Thursday, March 31, 2016

Aap mein gum hain magar sab ke khabar rakhate hain – Jamil Malik



aap mein gum hain magar sab ke khabar rakhate hain
ghar mein baithe hain zamane pe nazar rakhate hain
nuktachin dekhiye kis kis pe nazar rakhate hain
hum bhi ae didavaro aib-o-hunar rakhate hain
hum se ab ae garadish-e-dauran tumhen kya lena hai
ek hi dil hai so wo zer-o-zabar rakhate hain
jis ne in tira ujalon ka bharam rakha hai
apne sine mein wo nadida sahar rakhate hain
rahanuma kho gaye manzil to bulati hai hamen
panv zakhmi hain to kya zauq-e-safar rakhate hain
wo andheron ke payambar hain to kya gam hai “jamil”
hum bhi aankhon mein kai shams-o-qamar rakhate hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jamil Malik



Pathar Hi Lagein Ge Har Simt Se Aa Kar

Pathar Hi Lagein Ge Har Simt Se Aa Kar

Ye Jhoot Ki Duniya Hai Yahan Such Na Kaha Kar

Ab Rota Hai Kya Tujh Se Kayi Baar Kaha Tha

Halaat K Dhaary K Mukhaalif Na Baha Kar...

Pathar Hi Lagein

Phir Yoon Hua K Rasty Yak-Jaa Na Ho Sake

Phir Yoon Hua K Rasty Yak-Jaa Na Ho Sake
Wo Bhi Anaa Parast Tha Me Bhi Anaa Parast...

Phir Yoon Hua

Tumhain Bakhshi Hay Dil Par Hukmarani Aor Kia Daitay



Tumhain Bakhshi Hay Dil Par Hukmarani Aor Kia Daitay
Yehi Thi Bus Hamari Rajdhani Aor Kia Daitay


Sitaron Say Kisi Ki Mang Bharna Aik Fasana Hay
Tumharay Naam Likh Di Zindagani Aor Kia Daitay


Woh Ham Say Mangta Tha Umar Ka Ik Dilnasheen Hissa
Na Daitay Us Ko Hum Apni Jawani, Aor Kia Daitay


Bichartay Waqt Usko Ik Na Ik Tohfa To Daina Tha
Hamaray Paas Tha Aankhon Main Pani Aor Kia Daitay



On This January

On 1st January,


when Moon Sets and Sun Rises,
the world would wake up to a new dawn,
i wish all my friends and
family live long and to
witness 100 such dawns.


Happy new Year

Wednesday, March 30, 2016

Bat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi – Bahadur Shah Zafar



Bat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thi


le gaya chin ke q aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi


chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi


un ke aankhon ne khuda jane kiya kya jadu
ke tabiyat meri mail kabhi aisi to na thi


aks-e-rukh-e-yar ne kis se hai tujhe chamakaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi


kya sabab tu jo bigadata hai “zafar” se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bahadur Shah Zafar



Ek Lamha Men Ek Manzar Guzar Jata Hai

Ek Lamha Men Ek Manzar Guzar Jata Hai.


Jab Koi Apna Begana Nazar Aata Hai.


Yu To Awaz Aati Hai Har Shishe Ke Tutne Ki.


Par Kabhi Kabhi Bina Awaz Ke Bhi Sab Kuch Toot Jata Hai…

Ab Ki Bar Humein Jana Ho Ga

Ab Ki Bar Humein Jana Ho Ga
Tumhe Apne Dil Ko Samjhana Ho Ga

Phir Na Koi Shikwa Na Bahana Ho Ga
Humein Jana Tha Humein Jana Ho Ga...

Submitted By: Diya

Tuesday, March 29, 2016

Sucessfully Rejected

Some lines 4rm


*..amarbail..*byUMERA AHMAD


“duniya main larkiyon se zaida ahmaq koi aur nhe hota…


Khushfehmi ka aghaz aur ikhtataam hum he pr hota hai..sari umer hum “mohbt” ki besaakhiyon ka intezar krti rehti hain..takay zndagi k race shuru kr sakain..


hamain her mard k bary main ye khushfehmi hoti hai k wo aye ga..


hamain daikhay ga..aur hamara ho jaye ga..


