Tuesday, February 26, 2008

Pathar ke jigar valon gham mein wo ravani hai – Bashir Badr



Pathar ke jigar valon gham mein wo ravani hai
khud reh bana lega bahata hua pani hai
phoolon mein gazal rakhna ye raat ke rani hai
is mein teri zulfon ke be-rabt kahani hai
ek zahan-e-parenshan mein wo phul sa chehara hai
pathar ke hifazat mein shishe ke javani hai
kyon chandani raton mein dariya pe nahate ho
soye hue pani mein kya aag lagani hai
is hausala-e-dil par hum ne bhi kafan pahana
hans kar koi puchega kya jan gavani hai
rone ka asar dil par reh reh ke badalata hai
aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai
ye shabnami lahaja hai aahista gazal padhana
titali ke kahani hai phoolon ke zabani hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



No comments:

Post a Comment