Ham apne Pyaar ka Izhaar isliye nahi karte hain,
Kyunki ham unki han ya na se darte hain,
Agar unhone kar di han to ham khushi se mar jayenge,
Aur agar unhone kar di na to ro ro ke mar jayenge,
Baat ye nahi ke ham apni Maut se darte hain,
Par hamari Maut pe na beh jaye kahin Unke do Aansu,
Ham to bas Unke un do Aansuon ki kadr karte hain…
Thursday, December 31, 2015
pyar ka izhaar shayari sms
wafa ki Roshni UTAAR de
Mere Wajood me wafa ki Roshni UTAAR de,
Phir itna pyar de k mujhe Chahton me MAAR de
Bohot udaas tha so uth k tere pas aa gaya
Kuch aisi Baat kar jo Mere DIL ko QARAAR de,
Suna hai teri ek NAZAR Sanwarti hai Zindagi,
Jo ho sake toh Aaj Tu meri Zindagi SANWAAR de.
Full charge rehta hai
Tujhse breakup ka ek faida t0 huwa hai…!!
.
.
.
.
ph0ne ab 3 4 din tak full charge rehta hai… 😀 :p
Pepsi lene ni jana
Dulha ne apni dulhan ka ghongat uthaya to wo boht kali nikli
Dulha bola ,
.
.
.
.
.
.
tum ne pepsi lene nai jana?
Chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen hum donon – Sahir Ludhianvi
Chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen hum donon
na main tum se koi umeed rakhun dil navazi ke
na tum meri taraf dekho galat andaz nazron se
na mere dil ke dhadakan ladakhadaye meri baton mein
na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazron se
ta’arruf rog ho jaye to us ko bhulana behatar
ta’alluq bojh ban jaye to us ko todana acha
wo afsana jise takamil tak lana na ho mumakin
use ek khubasurat mod dekar chodana acha
chalo ik bar phir se ajanabi ban jayen hum donon
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi
Wednesday, December 30, 2015
Rok To Lon In Ankhon Ko
Rok To Lon In Ankhon Ko Tjhy Dekhny Se,
Mager Is Dil Ka Kiya Kron Jo Dharakta Hai Srf Tery Liye…
Wafa Ki Raah Mein
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena
My Dreams Keep Illuminate My Spirit
My Dreams Keep Illuminate My Spirit
Never A Flame But With In My Heart
Arching To Strike Force Into Me
Have I Told You That I Sit Silent Each Day
Waiting To Hear Your Voice Each Day
I Can Hear You Heart Beating As Fast As Mine
That I Wait Out Each Day To Hold You Close
In Anticipation Wanting A Space In Your Heart
Can’t Loose This Special Moment
I Feel Close To Your Heart
Masih-e-vaqt sahi hum ko is se kya lena – Farig Bukhari
masih-e-vaqt sahi hum ko is se kya lena
kabhi mile bhi to dard-e-dil badha lena
hazar tark-e-vafa ka khayal ho lekin
jo ru-ba-ru hun to badh ke gale laga lena
kisi ko chot lage apne dil ko khoon karana
zamane bhar ke gamon ko gale laga lena
khumar tute to kaise ke hum ne sikh liya
tu na ho to teri yaad se nasha lena
safina dub bhi jaye to gham nahi ‘farig’
na bhool kar kabhi ehasan-e-nakhuda lena
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Farig Bukhari
Monday, December 28, 2015
Bad gaya tha pyas ka ehasas dariya dekh kar – Meraj Faizabadi
Bad gaya tha pyas ka ehasas dariya dekh kar
hum palat aaye magar pani ko pyasa dekh kar
hum bhi hain shayad kisi bhataki hui kashti ke log
chikhane lagate hain khvabon mai jazira dekha kar
jis ke jitani haisiyat hai usake nam utana khulus
bhik dete hain yahan ke log kasa dekh kar
mangate hain bhik ab apne muhallon mai faqir
bhuk bhi muhatat ho jati hai khatra dekh kar
khudkushi likhi thi ek beva ke chehare par magar
phir wo zinda ho gayi bacha bilakata dekh kar
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meraj Faizabadi
Samna Kre
GreatWords….
* Pareshani Halaat Se Nhi Khayalaat Se Peda Hoti Hy.
*Bhtren Ankh Wo Hy Jo Haqekat Ka Samna Kre.
* Dunia Me Sb Se Mushkil Kam Apni Islaah Krna Hy Or Sb Se Asaan Kam Dusre Pr Tnqed Krna.
*Nafrat Dil Ka Pagalpan Hy
* Insan Zindagi Se Mayos Ho To Kamyabi B Nakami Nazar Ati Hy.
