Wahan Ki Roshniyoun Nay Bhi Zulm Dhay Bohat
Main Is Gali Main Akaila Tha Aur Saay Bohat
Kisi Kay Sur Pay Kabhi Tout Kay Gira Hi Nahi
Is Asman Nay Hawa Main Qadam Jamay Bohat
Najanay Rut Ka Taswur Tha Ya Nazar Ka Fareeb
Kali Wohi Thy Magar Rung Jhilmilay Bohat
Hawa Ka Rukh Hi Achanak Badal Gaya Warna
Mehuk Kay Qafilay Sehra Ki Simt Aay Bohat
Yeh Kayanat Hay Mari Hi Khak Ka Zara
Main Apnay Dasht Say Guzra Tu Bhaid Paay Bohat
Jo Mouteyoun Ki Talab Nay Kabhi Udas Kiya
Tu Hum Bhi Rah Say Kunkar Samait Laay Bohat
Bus Ik Raat Thaiharna Hay Kiya Gila Kijyay
Musafiroun Ko Ganemut Hay Yeh Saray Bohat
Jumi Rahay Gi Nigahoun Main Teergi Din Bhar
Kay Raat Khwab Main Taray Utar Kay Aay Bohat
No comments:
Post a Comment