Monday, January 21, 2008

Hisaar-e-Zaat Se Gar Ham



Hisaar-E-Zaat Se Gar Ham Nikal Nahiin Sakte
Diye Hamaare Tafakkur Ke Jal Nahiin Sakte


Hai Inqilaab-E-Zamaanaa Kaa Khvaab Be.Maanii
Ham Apne Aap Ko Jab Tak Badal Nahiin Sakte


Khulii Fazaa Kii Zaruurat Jinhen Ho Vo Paude
Ghane Darakht Ke Saaye Men Phal Nahiin Sakte

Unhiin Kii Raah Men Patthar Bichhaaye Hai Dunyaa
Zaraa Sii Chot Jo Khaa Kar Sanbhal Nahiin Sakte


Ghubaar-E-Raah Kaa Saa Hashr Un Kaa Hotaa Hai
Jo Log Chaal Zamaane Kii Chal Nahiin Sakte


Vo Ban Ke Zahr Dil-O-Jaan Men Phail Jaate Hain
Ba.Raah-E-Chashm Jo Aansuu Ubal Nahiin Sakte


Kayi To Dafn Hi Rahte Hain Dil Men, Ai “Abid”
Ki Saare Dard To Shairon Mein Dhal Nahin Sakte!



No comments:

Post a Comment