Thursday, December 3, 2015

Na karta zabt main nala to phir aisa dhuan uthta – Ibrahim Zauq



Na karta zabt main nala to phir aisa dhuan uthta
ki niche aasman ke aur naya ik aasman hota
jo rota khol kar jee tangana-e-dahar mein aashiq
to ju-e-kahakashan mein bhi falak par khoon ravan hota
bagula gar na hota vadi-e-vahashat mein ae majanun
to gumbad hum se saragashton ke tubat par kahan hota
na karta zabt main giriya to ae “zauq” ik ghadi bhar mein
katore ke tarah ghadiyal ke garq aasman hota


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq



No comments:

Post a Comment