Tuesday, December 2, 2008

Manzil-e-janan ko jab ye dil ravan tha dosto – Jagannath Azad



manzil-e-janan ko jab ye dil ravan tha dosto
tum ko main kaise bataun kya saman tha dosto
har guman pahane hue tha ek malbus-e-yaqin
har yaqin jan dada-e-husn-e-guman tha dosto
dil ki har dhadakan makan-o-lamakan par thi muhit
har nafas raz-e-doalam ka nishan tha dosto
kya khabar kis justaju mein is qadar aawara tha
dil ke jo ganjina-e-sarr-e-nihan tha dosto
dhundhane par bhi na milta tha mujhe apna vujud
main talash-e-dost mein yun benishan tha dosto
markad-e-iqbal par hazir thi jab dil ki tadap
zindagi ka ek parda darmiyan tha dosto
qarb ne paida kiya tha khud hi duri ka saman
fasala warna hail kahan tha dosto
bekhudi mein jab mere honton ne chuma qabr ko
mere sina se gada-e-fursiyan tha dosto
ru-ba-ru-e-jalva-e-markad vujud-e-kam ayar
zar-e-naqis sharmasar-e-imtehan tha dosto
partav-e-dil mein nihan thi tah-bateh ye khamoshi
ishq ka wo bhi ik izhar-e-bayan tha dosto
jalvagah-e-dost ka aalam kahun main tum se kya
jalva hi jalva vahan tha main kahan tha dosto
sajdagah-e-khurshiyan tha yan na jane kya tha wo
jo meri nazron ke aage aastan tha dosto
dil ne har lamhe ko dekha ik nirale rang mein
lamha lamha dastan dar dastan tha dosto
jis ke sher-o-nagmagi par vusat-e-alam thi tang
har subah ko wo dopahre bekaran tha dosto
so raha tha khak ke niche jahan-e-zindagi
raz-e-hasti meri nazron par ayan tha dosto
kash tum bhi meri palkon ka nazara dekhte
ye nazara kahkashan dar kahkashan tha dosto


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jagannath Azad




No comments:

Post a Comment