Monday, January 21, 2008

Jivan kya hai chalata phirta ek khilona hai – Nida Fazli



jivan kya hai chalata phirta ek khilona hai
do aankhon mein ek se hansana ek se rona hai
jo jee chahe wo mil jaye kab aisa hota hai
har jivan jivan jine ka samajhauta hai
ab tak jo hota aaya hai wo hi hona hai
raat andheri bhor suhani yahi zamana hai
har chadar mein dukh ka tana sukha ka bana hai
aati sans ko pana jati sans ko khona hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nida Fazli



No comments:

Post a Comment