har qadam par nit naye sanche mein dhal jate hain log
dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log
kis liye kije kisi gumgashta jannat ke talash
jab ki matti ke khilone se bahal jate hain log
kitne sada dil hain ab bhi sun ke aavaz-e-jaras
pesh-o-pas se bekhabar ghar se nikal jate hain log
shama ke manind ahal-e-anjuman se beniyaz
aksar apni aag mein chup-chap jal jate hain log
‘shayar’ un ke dosti ka ab bhi dam bharate hain aap
thokaren kha kar to sunate hain sambhal jate hain log
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Himayat Ali Shayar
No comments:
Post a Comment