere jane mein aur aane mein
hum ne sadiyon ka fasala dekha
phir na aaya khayal jannat ka
jab tere ghar ka rasta dekha




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir



No comments:

Post a Comment