* Jab insan ki aqal kamil ho jati hy to us ki guftugu mukhtasir ho jati hy.!
Sunday, December 27, 2015
Aaj Kal Mein Dhal Gayaa
Aaj Kal Mein Dhal Gayaa, Din Huaa Tamaam
Too Bhee So Jaa, So Gayee Rangabharee Shaam
So Gayaa Chaman Chaman So Gaee Kalee Kalee
So Gaye Hain Sab Nagar, So Gaee Galee Galee
Neend Kah Rahee Hain Chal Meree Baahen Thaam
Hain Buzaa Buzaa Saa Dil Boz Saans Saans Par
Jee Rahe Hain Fir Bhee Hum Sirf Kal Kee Aas Par
Kah Rahee Hain Chaandanee Le Ke Teraa Naam
Kaun Aayegaa Idhar, Kisakee Raah Dekhe Hum
Jin Kee Aahate Sunee, Jaane Kisake The Kadam
Apanaa Koee Bhee Nahee, Apane Hain To Hum
Saturday, December 26, 2015
Computer Programming Song
# Local Variable
Mein Pal Do Pal Ka Shayar Hoon,
Pal Do Pal Meri Kahani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai..
# Global Variable
Main Har Ik Pal Ka Shayar Hoon
Har Ik Pal Meri Kahani Hai
Har Ik Pal Meri Hasti Hai
# Null Pointers
Mera Jeevan Kora Kagaz
Kora Hi Reh Gaya.
# Dangling Pointers
Maut Bhi Aati Nahi
Jaan Bhi Jati Nahin.
# Goto
Ajeeb Dastan Hai Yeh
Kahan Shuru Kahan Khatam
Ye Manzilen Hain Kaun Si
Na Woh Samajh Sake Na Hum
# Two Recursive Functions Calling Each Other
Mujhe Kuchh Kehna Hein
Mujhe Bhi Kuchh Kehna Hein
Pehle Tum, Pehle Tum.
# The Debugger
Jab Koi Baat Bigad Jaye
Jab Koi Mushkil Pad Jaye
Tum Dena Saath Mera Hamnawaz.
# From VC++ To VB
Yeh Haseen Vaadiyan
Yeh Khula Asmaan
Aa Gaye Hum Kahan.
# Untrackable Bug
Aye Ajnabi, Tu Bhi Kabhi, Awaaz De Kahin Se.
# Unexpected Bug (Esp During Presentation To Client)
Ye Kya Hua, Kaise Hua, Kab Hua, Kyon Hua
Friday, December 25, 2015
Today Modern basanti
Modern basanti
Veeru: BASANTI IN KUTTON KE SAMNE MAT NACHNA,
Basanti: Xcuse me, Who the hell do
u think you are to order me like this,
U stupid guy using abusive language,
u bloody fool hanging in the rusty chain
with so obnoxious smell coming from body,
.
.
.
.
.
you keep ur mouth shut, Nonsense,
Hey DJ Gabbar Spin that Shit man..:p 😀 :O
Aksar Paayi Jati Hai Sharab
Jisska Saath Sari Duniya Chod Deti Hai
Unke Hatho Me Aksar Paayi Jati Hai Sharab
Kabhi Bhi Apne Gumon Ko Bhulna Ho To Keh Dena
Kitne Bhi Bade Gum Me Kisiko Bhi Hasati Hai Sharab
Pankh Laga Ke Aasmaan Me Ud Jaate Hai Jo Panchi
Do Ghoot Pee Lene Par Unhe Baho Me Le Aati Hai Sharab
Thursday, December 24, 2015
Friendship Day Songs
Blow, Blow, Thou Winter Wind!
Thou Art Not So Unkind
As Man’s Ingratitude
Thy Tooth Is Not So Keen
Because Thou Art Not Seen.
Although Thy Breath Be Rude.
Heigh Ho! Sing, Heigh Ho! Unto The Green Holly;
Most Friendship Is Feigning Most Loving Mere Folly.
Then, Heigh Ho, The Holly!
This Life Is Most Jolly.
Freeze, Freeze, Thou Bitter Sky,
That Dost Not Bite So Ngh
As Benefits Forgot:
Though Thou The Watters Warp,
Thy Sting Is Not So Sharp
As Friend Remembered Not.
Heigh-Ho! Sing Heigh-Ho! Unto The Green Holly:
Most Friendship Is Feigning, Most Love Mere Folly:
Then Heigh-Ho, The Holly!
This Life Is Most Jolly.
