Inhin khushgumaniyon mein kaheen jan se bhi na jao
wo jo charagar nahi hai use zakhm q dhikhao
ye udasiyon ke mausam kaheen rayegan na jayen
kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagao
wo kahaniyan adhuri jo na ho sakengi puri
unhen main bhi q sunaun unhen tum bhi q sunao
mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chodana hai to abhi se chod jao
ye judaiyon ke raste badi dur tak gaye hain
jo gaya wo phir na lauta meri baat man jao
kisi bevafa ke khatir ye junun ‘faraz’ kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhool jao
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment