Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,
Wakt Ne Lut Le Logo Ki Tamannae Bhi,
Khawab Jo Dekhye Auro Ko Dikhate Rahye,
Shakal To Aapke Bhi Jahan Mein Hogi Koi,
Kabhi Jayegi Tasvir, Banate Rahye
Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
Share with us more Javed akhtar shayari in hindi .in comments section below.
No comments:
Post a Comment