Monday, August 8, 2011

Taluq Torta Hun To Mukammal Tor Deta Hun - Adeem

adeem-hashmi-taluq

Adeem Hashmi Ghazal

Taluq Torta Hun To Mukammal Torr Deta Hun
Jise Mein Chor Deta Hun Mukammal Chorr Deta Hun
Taluq = Relationship; Torr = break
Mohabbat Ho Keh Nafrat Ho, Bhara Rehta Hun Shiddat Se
Jidhar Se Aaye Ye Darya Udhar Hi Morr Deta Hun
Bhara = full; Shiddat = Intensity
Yaqeen Rakhta Nahi Hun Mein Kisi Kache Taluq Par
Jo Dhaga Tootne Wala Ho Us Ko Torr Deta Hun
Kache = Raw/Crude; Dhaga = Thread (Refers to Relation)
Mere Dekhe Hue Sapne Kahin Lehrain Na Le Jayn
Ghronde Rait Ke Ta’meer Kar Ke Chorr Deta Hun
Sapne = Dreams; Lehrain = waves;
‘Adeem’ Ab Tak Wohi Bachpan Wohi Tehzeeb Kari Hai
Qafas Ko Torr Deta Hun, Parinde Chorr Deta Hun…
Qafas = Cage;

No comments:

Post a Comment