Bichhati Apni Palaken Tere Pairon Ke Tale Bhi Main
Jo Tera Saath Milta Doosari Hi Ban Ke Rahti Main
Tere Darwaze Pe Main Khud Diya Ban Ke Jala Karti
Jo Ye Hota To Hamdam Baat Koi Aur Hi Hoti
Tu Mujhse Roothne Ka Ek Bhi Pal Chhant Na Pata
Main Teri Har Khushi Pe Is Tarah Qurban Ho Jaati
Hamara Ghar Hi Phir Ek Bagh Hota Apni Chahat Ka
Jahaan Ke Har Ik Phool Ka Khwab Hota Usme Rahne Ka
Na Deewaren Hi Hotin Ham Indradhanush Ko Bula Lete
Vo Dauda Dauda Aata Dekhne Is Ghar Ki Khushiyon Ko
Meri Nzmon Hi Me Na Tum Jo Meri Zindagi Me Hote
To Main Ek Doosari Hoti Zindagi Khushnuma Hoti
Magar Tum Khwab The Mera To Bas Khwabo Tak Rah Pae
Na Tum Tak Main Pahunch Paai Na Mujh Tak Tum Pahunch Paae
No comments:
Post a Comment