Koi hum se hamdardi kary to hamain khushfehmi hony lagti hai..


Koi hamari tareef kary to wo hamain apni muthi main qaid nazar anay lagta hai..


Koi hamary sath waqt guzaray to hamary hosh-o-hawaas apny thikaany pr nhe rhtay


Hum main Maturity sirf tab aati hai..jb hamain REJECT kiya jata hai…!!


Dedicated to all innocent girls…

Wo firaq aur wo visal kahan – Mirza Ghalib



Wo firaq aur wo visal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan
fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan
thi wo ik shakhs ke tasavvur se
ab wo rannai-e-khayal kahan
aisa aasan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan
hum se chuta qimarkhana-e-ishq
van jo jayen girah mein mal kahan
fikr-e-duniya mein sar khapata hun
main kahan aur ye vabal kahan
muzamahil ho gaye quva ‘ghalib’
wo anasir mein aitadal kahan


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Monday, March 28, 2016

Koi Aahat Koi Awaz Koi Chaap Nahi

Koi Aahat, Koi Awaz, Koi Chaap Nahi
Dil Ki Galiyan Bari Sunsaan Hain, Aye Koi...

Koi Aahat Koi

Sunday, March 27, 2016

Tum Ro Kyun Rahi Ho

Boy to Girl: Tum Ro Kyun Rahi Ho…?
Girl : Mery Marks Baht Kam Aye Hain


Boy : Kitne Aye Hain…?
Girl: Sirf 90%


Boy: O Khuda ka Khauf Karo Bibi
Ene Numbran Vich Tey 3 Munde
Pass ho Jande Ne……..

Saturday, March 26, 2016

khushiyon ka hajoom

Hajoom itna ho teri zindagi mein khushion ka


Ay dost


Ghum guzarna bhi chahay to usay rasta na milay

Khuda kere ka naya sal ap ko ras aa jaye






Khuda kere ka naya sal ap ko ras aa jaye, Jisse ap chahte ho wo ap ka pas aa jaye Ap sara sal kanware na rahein, Ap ka rishta le ker ap kie saas aa jaye.hahahahahah


Happy New Year 2015?



Hum Jab Nibhaty Hain To Is Tarha Nibhaty Hain

Hum Jab Nibhaty Hain To Is Tarha Nibhaty Hain Muhabbat

Sans Lena To Chor Sakte Hain Pr Daaman-e-Yar Nahi...

Hum Jab Nibhaty

Ye Subha Ka Manzar Bhi Qayamat Ka Haseen

Ye Subha Ka Manzar Bhi Qayamat Ka Haseen Hai

Hai Takiya Kahin, Zulf Kahin, Khud Wo Kahin Hai...

Ye Subha Ka

Friday, March 25, 2016

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir

kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 

(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

 (Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

(Muhaal=Difficulty)

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

(Talab=Quest)

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

(Nasamajh=Naive)

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...




Sher ka Bet

Baap: beta tum sher ke bete ho


aur wo sher main ho.


Beta: han, baba school mein teacher


bhi aisa hi kehti hy.


Baap: hairan ho kar, acha wo kya kehti hy.


Beta: wo kehti hai tum kisi janwar ki aulad ho.

Thursday, March 24, 2016

Lakhon shaklon ke mele mein tanha rahana mera kam -Munir Niazi



lakhon shaklon ke mele mein tanha rahana mera kam
bhes badal kar dekhte rahana tez hawaon ka koharam
ek taraf aavaz ka suraj ek taraf ik gungi sham
ek taraf jismon ke khushbu ek taraf is ka anjam
ban gaya qatil mere liye to apni hi nazron ka dam
sab se bada hai naam khuda ka us ke bad hai mera naam


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Munir Niazi



Dard Se Aashna Hona Tha Kisi Tor Humein

Dard Se Aashna Hona Tha Kisi Tor Humein

Tu Na Milta To Kisi Aur Se Bichre Hote...

