Allama Iqbal shayari in Hindi and Urdu is equally famous in Pakistan and India. Allama Iqbal poetry is motivational and encouraging. Best Allama iqbal sher o shayari collection on love and mankind in 2 or 4 lines will give you a stong message.Check out the biggest Allama Iqbal shayari in Hindi on paperpk.
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….
Sab kch mila sukun ki daulat nhi mili
Ek Tjhko bhool jany ki mohlat nhi mili
Krny ko boht kaam thy apny ly mgr
Hmko Tre khayal se Fursat nhi mly
Bani aghyar ki ab chahne wali duniya,
Rah gayi apne liye ek khayali duniya,
Hum to rukhsat hue auron ne sambhali
duniya,
Phir na kehna hui Tauheed se khali
duniya,
Hum to jeetein hain ke duniya mein tera naam rahe.
Kahi mumkin hai ke saaqi na rahe
jaam rahe.
Share with us more Allama Iqbal shayari in Hindi in comments section below.
No comments:
Post a Comment