Door Se Duur Talak Ek Bhi Darakht Na Tha,
Tumhaare Ghar Kaa Safar Is Qadar To Sakht Na Tha,
Itne Masruuf Thay Hum Jaane Kii Tyaarii Mein,
Khade Thay Tum Aur Tumhein Dekhne Kaa Waqt Na Tha,
Main Jis Kii Khoj Mein Khud Kho Gya Thaa Mele Mein,
Kahin Vo Mera Hii Ehasaas To Kam Bakht Na Tha,
Jo Zulm Seh Ke Bhi Chup Rah Gya Na Khaul Utha,
Vo Aur Kuchh Ho Magar Aadmi Kaa Rakt Na Tha,
Unhi Faqiiron Ne Itihaas Banaya Hai Yahaan,
Jin Pe Itihaas Ko Likhne Ke Liye Waqt Na Tha,
Sharaab Kar Ke Piyaa Us Ne Zehar Jiivan Bhar,
Hamaare Shehar Mein Neeraj-Saa Koyi Mast Na Tha,
No comments:
Post a Comment