Pathar ke khuda pathar ke sanam pathar ke hi insan paye hain
tum shahar-e-mohabbat kahate ho hum jan bachakar aaye hain
but-khana samajhate ho jisako pucho na vahan kya halat hai
hum log waheen se laute hain bas shukr karo laut aaye hain
hum soch rahe hain muddat se ab umr guzaren bhi to kahan
sehra mein khushi ke phul nahi shaharon mein gamon ke saye hain
hothon pe tabassum halqa sa aankhon mein nami si hai ‘fakir’
hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aaye hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sudarshan Faakir
No comments:
Post a Comment