Dard Se Aashna

Khane ke baad

Hazrat Mohammad (SAWW) ne farmaya.


“Jo shaks khanay k bad al-hamdu lilla keh kr 1 bar sura e ikhlas yani qul ho allaho ahad perh ley us k ghar me rizk ki dolat bharey gi or kabhi faqa na ho ga.or jb tak wo khana tumharey pait me rahay ga is khanay ka hr zra Allah ka zikar krta rahay ga js ki barkat se tumhara chehra munawar rahay ga.”

Chupkey Chupkey Ro Lena



Chupkey Chupkey Ro Lena


Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena



Firdos-e-Jannat Me Laakh Hooron Ka Tasawur

Firdos-e-Jannat Me Laakh Hooron Ka Tasawur Sahi

Me Aik Shakhs K Ishq Se Niklun To Wahan Tak Sochun...

Firdos-e-Jannat Me

Wednesday, March 23, 2016

Tum Aati Ho Chali Jati Ho

Tum Aati Ho Chali Jati Ho

Main Jurta Hun Toot Jata Hun...

Tum Aati Ho Chali

Moatsu Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Moatsu Festival Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Moatsu Festival 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Moatsu Festival sms greeting.


For the best mom
who always had a smile for me
I know we may be far apart right now
So here’s a great big hug and kiss
Happy Mother’s Day


You’ve seen me laugh
You’ve seen me cry
And always you were there with me
I may not have always said it
But thanks and I love you
Happy Mother’s Day


Soch ko badlo, sitare badal jayeng;
Najar ko badlo, najare badal jayenge;
Kashtiya badalne ki jarurat nahi, Dishao ko badlo
KINARE badal jayenge


Happy Moatsu Festival Mubarak to all of you from shayari Online Team



Sham e judai ki inteha

Woh wasl tha k sham-e-judai ki intehaa


Ik badnaseeb raat ki bahon main marr gya

Monday, March 21, 2016

Ishara kr dia

Pisal gaya jo tera name gir gaya yun zameen par . . .


Ishara kr dia rub, ne wo tere hath se gaya . . .

Kitne Aziyat Say Mujh Ko Bhulaya Ho Ga



Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho Ga
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga


Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga


Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga


Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga


Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho Gi Tujhy
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho Ga


Ho Kay Nidhal Mere Yadoon Say Tuu Nay Jaana
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga


Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga



Sunday, March 20, 2016

A Simple Friend Thinks

A simple friend thinks the friendship over when you have an argument.


A real friend knows that its not a friendship until after youve had a fight.

Loot Lete Hain Dharkanein Dil Ki - Romantic Poetrty

Loot Lete Hain Dharkanein Dil Ki,
Jab Nazar Se Kalaam Karte Hain….!!

Nazar Poetry

3 Dost

3 Dost thay,
Kallu,Billu,Ullo,
Kalu:-B.S.C
Me parh raha hai.
Billu:-M.A me parh
raha hai.
Or hamara
Ullo:-SMS Parh
raha hai.
(‘.’)

Saturday, March 19, 2016

Aate Hain Khawabon Me Khayalon Me

Aate Hain Khawabon Me Khayalon Me Musal-sal

Phir Hum Se Ye Kehte Hain K Hum Parda Nasheen Hain...

Aate Hain Khawabon

Altaf hussain shayari



^Kahne ki bat ho to use kah sunayiye.
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye.
dunya ki ho hawas to dil-o-din ginwayiye.
yan khoyiye bahut-sa to kuch jak payiye.
ye kya k dil hai dair mein aur kabe mein maqam.
ho rahiye bas wahin k, jahan dil lagayiye.
gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho.
ham jan hi se baithe hain bezar jayiye.
aur aitabar khote hi apna raha-saha.
bas a gaya yaqin hamein, qasmein na khayiye.
hoti hujum-e-gam mein hai, kyonzahar ki talash.
‘Hali’ batayen ap ko, gar kuch khilayiye



^Haq wafa ka jo ham jatane lage,
ap kuch kah k muskurane lage,
ham ko jina parega furqat mein,
wo agar himmat azmane lage,
dar hai meri zuban na khul jaye,
ab wo baten bahut banane lage,
jan bachti nazar nahin ati,
gair ulfat bahut jatane lage,
tum ko karna parega uzr-e-jafa,
ham agar dard-e-dil sunane lage, bahut mushkil hai shewa-e-taslim,
ham bhi akhir ko ji churane lage,
waqt-e-rukhsat tha sakht “Hali” par,
ham bhi baithe the jab wo jane lage..



Share with us more Altaf hussain shayari in Comments Section below.



Friday, March 18, 2016

Puchate ho to suno kaise basar hoti hai – Meena Kumari ‘Naaz



Puchate ho to suno kaise basar hoti hai
raat khairat ke sadqe ke sahar hoti hai
sans bharne ko to jina nahi kahate ya rab
dil hi dukhata hai na ab aasteen tar hoti hai
jaise jagi hui aankhon mein chubhen kanch ke khwab
raat is tarah divanon ke basar hoti hai
gham hi dushman hai mera gham hi ko dil dhundhata hai
ek lamhe ke judai bhi agar hoti hai
ek markaz ke talash ek bhatakati khushbu
kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meena Kumari ‘Naaz



Thursday, March 17, 2016

Mere Khilne K Aur Jharne K Din Aik Sath Aye

Mere Khilne K Aur Jharne K Din Aik Sath Aye Hain
Mujhe Deemak Ne Chaata Hai Shajar-Kaari K Mosam Me...

Mere Khilne K Aur

Most Dangerous ALphabet is W Wapda

The most dangerous ALphabet is


W Bcoz All Worries start with W


Who
Why
What
When
Which
Where
Wrong
Wedding
War
Weapon
Wine
Women
Wife &


now WAPDA 😛

Wednesday, March 16, 2016

My Heart Was Closed, A Blank Canvas






My Heart Was Closed, A Blank Canvas,


Like A Virgin Untouched



Though I Loved No One Ever


Painted Their Soul On Mine



Until You With The Brush Of Your Passions


Painted My Heart With Joy Reserved For Angels



With  Hues Of Love, And Like


The Soft Touch Of An Artist Brush



Your Loving Hands Moved


The Colors Of My Soul And



Blended Them With Yours


Creating In Me Sunsets And



Moonlight, Oceans And Shores


My Eyes Get Lost In Yours Like



A Painter Lost In His Art


You Will Never Know



The Masterpiece You’ve Created



Prince






Sardar talking with her wife

Sardar G phone pe hans hans kr bat kr rahe thy.


Dost Bola: Kis se bat kar rahe ho?


SARDAR: BV se


Dost herat se: Itni khush mezaji


SARDAR: Tmhari jo hy

If Friends Were Flowers

If friends were flowers,
I would not pick you.
I will let you grow in the garden,
and cultivate you with love,
and care so i can keep you
as a friend forever

Tuesday, March 15, 2016

Nishan Tak Na Milenge



Nishan Tak Na Milenge Meri Wafa K Use,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usy!


Kbhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Maine Dil Laga K Usy!


Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usy!


Mjhy Yaqeen Hy Wo Laut Kr Bhi Aega,
Magr Udaas Hu Ab Raasta Dikha K Usy!



Na Aankho Se Na Juba Se



Khyalon Mein Woh  Hurdum Mere Sath Sath Rahti Hai
Na Aankho  Se Na Juba Se Mujhe Wo Kuch Kahti Hai


Aankhen Hurdum Usske Deedar Ko Tarstati Rahti Hai
Kaano Mein Wo Mere Kuch Kuch Kehti  Rahti Hai


Apni Zulfein Jab Woh Mere Chehre Per Bikhra Deti Hai
Bari Saadgi Se Phir Woh humari taraf Muskara Deti Hai

Katilana Ada Se Jab Woh Mujhe Dekhti Hai
Sar Se Aasman Aur Paaon Se Zameen Khiska Deti Hai


Sochta Rahta Humse Wo  Mil Sakegi  ya Nahi
Woh Mehrbaan Roz Mujhko Dilasa Deti Rahti Hai



Na Hawas Us K Jism Ki

Na Hawas Us K Jism Ki
Na Shoq Us Ki Izzat Ka

Be-Matlabi Sa Banda Hun
Us Ki Sadgi Pe Marta Hun...

