Monday, December 15, 2008

rah-e-ashiqi ke mare rah-e-am tak na pahunche – Yahya Jasdanwalla



rah-e-ashiqi ke mare rah-e-am tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi sham tak na pahunche


mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera hath kya nazar bhi kabhi jam tak na pahunche


mujhe apni bekasi ka nahi gham khayal ye hai
kaheen baat badhate badhate tere naam tak na pahunche


jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
wo hayat-e-ashiqi kya jo davam tak na pahunche


ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabil-e-tazaqira bhi mere naam tak na pahunche


kaheen is tarah bhi ruthe na kisi se koi ‘yahya’
ke payam tak na aaye ke salam tak na pahunche


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Yahya Jasdanwalla



No comments:

Post a Comment