Raushan kaheen bahar ke imkan huye to hain-Faiz Ahmed Faiz
raushan kaheen bahar ke imkan huye to hain
gulashan mein chak chand gareban huye to hain
ab bhi khizan ka raj hai lekin kaheen kaheen
goshe rah-e-chaman mein gazal-khvan huye to hain
thahari huyi hai shab ke siyahi waheen magar
kuch kuch sahar ke rang par-afshan huye to hain
in mein lahu jala ho hamara ke jan-o-dil
mahafil mein kuch chirag farozan huye to hain
han kaj karo kulah ke sab kuch luta ke hum
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain
ahal-e-qafas ke subah-e-chaman mein khulegi aankh
bad-e-saba se vada-e-paiman huye to hain
hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se “faiz”
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain
raushan kaheen bahar ke imkan huye to hain
gulashan mein chak chand gareban huye to hain
ab bhi khizan ka raj hai lekin kaheen kaheen
goshe rah-e-chaman mein gazal-khvan huye to hain
thahari huyi hai shab ke siyahi waheen magar
kuch kuch sahar ke rang par-afshan huye to hain
in mein lahu jala ho hamara ke jan-o-dil
mahafil mein kuch chirag farozan huye to hain
han kaj karo kulah ke sab kuch luta ke hum
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran huye to hain
ahal-e-qafas ke subah-e-chaman mein khulegi aankh
bad-e-saba se vada-e-paiman huye to hain
hai dasht ab abhi dasht magar khun-e-pa se “faiz”
sairab chand khar-e-mugelan huye to hain
Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
Micheal Jackson Aur Pakistani Awam
Kya Michael Jackson sb se acha
Dance krta tha?
.
Nahi
.
Sab se acha dance Pakistani “AWAM” krti hai
Haqoomat nachati hai ur awam nachti hai.
Wednesday, December 23, 2015
Zakham e Tanhaayi Main Khushboo e Hina
Zakham E Tanhaayi Main Khushboo E Hina Kis Ki Thi
Saaya Deewar Par Mera Tha, Sada Kis Ki Thi
Us Ki Raftaar Se Lipti Rahi Aankhain Meri
Us Ne Murr Kar Bhi Na Dekha Ke Wafa Kis Ki Thi
Aansoun Se Hi Bhar Gaya Daaman Mera
Hath Tou Maine Uthaya Tha Dua Kis Ki Thi
Meri Aahon Ki Zubaan Koi Samjhta Kaise
Zindagi Itni Dukhi Mere Siwa Kis Ki Thi
Aag Se Dosti Us Ki Thi Jala Ghar Mera
De Gaye Kis Ko Saza Aur Khata Kis Ki Thi.
Tuesday, December 22, 2015
Cha rahi kali ghata jiya mora laharaye hai
cha rahi kali ghata jiya mora laharaye hai
sun ri koyal banvari tu kyun malahar gaye hai
ae papiha aa idhar main bhi sarapa dard hun
aam par kyun jam raha hai main bhi to aisi zard hun
farq itna hai ki us mein ras hai mujh mein hay hai
sare aazaron se badhake ishq ka aazar hai
aafaton mein jan-o-dil ka dalana bekar hai
bevafa se dil lagakar kya koi phal paye hai
ae papiha chup khuda ke vaste tu ho zara
rat aadhi ho chuki hai ab tujhe kya hogaya
teri pi-pi se papiha pi mujhe yad aaye hai
muddaton dhundha piya ko main ne kar jogan ka bhes
na to main ne un ko paya aur na paya un ka des
log kahate hain ki dhundhe se khuda mil jaye hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Jurrat
Monday, December 21, 2015
Tanhayan
Lo ho gya fesla rahon ke bdlne ka is virane mein
bnaay the hmne kbi wo nishan mitte mitt emit gay
Rahnmae agr tere bas mein na thi to raste se btkaya ku
Manzil tme na mili or chlte chlte hm be dm tor gaay
Sunday, December 20, 2015
Jinhen main dhundhata tha aasmanon mein zaminon mein – Sir Mohammed Iqbal
jinhen main dhundhata tha aasmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil ke makinon mein
mahine vasl ke ghadiyon ke surat udate jate hain
magar ghadiyan judai ke guzarati hai mahinon mein
mujhe rokega tu ae nakhuda kya garq hone se
ki jin ko dubana hai dub jate hain safinon mein
jala sakati hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ke
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil ke sinon mein
tamanna dard-e-dil ke ho to kar khidamat faqiron ke
nahi milta ye gohar badashahon ke khazinon mein
muhabbat ke liye dil dhundh koi tutanevala
ye wo mein hai jise rakhte hain nazuk aabginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahi sakata
ki main khud bhi to hun “iqbal” apne nuktachinon mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sir Mohammed Iqbal
Saturday, December 19, 2015
The Hour Of Death After This Lifes
In The Hour Of Death After This Lifes Whim
When The Heart Beats Low And The Eyes Grow Dim
And Pain Has Exhausted Every Limb
The Lover Of The Lord Shall Trust In Him
When The Will Has Forgotten The Lifelong Aim
And The Mind Can Only Disgrace Its Fame
And A Man Is Uncertain Of His Own Name
The Power Of The Lord Shall Fill This Frame
When The Last Sigh Is Heaved And The Last Tear Shed
And The Coffin Is Waiting Beside The Bed
And The Widow And Child Forsake The Dead
The Angel Of The Lord Shall Lift This Head
For Even The Purest Delight May Pall
And Power Must Fail And The Pride Must Fall
And The Love Of The Dearest Friends Grow Small
But The Glory Of The Lord Is All In All
Friday, December 18, 2015
writing vs typing speed
Exams should be given on either facebook or on
phone instead of sheets,
.
