Hindustan Aur Pakistan Ke Beech Ki Ye Nafrate Mitade
Aman Aur Shanti Ko Apnake Mohabbatein Jagade
Mil Jaaye Jo Ye Do Takatein
Toh Hawaon Ka Rukh Mod De
Duniya Ko Jhuka Ke Dikhade
Jo Juda Aur Khafa Rahe Toh
Jalte Hue Gharonde Payenge
Barbaadi Ke Manzar Payenge
Kaale Dhue Se Uthti Aahe Payenge
Insaaniyat Ko Marta Hua Payenge
Mohabbat Ke Dushman Na Rahe Ye
Chaahe Raqeeb Bankar Saath Nibhaye
Toh Hasi Gunjegi In Hasin Wadiyo Mein
Bahaarein Phir Laut Aayengi Banjar Zamino Pe
No comments:
Post a Comment