Submitted By: Imran

Monday, March 14, 2016

Girls are Over Imaginative

A boy sends a text
Boy : Hey
Girl (to herself): OMG..he just texted me..I wondr wat he wants..maybe he just wants to talk..or maybe he’s mad at me, but all he said was hey..I should just answer him, dnt want to keep him waitin..well maybe I’ll wait another 3 minutes so he thinks Im busy..no, thats too obvious. Could this mean he’s into me? Or is he just bored? Either way is fine, I mean I don’t care if he likes me back. Who said that I even liked him? huh.. I’m gonna text back now. Should I reply hi or hey. Hey with 3 y’s? No thats stupid. 2 y’s work. He wont know if I did it on purpose or if it was accidental. Ok! I got this.
Breathe in, breathe out.


Girl: Heyy !!!
Boy: meri proxy lga dena kal:p:o

Wo Tere Naseeb Ki Barishen Kisi Aur Ki Chatt Par

Wo Tere Naseeb Ki Barishen Kisi Aur Ki Chatt Par Baras Gain

Dil-e-Be-khabar Meri Bat Sun Usy Bhool Ja Usy Bhool Ja...

Wo Tere Naseeb Ki

Sunday, March 13, 2016

Jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain – Dilawar Figaar



jada-e-fan mein bade sakht muqam aate hain
mar ke rah jata hai fanakar amar hone tak
kitne galib the jo paida huye aur mar bhi gaye
qadradann ko takhallus ki khabar hone tak
kitne iqabal rah-e-fikr mein uthe lekin
rasta bhool gaye khatm-e-safar hone tak
kitne shabbir hasan khan na bane josh kabhi
mar gaye kitne sikander bhi jigar hone tak
faiz rang bhi ashar mein aa sakata tha
ungaliyan sath to den khoon mein tar hone tak
chand zarron hi ko milati hai ziya-e-khurshid
chand tare hi chamakate hain sahar hone tak
dil-e-shayar pe kuch aisi hi guzarati hai ‘figar’
jo kisi qatre pe guzri hai guhar hone tak


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Dilawar Figaar



Kabhi kabhi yaad mein ubharate hain naqsh-e-mazi mite mite se – Faiz Ahmed Faiz



Kabhi kabhi yaad mein ubharate hain naqsh-e-mazi mite mite se
wo aazamaish si dil-o-nazar ki, wo qurabaten si wo fasale se


kabhi aarzoo ke sehra mein aake rukate hain qafile se
wo sari baten lagav ke si wo sare unavan visal ke se


nigah-o-dil ko qarar kaisa nishat-o-gam mein kami kahan ke
wo jab mile hain to un se har bar ke hai ulfat naye sire se


bahut giran hai ye aish-e-tanha kaheen sabukatar kaheen gavara
wo dard-e-pinhan ki sari duniya rafiq thi jisake vaste se


tumhin kaho rind-o-muhtasib mein ho aj shab kon farq aisa
ye aake baithe hain maikade mein wo uth ke aaye hain maikade se



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Saturday, March 12, 2016

Kaise sukun paun tujhe dekhane ke bad – Sayeed Shahidi



Kaise sukun paun tujhe dekhane ke bad
ab kya gazal sunaun tujhe dekhane ke bad
aavaz de rahi hai meri zindagi mujhe
jaun main ya na jaun tujhe dekhane ke bad
kabe ka ehataram bhi meri nazar mein hai
sar kis taraf jhukaun tujhe dekhane ke bad
teri nigah-e-mast ne makhmur kar diya
kya maikade ko jaun tujhe dekhane ke bad
nazron mein tab-e-did hi baqi nahi rahi
kis se nazar milaun tujhe dekhane ke bad


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sayeed Shahidi



Friday, March 11, 2016

Yun dosti ke naam ko rusava na kijiye – Mahir Ratlami



Yun dosti ke naam ko rusava na kijiye
tark-e-ta’alluqat ka charcha na kijiye
jurm-o-sitam ka pas bhi ulfat mein shart hai
palkon ko aansuon se bhigoya na kijiye
aisa na ho umeed se rishta hi toot jaye
har roz mujhase vada-e-farda na kijiye
hamdard jis ko apna samajhate rahe hain aap
us ka hi zindagi mein bharosa na kijiye
“mahir” vafur-e-gam se na ghabaraiye kabhi
khuddari-e-hayat ko rusava na kijiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mahir Ratlami



urdu janaza sms



teri doli uthegi meri , mayyat uthegi


phool tujh per bhi honge, phool mujh per bhi honge


tu sajj ke jaye gi, mujh ko sajaya jaye ga


tu uth ke jaye gi, mujh ko uthaya jaye ga


sahelian teri bhi hongi ,dost mere bhi honge


mehfil wahaan bhi hogi, log yahaan bhi honge


unka hasna wahan, inka rona yahaan


teri baraat jayegi, mera janaza uthega


kazi udher bhi hoga, molvi idher bhi hoga


do kull tere parhe jayenge ,do kull mere parhe jayenge


tera nikah parhaya jayega, mera janaza parhaya jayega


tujhe apnaya jayega , mujhe dafnaya jayega




Mera janaza ab utha lo yaron.
Zara kandha tu laga lo yaron.
Mujh ko seney main chupa kr rakh lo.
Abhi dunya se nikalo yaro.
Ho jo koi khata mere yaro meri.
Ab to dil se bhula do yaro.
Hon mai lakh gunahgar e khuda.
Zara bakshish ki duwa do yaro.
Mai ne dunya mai bohat zulm key.
Aj mafi bhi dila doo yaron.
Ho rahe hai bechain roh meri.
Koi mujh ko sula do yaron.
Jo kbhi manga hai duwao main.
Mere daman mai gira do yaron.
Jab koi mera apna na hoo.
Apne duwao mai mujh ko basa lo yaron.


Share with us more urdu janaza sms in Comments Section below.



Mujhko Dil Mein Basa Ke To Dekh



Main Tere Haath Pe Rach Jaunga Rangon Ki Tarah,
Tu Mera Naam Kabhi Haathon Pe Saja Ke To Dekh.


Main Tere Jism Mein Mehkunga Gulabon Ki Tarah,
Aa Kabhi Mujhko Dil Mein Basa Ke To Dekh.


Main Tere Lab Pe Chha Jaunga Muskarahat Ki Tarah,
Apne Honton Se Mera Naam Bula Ke To Dekh.

Main Teri Aankh Mein Bas Jaunga Kajal Ki Tarah,
Tu Meri Yaad Ka Ek Khawab Saja Ke To Dekh.


Main Bikhar Jaunga Chaar Su Khushion Ki Tarah,
Apne Naam Se Mera Naam Mila Ke To Dekh



Thursday, March 10, 2016

You Are So Perfect To Me



You Are So Perfect To Me,
I Wish I Was Perfect For You Too,


You Are All I Had Ever Wanted,
You Are Truly A Dream Come True,


You Are Pure Like An Angel,
You Are A Sweetheart All The Way Through,


You Are So Perfect, So Flawless,
I Wish I Was A Little Better,
A Little More For You Too.



Na Pucho Kitne Mohabbat K Zakhm Khaye

Na Pucho Kitne Mohabbat K Zakhm Khaye Hain

K Jin Ko Soch K Dil Sogwaar Aaj Bhi Hai...

Na Pucho Kitne Mohabbat

Wednesday, March 9, 2016

Haye wo vaqt-e-judai ke tumhare aansu – Hakim Nasir



haye wo vaqt-e-judai ke tumhare aansu
gir ke daman pe bane the jo sitare aansu
lal-o-gauhar ke khazane hain ye sare aansu
koi aankhon se chura le na tumhare aansu
teri aankhon mein agar hon to sitare aansu
meri aankhon mein agar hon to bechare aansu
in ko ‘nasir’ na kabhi aankh se girane dena
un ko lagate hain meri aankh mein pyare aansu


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hakim Nasir



Urdu Sagar Poetry Sms

Chal Na Sagar kisi anjan si Basti main chlain..


Is nagar Main To Sabhi Ham Say khafa Rahte hen.

Funny Sheikh Sms

1 sheikh Haj per gaya zor zor se Dua manhne laga.


“Ya ALLAH Mere SARE GUNAH MAAF KERDAY”


Warna Mera 2 LakHH Wapis ker de.    😀

Tuesday, March 8, 2016

Panni Ka Ajar

Hadis:
Hazart Muhammad (SAWW) ka irshad-e-pak hai


“Agr tum mein se kisi ko yeh khadsha ho ke qayamat k din us ki


bakhshish muskhil hai to usay chahiye ke woh kasrat se logon ko


PAANI pilya kare, kyun k is chote se amal ka ajar buhat bara hai.”


Foward if possible.


sadqa-e-jaaria

A New Dawn Has Come

A New Dawn Has Come,
The Sun Is About To Sprout In The East,
What A Jubilation To All Of Us,
Yeah Wish You A Cool New Year

Gulshan Ki Baharon Pe Shair Shaam Likha Hai

Gulshan Ki Baharon Pe Shair Shaam Likha Hai,
Phir Usne Gulabon Pe Mera Naam Likha Hai..
Behte Hue Pani Pe Yeh Lafzon Ke Sitare,
Shayed Mere Mehboob Ne Koi Paigham Likha Hai....

Shared By: Aziz Khan

Monday, March 7, 2016

Us Ajnabi Ka Yun Na Intezar Karo

SEVEN IRONIES OF LIFE…


1) Politicians divide us, terrorists unite us
.
2) Everyone is in a hurry, but no one reaches on time


3) Priyanka Chopra earned more money playing Mary Kom than Mary Kom did in her entire career


4) It’s dangerous to talk to strangers, but perfectly ok to marry one


5) Most people who fight over Gita and Quran have never read either of them


6) We would rather spend more on our daughter’s wedding than on her education


7)The shoes we wear are sold in airconditioned showrooms, the vegetables we eat are sold on the footpath

aa bhi jao ke zindgi kam hai – Yamini Das



aa bhi jao ke zindgi kam hai
tum nahi ho to har khushi kam hai


vada kar ke ye q aaya nahi
shahar mai aj raushani kam hai


jane kya ho gaya hai mausam ko
dhup ziyada hai chandani kam hai


aaina dekh kar khayal aaya
aj kal un ke dosti kam hai


tere dam se hi main mukammal hun
bin tere teri ‘yamini’ kam hai


Name of  Poet or a poem by Yamini Das



1 din pachtaey ge

Arz kiya hai mat kar mera peecha, 1 din pachtaey ga


Ab gaur farmiye:


Tu mat tukhra mere pyar ko, 1 din pachtaey gi


usi tehlay per barten manjti nazar aaey gi.

Sunday, March 6, 2016

Dil Mai Dard



Mera Afsurda Chehra Iss Liye Bhi Zard Rehta Hai
Mujhe Apne Ilawa Bhi Kisi Ka Dard Rehta Hai


Tumhare Dam Qadam Say Thi Ye Sab Mukam Ki Rangini
Tumhare Bad Sara Saal M0usam Sard Rehta Hai


Tumhare Bad Baqi Aur to Sab Theek Hai
Lakin Jahan DIL Tha Kabhi Pehle Wahan Ab DARD Rehta Hai..



Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya



Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen



Saturday, March 5, 2016

Billl To Pagal Hai [ Parody of Dil to Pagal Hai ]



Billl To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..


Achhe Bure Softwares Banata Hai Yahi,
Hasata He Yahi, Rulata Hai,
Usme Phir ‘Bugs’ Daalta Hain Wohi,
Aur Solutions Bhi Nikalta Hai,


Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..


Is Bill Ki Baton Mein Jo Aate Hain,
Woto Oolloo Ban Jate Hain,
Software To Dusare Bhi Banate Hain,
Banake Magar Kho Jate Hain,


Hmmm Bill To Pagal Hai…….
Bill Deewana Hai…..


Softwares Ko Main Na Pehchanoonga,
Working Bhi Na Mein Uski Janoonga,
Microsoft Ka Logo Bass Mein Dekhoonga,
Bill Jo Kahega Wohi Manoonga.


Bill To Pagal Hai…….


Bill Ka Kehna Hum Sab Maane,
Bill Na Kisi Ki Maane,
Uski Strategy Jaan Li Hamne,
Ek Wohi Na Jaane.


Bill To Pagal


Hai…….
Bill Deewana Hai…..


Chhoro Ye Bill Sab Kahaniya,
Bugs Ki Hain Sab Nishaniya,
Programmers Ki Sari Pareshaniya,
Is Bill Ki Hain Ye Meherbaniya.


Hmmm Bill To Pagal Hai….
Bill Deewana Hai…..



Friday, March 4, 2016

Bari Muddat Se Ye Aalam Hai Mustakil Tanhai

Bari Muddat Se Ye Aalam Hai Mustakil Tanhai
Koi Waja Bhi Nahi Magar Dil Udaas Rehta Hai...

Blogger: Waqas Ali

Farebi Bhi Hun Ziddi Bhi Hun Bad-Naam

Farebi Bhi Hun, Ziddi Bhi Hun, Bad-Naam Bhi

Masoomiyat Kho Di Mene Wafa Karte Karte...

Farebi Bhi Hun

Thursday, March 3, 2016

Aya Hi Tha Abhi Mere Lub Pe Wafa Ka Naam

Aya Hi Tha Abhi Mere Lub Pe Wafa Ka Naam
Kuch Doston Ne Hath Me Pathar Utha Liye...

Aya Hi Tha Abhi

Wednesday, March 2, 2016

Dil mein jo kuch hai abhi us ke pazirai nahi – Zia Jalandhari



Dil mein jo kuch hai abhi us ke pazirai nahi
hama khushbu hun par khilane ke ghadi aayi nahi
ankahi baat ke sau rup kahi baat ka ek
kabhi sun wo bhi jo minnat-e-kash-e-goyai nahi
meri nazron mein hai khilate hue phoolon ke tarah
wo nami jo abhi shakhon mein bhi laharai nahi
kya manazir the ki jo dekhati aankhon ko dekhe
khwab bunata hun ki aasuda-e-binai nahi
sabhi dana sabhi sar dal ke chup baithe rahe
ki yahan koi bhi shaista-e-rusvai nahi
dil bujha ho to gul-e-nagma bhi nashtar hai ‘zia’
shiddat-e-gam ka ilaj anjuman-e-arai nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zia Jalandhari



Tuesday, March 1, 2016

Mene Socha Tm Miss Kr Rhi Hogi

Larka: Mene socha Tm Miss Kr rhi hogi, Call Krlon.
Larki: Acha Or Jo 1 Ghnte Phle ki thi Wo?
Larka:


Sorry Ghalti se dobara Tmhara Nmber Mila dia..

Aadat Hi Nahi

Kya Pata Tha Jis K Hum Hona Chahty Hain


Unhain Aadat Hi Nahi Kisi Ko Apnany Ki.

Ek Lamha

Ek Lamha Meri Zindagi Veeran Kar gaya
Aesi Hawa Chali ke Sunsaan Kar gaya
Chalta tha jo mere saath satth Saaye ki Tarah
Bichra wo is Adaa se ke Hairaan Kar gaya