.
Coz
.
.
.
.
Todays students have more typing speed than writing speed..:-P
Masoom Si Ankhon K Liye Azaab
Tujh Sa Chand Pal Jo Bichron To Ghabara Jata Hy Dil
Masoom Si Ankhon K Liye Azaab Ban Jata Hy Dil
Ay Mary Chand Kabi Nikal Ao Hijar Ki Raaton Main
Teri Khatir To Her Sham Sa Pahly Doob Jata Hy Dil
Tary Sath Kasa Rishta Hy Mujhy Khud B Maloom Nahi
Bus Tara Naam Koi Or Ly Itni Si Bat Par Toot Jata Hy Dil
Main Na Suna Tha K Ishq Ik Samundar Hy Lakin
Insan Tarp Tarp K Marta Hy Or Payasa Rah Jata Hy Dil
Share By : Mujahid Khan
Thursday, December 17, 2015
Granddaughter Birthday Poem in Englsih
Special Granddaughter
There’s someone we love,
Our special granddaughter;
She’s sweet and she’s nice,
Just like Dad and Mom taught her.
She’s got a really cute smile
And pretty blond curls;
She’s a wonderful person,
The best of all girls.
We’re so glad she’s ours;
We rejoice every day;
She’s our angel granddaughter,
And we just want to say…
Happy Birthday (Name)!
By Joanna Fuchs
Eid Shayari in Hindi
Pholon Ko Jis Trha Bhanwre Milte Hyn
Aao Is “EID” Pe Hum B Kahin Milte Hyn
Apni Is Chahat Ko Pyar Bari Rafaqat Ko
Sachi Lagan Ka Rang Dete Hyn,
Dunia K Liye Apni Mohbat Ko Misal Krte Hyn
Rawani K Liye Jese Darya Samandar Me Khud Ko Pamal Krte Hyn
Phool Jese Gulshan Se Wafa Nibane Hr Bar Nikalte Hyn
Aao Is EID pe Hum B Kahin Milte Hyn …
Wednesday, December 16, 2015
Wellwisher
“Wellwisher is not who meets u daily & talks to u daily.
Wellwisher is 1 who may or may not meets u but always thinks of u & ur Hapiness…!
Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C
Jinu Jaan Jigar Asi Kehnde C
O Hor Kise Nu Chaunde Rae
O Hasde Rahe Begaaneya Naal
Sanu Utle Mano Bulaunde Rae
Asi Kitia Duava Piyaar Dia
Te O Daag Ishq Nu Launde Rae
O Daag Mitaaya Nai Mitde
Asi Hanjua Naal Mitaaunde Rae
O Hi Raah Vich Saanu Dob Gae
Jinu Asi Kinaare Launde Rae..!!
I Am Proud To B A Pakistani.
Lets Have A Commitment & Promise
That We Will Not Repeat
Our Past 64 Years National Mistakes
Lets Spread The Message Of Unity,
Care & Hospitality,
So That Optimisim
Instead Of Negativity About My Land.
Live For Nothing
Die For Something!
Say It Loud N Proud,
Pakistan Zindabad.
Muqaddar Azmany Mein Zamane Beet Jate Hain
Muqaddar Azmany Mein Zamane Beet Jate Hain
Murdein Dil Ki Pane Main Zamane Beet Jate Hain
Rukhta Agr Koi Himut Azhr E Ulfat Ki
Zuban Pr Baat Lane Main Zamane Beet Jate Hain
Mohabbat Zindgi Main Ju Bari Mushkil Sy Milti Hy
Mgr Us Ke Nibahne Main Zamane Beet Jate Hain
Agr Aik Bar Ankhon Main Achnak A Base Koi
Use Dil Sy Bhulane Main Zamane Beet Jate Hain..?
