mujhe dil ke khata par ‘yas’ sharmana nahi aata
paraya jurm apne naam likhavana nahi aata
bura ho pa-e-sarkash ka ki thak jana nahi aata
kabhi gumrah ho kar reh par aana nahi aata
mujhe ae nakhuda aakhir kisi ko muh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jana nahi aata
musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jayega
mujhe sar mar kar teshe se mar jana nahi aata
asiro shauq-e-azadi mujhe bhi gudgudata hai
magar chadar se bahar panv phailana nahi aata
dil-e-behausala hai ik zara si tis ka mehman
wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahi aata
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Yagna Yaas Changezi
No comments:
Post a Comment