Thursday, November 26, 2009

Ye bhi kya ehsaan kam hain dekhiye na aap ka – Wajida Tabassum



Ye bhi kya ehsaan kam hain dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraf charcha hamara aap ka
chand mein to daag hai par aap mein wo bhi nahi
chaudhavi ke chand se bad kar hai chehara aap ka
ishq mein aise bhi hum dube hue hain aap ke
apne chehare pe sada hota hain dhoka aap ka
chand suraj dhup subah kahkashan tare shama
har ujale ne churaya hai ujala aap ka


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wajida Tabassum



No comments:

Post a Comment