Tuesday, December 15, 2015
Dua Ki soorat Mein
Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir
Jo meray honton se lafz nikaly
Jo mari Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA
Jab bhi us ka naseeb likhna
UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusiyan likhna
or us ki umr-e-draaz likhna
Maut Aayi To Mar Jaunga
Kaun Kahata Hai Ke Maut Aayi To Mar Jaunga
Main To Darya Hun Samandar Mein Utar Jaunga
Tera Dar Chor Ke Main Aur Kidhar Jaunga
Ghar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar Jaunga
Tere Pahlu Se Jo Uthunga To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paunga Jidhar Jaunga
Ab Tere Shehar Mein Aunga Musafir Ki Tarah
Saya-E-Abr Ki Manind Guzar Jaunga
Tera Paiman-E-Wafa Rah Ki Divar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar Jaunga
Charasazon Se Alag Hai Mera Mayar Ke Main
Zakhm Khaunga To Kuch Aur Sanvar Jaunga
Ab To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan Guzrin
Ab Use Dhundne Main Ta-Ba-Sahar Jaunga
Zindagi Shamma Ki Manind Jalata Hun
Bujh To Jaunga Magar Subah To Kar Jaunga
Monday, December 14, 2015
There Is A Child Who Sits And Broods
There Is A Child
Who Sits And Broods
Over Her Inability To Age
Tingling With The Need
To Run Her Shaking Fingers
Over The Hands
Of The Boy Beside Her.
There Is A Child
Who Sits And Stares
Out The Window
Towards The Ocean
Because Dreaming Is The Method
She Must Use
To Save A Smile.
There Is A Child
Who Sits And Weeps
Over Innocence Forgotten
And Experience Neglected
With The Rising Tide
And Crashing Waves.
There Is A Child
Who Will Lay Down
Beneath A Shroud
To Be Abandoned
And No Mother Will Dare Mourn
In The Wake Of Her New Day.
Faraz Shayri Dukh Fasana Nahi
Dukh Fasana Nahi K Tujh Se Kahain
Dil Bhi Mana Nahi K Tujh Se Kahain,
Ek To Harf Aashna Tha Magar
Ab Zamana Nahi K Tujh Se Kahain,
Ae Khuda Dard-E-Dil Hai Bakhshish-E-Dost
Aab-O-Daanaa Nahi K Tujh Se Kahain
Be Tarah Haal-E-Dil Hai Aur Tujh Se
Dostana Nahi K Tujh Se Kahain
Qasidaa Hum Faqeer Logon Ka
Ek Thikana Nahi K Tujh Se Kahain
Ab To Barson Se Us Gali Main “FARAZ”
Aana Jaana Nahi K Tujh Se Kahain….
Romentic Gujarati Sayari
MAA Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Pet me LaatMaarta Tha,,,,,,.MAA Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Gir Jaata Tha..MAA Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Bukhaar YaSardi me Tadapta Tha..MAA Tab Bhi Roti Thi,Jab Beta Khaana nahiKhaata Tha,,,,,,.Aur,.” MAA Aaj Bhi Roti HeJab Beta Khana nahiDeta,,,,,,,!!! “koi MAA kabhi bhuki NaSoye. Aur Uske Aankh Se1 bund Paani Na Aaye,,,,,I LOVE MY MOM.WoH bhi kya din the” Maa” Ki Godh Aur” PAPA ” Ke Kandhe,,,,,,,,Na Paise Ki SochNa Life Ke Funde,,,,,,Na KaL Ki ChintaNa Future Ke Sapne,,,,,,Ab KaL Ki He Fikar AurAdhure He Sapne,,,,,,MudH Kar Dekha Toh BahutDoor He Apne,,,,,,,Manzilo ko dhundte kahakho Gaye Hum,Aakhir, Itne bade kyu HoGaye Hum,,,,,,,,,!!Din Bhar Kaam Ke BaadPAPA Poochte He Ki,,,,,,,,,,,,,,Kitna Kamaya,,,,????Wife Poochegi,,,,,,,,,,,,,Kitna Bachaya,,,,,,????Beta Poochega,,,,,,,,,,,,,,Kya Laaya,,,,,,????LekiNMaa Hi Puhcegi :” Beta Kuch Khaya,,,,????? “Agar Aap Free HoToH Iss Msg ko ItnaFaeLao Jitna AapApni Maa Se Pyaar KarteHo,,,,,,,,!!Ek Msg Maa Ke NaaM,,,,,
Saturday, December 12, 2015
Dukh fasana nahi ke tujh se kahen – Ahmed Faraz
Dukh fasana nahi ke tujh se kahen
dil bhi mana nahi ke tujh se kahen
aj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jana nahi ke tujh se kahen
ek tu harfashna tha magar
ab zamana nahi ke tujh se kahen
be-tarah dil hai aur tujh se
dostana nahi ke tujh se kahen
ae khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahi ke tujh se kahen
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
Zamin pe fasl-e-gul aayi falak par mahatab aaya – Shakeel Badayuni
Zamin pe fasl-e-gul aayi falak par mahatab aaya
sabhi aaye magar koi na shayan-e-shabab aaya
mera khat padh ke bole namabar se ja khudahafiz
javab aaya meri qismat se lekin lajavab aaya
ujale garmi-e-raftar ka hi sath dete hain
basera tha jahan apna waheen tak aaftab aaya
“shakeel” apne mazaq-e-did ke takamil kya hoti
idhar nazron ne himmat ke udhar rukh par naqab aaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni
Friday, December 11, 2015
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur Chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
Thursday, December 10, 2015
A Creative Man Is Motivated
A creative man is motivated by the desire to achieve,
not by the desire to beat others.
Wednesday, December 9, 2015
Dekh ke Message Humara
Phir na kahna ke Mainay bhula Dia hay,
ab na koi bahana Tumhare hoga.
Dekh kar Msg Hamara Aapko Muskurana hoga.
EID_MUBARAK
Dard minnatkashe-dava na hua – Mirza Ghalib
Dard minnatkashe-dava na hua
main na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua
hum kahan qismat aazamane jayen
tu hi jab khanjar aazama na hua
kitne shirin hain tere lab ki raqib
galiyan khake bemaza na hua
hai khabar garm unake aane ki
aj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namarud ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai ki haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rava na hua
rahazani hai ki dilsitanee hai
leke dil, dilsitan rava na hua
kuch to padhiye ki log kahate hain
aj ‘ghalib’ gazalsara na hua
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Baat Thi Mohabbat Ki, Umr Bhar Ki Chahat Ki
Tuesday, December 8, 2015
Aik Lafz Mohabbat Hai Isey Kar Ke Dekho Tum
Lafz Mohabbat
Barbad Na Ho Jao To Mera Naam Badal Dena
Haar Na Jao To Mera Naam Badal Dena
Kahin Se Gar Mil Jaye To Mera Naam Badal Dena
Aakhon Se Na Beh Jaye To Mera Naam Badal Dena
Toot Kar Bikhar Na Jao To Mera Naam Badal Dena…
Teri Yaad Se Rishta Kal Bhi Tha
Teri Yaad Se Rishta Kal Bhi Tha
Teri Yaad Se Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Apna Dukhta Kal Bhi Tha
Dil Ye Udaas Aaj Bhi Hai,
Jo Pyar Hum Tum Karte They
Woh Pyar To Zinda Aaj Bhi Hai,
Hum Bichad Gaye Is Doori Mein
Tum Door Ho Majboori Mein,
Kabhi Waqt Mile To Chali Ana
Khula Dil Ka Darwaza Aaj Bhi Hai,
Na Sataao, Na Tadpaao
Na Mehfil Mein Yu Tanha Chodo
Teri Yaad Me Jaage Kal Bhi They
Teri Yaad Me Jaage Aaj Bhi Hain
Teri Yaad Se Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Apna Dukhta Kal Bhi Tha
Dil Ye Udaas Aaj Bhi Hai,
Jo Pyar Hum Tum Karte They
Woh Pyar To Zinda Aaj Bhi Hai,
Hum Bichad Gaye Is Doori Mein
Tum Door Ho Majboori Mein,
Kabhi Waqt Mile To Chali Ana
Khula Dil Ka Darwaza Aaj Bhi Hai,
Na Sataao, Na Tadpaao
Na Mehfil Mein Yu Tanha Chodo
Teri Yaad Me Jaage Kal Bhi They
Teri Yaad Me Jaage Aaj Bhi Hain
Monday, December 7, 2015
Sunday, December 6, 2015
Birth day poem in hindi
Aa teri Umar mein likh du chand sitaaro se
Tera janam din mein manau phoalo se bahaaro se
har ek khubsurti duniya se mein le aau
Sajaau yeh mehfil mein har haseen nazaaro se
Dua hai Ki Kamyabi ke har sikhar per aap ka naam hoga,
Aapke har kadam per duniya ka salaam hoga,
Himmat se mushkilon ka saamna karna,
Hamari dua hai ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga.
Tohfa-e-dil de du ya de du chand taare
Janam din pe tujhe kya du yeh puche mujh se saare
Zindagi tere naam kar du bhi toh kam hai
Daaman mein bhar du har pal khushi ka mein tumhare
Share with us more Birth day poem in hindi in Comments Section below.
Pyare lamhe aayenge aur majboori mit jayegi – Miraji
pyare lamhe aayenge aur majboori mit jayegi
hum donon mil jayenge aur sab duri mit jayegi
har dam bahane vali aankhon ke mala bhi tutegi
teri meri hasti is bairi bandhan se chutegi
lekin ye sab baten hain apne jee ke bahalane ke
dukh ke raat mein dhire dhire dil ka dard mitane ke
rote rote hanste hanste rukate rukate gane ke
sukh ka sapana sukha hai aur sukha hi reh jayega
suni sej pe prem kahani premi yun kah jayega
hote hote sara jivan aankhon se bah jayega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Miraji
Saturday, December 5, 2015
Khud Ko Mobile Mein Itna Mashghool Na Rakho Keh
- Khud Ko Mobile Mein Itna Mashghool Na Rakho Keh
.
.
.
Samne Sy Koi Larki Guzar Jaye Aur Tumhein Pata Bhi Na Chale
Keh Kitni Haseeen Thi..
.
.
- Bike Chalate Huwe Kabhi Yeh Mat Socho Keh Ye Jahaz Hay
.
.
Balke Yeh Samjho Keh Ye tu Rocket Hay
.
.
- Koshish Kro Keh Apne Humumr Sey Bad Zubani Na Karo
.
.
Direct Sar Phaar Do.
- Taaleem Hr Kisi Ka Haaq Hay Ziyada Parh Ke
.
.
Kisi Ka Haaq Na Maroo..
Fwd It To All Friendz
Shayed Apki Waja Sey Kisi Ki life Brbad Ho Jaye..!!!
Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki
Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki
Khuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya Hai
Unke Khoobsurat Cehre Ko
Heere Motiyon Se Sajaya Hai
Unki Haseen Ankho Main
Samandar Ka Neela Paani Milaya Hai
Unhe Dekh Kar Aisa Lagta Hai
Jaise Khuda Ne Bus Mere Liye Banaya Hai
Rasham Si Unki Zulfoon
Hontho Ko Gulab Ke Phoolo Se Sajaya Hai
Chandi Jaisa Unka Badan
Mashallah Khuda Ne Badha Soch Samajh Ke Banaya Hai
Jab Woh Hasti Hai To Phool Khilkhila Uthte Hai
Jab Woh Chalti Hai To Bhawre Gunguna Uthte Hai
Ab Kya Tareef Karu Rahne Bhi Do Yaroo
Hum To Unki Har Ik Adda Par Khayal Hai
Pehli He Nazar Main Unse Pyar Ho Gaya
Jabse Dekha Hai Unhe Unka Deewana Ho Gaya
Neend Gayi Ankho Se Chan Bhi Gawaya Hai
Meri Hathoo Ki Lakeero Mein Unka Naam Hi Samaya Hai
Friday, December 4, 2015
Kitne Tufaan Mujhe Dekh Ke Rukh Moor Lete Hain - Urdu Poetry
Roman Urdu Poetry
Kitne Tufaan Mujhe Dekh Ke Rukh Moor Lete Hain,
Mujh Pe Maa’n, Teri Dua’on Ka Asar Hai Kitna….!
Tufaan= Storms; Dua’on= Prayers
Urdu Poetry
کتنے طوفان مجھے دیکھ کے رخ مور لیتے ہیں،
مجھ پہ ماں ، تیری دعاؤں کا اثر ہے کتنا
Thursday, December 3, 2015
Na karta zabt main nala to phir aisa dhuan uthta – Ibrahim Zauq
Na karta zabt main nala to phir aisa dhuan uthta
ki niche aasman ke aur naya ik aasman hota
jo rota khol kar jee tangana-e-dahar mein aashiq
to ju-e-kahakashan mein bhi falak par khoon ravan hota
bagula gar na hota vadi-e-vahashat mein ae majanun
to gumbad hum se saragashton ke tubat par kahan hota
na karta zabt main giriya to ae “zauq” ik ghadi bhar mein
katore ke tarah ghadiyal ke garq aasman hota
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq
Aj ashkon ka tar tut gaya – Saifuddin Saif
aj ashkon ka tar tut gaya
rishta-e-intazar tut gaya
yun wo thukara ke chal diye goya
ik khilauna tha pyar tut gaya
roye rah-rah kar hichkiyan lekar
saz-e-gam bar bar tut gaya
aap ke berukhi ka shikava kya
dil tha napaidar tut gaya
dekh li dil ne besabati-e-gul
phir tilism-e-bahar tut gaya
‘saif’ kya char din ke ranjish se
itani muddat ka pyar tut gaya
koi to bat chide aj bahut jee hai udas
kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi
ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht
kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi
ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib
aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi
ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum
un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saifuddin Saif
Jis Se Hum Naraz Hua Karte Hai
Pyar Kya Hai,
Jo Hume Aksar Rula Deta Hai
Pyar Kya Hai,
Jo Hume Zindagi Se Khafa Karta Hai,
Pyar Kaun Hai
Jo Hame Apno Se Juda Karta Hai
Pyar Kaun Hai,
Jo Hame Majboor Karta Hai..
