~jay mata di~
girls ki aawaz
beti bankar aayi hu maa bap ke jeeman me,
lekin basera hoga mera kal kisi or aangan me,
dard me koi mosam pyara nahi hota,
man sant na ho to zindgi ka gujara nahi hota,
koi to dekhe hamari bebsi ko,
ham sabke ho jate par koi hamara nahi hota,
kyo ye rit banai hai duniya walo ne,
sab kehte hai aaj nahi to kal tu parai ho jayegi
dekar janam pal pos kar bada kiya jisne,
waqt aaya to unhi hatho se vida kiya usne,
zindgi ban jayegi khamosi sochi na thi,
duniya wale bhi na samjhenge kabhi sochi na thi,
jinke aangan me khilkar phool bane ham,
wo bhi aaj alwida kah denge hamne sochi na thi,
hamari zindgi wahi tut kar bikhar jati hai,
jab hamara basera kahi or hota hai,
beto se kam nahi hai tarki ki dor me,
har jagah kamal dikhati hai ye betiya,
phir bhi agar baba dahej nahi de paye to,
kanto pe chalke karz chukati hai ye betiya,
hamari zindgi yuhi khatm ho jayegi,
khusiya na jane kaha dafan ho jayegi,
bahut likhi bhagwan ne logo ki taqdire,
jab hamari bari aayi to kalam ki syahi khatam ho jayegi,
jamane ki sari sitam sehti hai ye betiya,
apno se sari gam chupati hai ye betiya,
kyo hamara rista sabse itna ajeeb hota hai,
batao duniya walo kya yahi betiyo ka naseeb hota hai,
khawabo ki ye duniya hai khawabo me rahna sikh liya hamne,
rahe jaha lekar jaye sang sang chalna sikh liya hamne,
waqt ne hamesa yaha larkiyo se naye khel khele hai,
chahe kuchh bhi ho jaye bas hamne bhi jina sikh liya hai yaha,
purab se suraj ka lal sehra aaya,
sabke dilo me khusiya laya,
muskan ke sath aankhe kholna pyare,
dekho maa durga ka dasehara aaya,
r. indian 09746754681
No comments:
Post a Comment