Pyar Shayad Khushi Hai,
Jis Mein Hum Dard Mehsoos Karr Lete Hai
Pyar Shayad Zindagi Hai,
Jis Se Hum Naraz Hua Karte Hai
Pyar Shayad Kisi Ka Izhaar Hai
Jis Se Hum Inkaar Kiya Karte Hai
Pyar Shayad Duniya Hai,
Jahan Premi Mil Karr Bichad Jaaya Karte Hai…
Wednesday, December 2, 2015
Full Forms Funny Shayari
H.O.L.L.A.N.D
Hope Our Love Lasts And Never Dies.
I.T.A.L.Y.
I Trust And Love You.
L.I.B.Y.A.
Love Is Beautiful; You Also.
F.R.A.N.C.E.
Friendships Remain And Never Can End.
C.H.I.N.A.
Come Here.. I Need Affection.
B.U.R.M.A.
Between Us, Remember Me Always.
N.E.P.A.L.
Never Ever Part As Lovers.
I.N.D.I.A.
I Nearly Died In Adoration.
K.E.N.Y.A
Keep Everything Nice, Yet Arousing.
C.A.N.A.D.A.
Cute And Naughty Action That Developed Into Attraction
K.O.R.E.A.
Keep Optimistic Regardless Of Every Adversity.
E.G.Y.P.T.
Everything’s Great, You Pretty Thing!
M.A.N.I.L.A.
May All Nights Inspire Love Always.
P.E.R.U.
Phorget (Forget) Everyone… Remember Us.
T.H.A.I.L.A.N.D.
Totally Happy. Always In Love And Never Dull.
Matti ke imarat saya dekar matti mein hamvar hui – Mahashar Badayuni
matti ke imarat saya dekar matti mein hamvar hui
virani se ab kam hai aur virani kis ke yar hui
dar-dar ke qadam yun rakhta hun khwabon ke sahara mein
ye reg abhi zanjir bani ye chanv abhi divar hui
har patti bojhil ho ke giri sab shakhen jhuk kar toot gain
us barish hi se fasal ujadi jis barish se taiyar hui
ab ye bhi nahi hai bas mein ke hum phoolon ke dagar par laut chalen
jis rahguzar par chalana hai wo rahguzar talavar hui
chuti hai zara jab tan ko hawa chubhate hain ragon mein kanten se
sau bar khizan aayi hogi mahasus magar is bar hui
wo nale hain betabi ke chikh uthta hai sannata bhi
ye dard ke shab malum nahi kab tak ke liye bedar hui
likhi hain shikasten itni jahan maqtal mein vahan ye bhi likh do
kitni shamshiren toot gain kitne dushmanon ke har hui
ab gair hawa kitni hi chale ab garm fiza kitni hi rahe
sine ka zakhm charag bana daman ke aag bahar hui
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mahashar Badayuni
Tuesday, December 1, 2015
Ruh bechain hai ik dil ki aziyat kya hai – Kaifi Azmi
ruh bechain hai ik dil ki aziyat kya hai
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai
wo mujhe bhool gai iski shikayat kya hai
ranj to ye hai ki ro-roke bhulaya hoga
wo kahan aur kahan kahif-e-gam sozish-e-jan
us ki rangin nazar aur nuqush-e-hirman
us ka ehsas-e-latif aur shikast-e-arman
tanazan ek zamane nazar aaya hoga
jhuk gai hogi javan-sal umangon ki jabin
mit gai hogi lalak dub gaya hoga yaqin
cha gaya hoga dhuan ghum gai hogi zamin
apne pahale hi gharonde ko jo dhaya hoga
dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge
ashk aankhon ne piye aur na bahaye honge
band kamare mein jo khat mere jalaye honge
ek-ik harf jabin par ubhar aaya hoga
us ne ghabarake nazar lakh bachai hogi
mitake ik naqsh ne sau shaql dikhai hogi
mez se jab meri tasvir hatai hogi
har taraf mujh ko tadapta hua paya hoga
bemahal ched pe jazbat ubal aaye honge
gham pasheman tabassum mein dhal aaye honge
naam par mere jab aansu nikal aaye honge
sar na kandhe se sahali ki uthaya hoga
zulf zid kar ki kisi ne jo banai hogi
ruthw jalvon pe khizan aur bhi chai hogi
barq ashvon ne kai din na girai hogi
rang chehare pe kai roz na aaya hoga
hoke majabur mujhe us ne bhulaya hoga
zeher chup kar ki dawa jan ki khaya hoga
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi