Yaad Aaoonga
Har Us Lamhe Me Yaad Aaoonga
Jab Tum Tanhayee Me Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh Ke Band Hote Hi Yaad Aaoonag
Jab Kisi Chahane Wale Ki Taraf
Dekhogi To Yaad Aaoonga
Kisi Mohhabath Karnewale Ko Dekhogi
To Yaad Aaoonga
Saans Jab Tak Chalegi Tumhari Tab Tak Bhi
Yaad Aaoonga
Saturday, October 31, 2015
Yaad Aaoonga
Muhabat May Insan Anda Ho jata Hai
Humay kya pata ta k muhabat may insan anda hojata hay…
Pehle hum ne yakeen nhi kiya lekn jab ap k bewafai dekhi to yakeen hua…..
Khair dil chota na kr ye hota hay zindagi may
Jab wafa se nafrat ho jayi gi to bewafao ki yad ayegi…
Thursday, October 29, 2015
Muddat mein wo phir taza mulaqat ka aalam – Jigar Moradabadi
muddat mein wo phir taza mulaqat ka aalam
khamosh adaon mein wo jazbat ka aalam
ALLAH re wo shiddat-e-jazbat ka aalam
kuch kah ke wo bhuli hui har baat ka aalam
aariz se dhalakate hue shabanam ke wo qatre
aankhon se jhalakata hua barsat ka aalam
wo nazron hi nazron mein savalat ke duniya
wo aankhon hi aankhon mein javabat ka aalam
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Bary Masroof Hote Hain Yeh Haseen Log Bhi
Wednesday, October 28, 2015
Aj Maut Ne V Khedi Mere Nal Akh Micholi
Aj Maut Ne V Khedi Mere Nal Akh Micholi
Par Jaan Javegi Meri Hauli Hauli
Tainu Pana Inj Lagda Jive Mai Siveya Di Agg Froli
Tainu Paun Di A Umeed Akhri V Aj Dhundli Ho Gyi A
Ishq Tere Di Peed Vi Aj Mere Sahan Vich Samo Gyi A
Hun Intezar Badi Mudat Da Pata Ni Kad Poora Hona A
Jad Maut Meri Ne Mainu Apni Bukal Vich Lukauna A
Apni Bukal Vich Lukauna A
Yeh Dil Baht Udas Hy
Thaki Thaki Si Aas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Koi To Dard Ras Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Nidhal Yon Hoy K Sab Zaruratain Hee Marr Gai
Na Bhook Hy, Na Pyas Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Ajeeb Tarah K Waswason Main Girr Gai Hy Zindagi
Umeed Hy Na Aas Hy , Yeh Dil Baht Udaas Hy
Yeh Tu Hy Ya Lutta Putta Hoa Koi Khayal Hy
Koi To Aas Pass Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Har Aik Ko Pakar Pakar K Poochtay Rahy
Kahan Wo Gham Shnash Hy, Yeh Dil Baht Udas Hy
Kabi Kabi To Sochtay Hain, Bass Yahi Kehtay Chalain
Yeh Dil Baht Udaas Hy, Yeh Dil Baht Udaas Hy
Chaman roye hanse shabanam biyaban par nikhar aaye
chaman roye hanse shabanam biyaban par nikhar aaye
ek aisa bhi naya mausam mere paravar-digar aaye
wo sar khole hamari lash par divanavar aaye
isi ko maut kahate hain to ya rab bar bar aaye
sar-e-gor-e-gariban aao lekin ye guzarish hai
vahan munh pher kar rona jahan mera mazar aaye
baha ae chashm-e-tar aisa bhi ek aansu nadamat ka
jise daman pe lene rahamat-e-paravar-digar aaye
qafas ke ho liye hum to magar ae ahal-e-gulashan tum
hamen bhi yad kar lena chaman mai jab bahar aaye
na jane kya samajh kar chup hun ae sayyad main varna
wo qaidi hun agar chahun qafas mai bhi bahar aaye
“qamar” dil kya hai main to un ke khatir jan bhi de dun
meri qismat agar un ko na phir bhi aitabar aaye
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Qamar Jalalvi
Aitbar Kay Kis Merhalay Mein Thay
Sanam Kade Ki Taraf Dil Bula Raha He Mujhe
Mager Khayaal-E-Khuda Bhi Sata Raha Hai Mujhe
Khuda Parast Rahoon Ya Sanam Parast Banoon
Tamam Umr Yehi Makhmasa Raha Hai Mujhe
Sunoon Main Baat Jo Dil Ke,Tu Kiya Karoon Tera
Tera Khayaal Bhi Reh, Reh Ke Aa Raha Hai Mujhe
Wajood Qatra-E-Mufrid Bana Ra Hai Mujhe
Udher Ye Behr Musalsal Bula Raha Hai Mujhe
Samajh Raha Tha Ishaara Chaman Se Hai Aaya
Khaber Nahin Thi Ke Maqtal Bula Raha Hai Mujhe
Narad Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Narad Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Narad Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Narad Jayanti sms greeting.
Multi colors of balloon,
Delectated blossom,
Fantastic people,
Love and laughter.
What it describes?
Laugh out loud Whistle a tune Whisper a promise
Savor a memory
Make it a gr8 day
HAPPY BIRTHDAY.
Happy Narad Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team
Tuesday, October 27, 2015
Big In Ladies
What is “big” in Ladies, “small” in girls
and “not” there in babies???
?
?
?
?
The Letter “L”
what u thinking..?? dirty mind
Wo Hum Se Door Reh Kr Khush Hai To Sada Khush Rahe
Submitted by: Ramzan
Monday, October 26, 2015
Mohabbat Kehti Hai Mujhe Kar Ke To Dekho
Smiling not because
I am smiling not because i am stronger
than my problems.
I am smiling because my God is stronger than my problems.
Sunday, October 25, 2015
Khayal-o-khvab hue hain muhabbaten kaisi – Obaidullah Aleem
Khayal-o-khvab hue hain muhabbaten kaisi
lahu mein nach rahin hain ye vahashaten kaisi
na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha
ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi
azab jin ka tabassum savab jin ke nigah
khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi
hawa ke dosh pe rakkhe hue charag hain hum
jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi
jo bekhabar
koi guzra to sada ye di hai
main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi
jo aa rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai
faza ye ho to dilon ke nazakaten kaisi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Obaidullah Aleem
Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar - Bashir Badr
Bashir Badr Ghazal
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha
Saturday, October 24, 2015
Main Ne Tohmat-e-Takfeer Bhi Uthaai Hui Hai
Eik Naiki Merey Hissy Me Bhi Aai Hui Hai,Merey Kaandhon Pe Dharaa Hai Koi Haraa Huaa Ishq
Yeh Ghari Hai Jo Muddat Se Uthaai Hui Hai,
Toot Jaaunga Agar Mujh Ko Banaaya Bhi Gaya
Koi Shaey Aesi Merey Jism Me Samaai Hui Hai,
Sard Mehri Ke Ilaaqey Me Hoon Masroof-e-Duaa
Zinda Rehnay Ke Liay Aag Jalaai Hui Hai,
Qissaa Goo! Teri Chaupaal Se Main Ab Chaltaa Hoon
Raat Bhi Bheeg Chuki, Neend Bhi Aayi Hui Hai…!!!
Merey Dil Kay Udaas Aangan mein
Friday, October 23, 2015
Parveen Shakir Shayari
Kariyaa-E-Jaan Men Koi Phuul Khilaane Aaye
Vo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye
Mere Viiraan Dariichon Men Bhii Khushbuu Jaage
Vo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye
Us Se Ik Baar To Ruuthuun Main Usii Kii Maanind
Aur Merii Tarah Se Vo Mujh Ko Manaane Aaye
Isii Kuuche Men Kai Us Ke Shanaasaa Bhii To Hain
Vo Kisii Aur Se Milane Ke Bahaane Aaye
Ab Na Puuchhuungii Main Khoye Hue Khvaabon Kaa Pataa
Vo Agar Aaye To Kuchh Bhii Na Bataane Aaye
Zabt Kii Shahar-Panaahon Kii Mere Maalik Khair
Gam Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye
Ishq ke shole ko bhadakao ke kuch raat kate – Makhdoom Mohiuddin
Ishq ke shole ko bhadakao ke kuch raat kate
dil ke angar ko dahakao ke kuch raat kate
hijr mein milane shab-e-mah ke gham aaye hain
charasazon ko bhi bulavao ke kuch raat kate
chashm-o-rukhsar ke azagar ko jari rakho
pyar ke nagme ko doharao ke kuch raat kate
koh-e-gam aur garan aur garan aur garan
gamza-o-tesh ko chamakao ke kuch raat kate
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Makhdoom Mohiuddin
Thursday, October 22, 2015
Misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye – Fani Badayuni
misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye
duniya hamari gham ke basa kar chale gaye
phoolon ke aas dil se lagaye hue the hum
kante wo raste mein bicha kar chale gaye
aayi na thi hamare chaman mein bahar abhi
wo khwab aashiyan mein laga kar chale gaye
bhule se bhi kabhi na dil hum bhula sake
dil se hamen wo apne bhula kar chale gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Fani Badayuni
Wednesday, October 21, 2015
Baray Baray Khuab Dikha Kar Muje Dagha Day Gaya
Baray Baray Khuab Dikha Kar Muje Dagha Day Gaya
Koi To Bataey Kaya Jurm Hai Mera Jo Itni Bari Saza Day Gaya
Har Pal Har Gari Mere Sath Raha Karta Tha
Kaya Ye Wo He Shaks Hai Jo Muje Ruswa Kar Gaya
Sara Zamana Ajeeb Nigah Say Daikhta Hai
Aihsaan Kisi Apnay Ka Hai Jo Muje Badnaam Kar Gaya
Tamaam Umar Jis Ki Khatir Raato Ko Jaagi
Kitni Saadgi Say Meri Mohobet Ka Sila Day Gaya
Jiss Ki Khatir Har Apnay Ko Baigana Kiya Tha
Wo Hi Aik Pal Mai Apnay Liay Baigana Kar Gaya
Har Simt Jiss K Sy Ko Apna Samja
Kaisay Dhang Say Us Sy Ko B Juda Kar Gaya
Ab To Hairat Hoti Hai K Vo Apna Tha
Kitnay Piyar Say Meri Dunya Ujaar Gaya
Jiss K Naam K Geet Say Meri Har Subah Hoti
Wo He Apna Sar E Bazaar Muje Nelaam Kar Gaya
Laraz Jati Hu Jani Ab In Tanhaiyo Mai
K Seenay Say Laganay Wala Aaj Tanhaiyo K Hawalay Kar Gaya
Eik Zakhm Khushnuma Dekhay
Ussi Tarah Se Her Eik Zakhm Khushnuma Dekhay
Woh Aaye Tou Mujhe Abb Bhi Hara Bhara Dekhay
Guzar Gaye Hein Bohot Din Rafaqat E Shab Mein
Eik Umr Ho Gai Chehra Woh Chaand Sa Dekhay
Mere Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahe Kya Kya
Bicharte Waqt Unn Ankhon Ka Bolna Dekhay
Tere Siwa Bhi Kai Rang Khushnuma Thay Magar
Jo Tujhko Dekh Chuka Ho Woh Aur Kya Dekhay
Bus Eik Rait Ka Zarra Bacha Tha Aankhon Mein
Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Dekhay
Ussi Se Poochay Koi Dasht Ki Rifaqat Jo
Jub Aankh Kholay, Paharon Ka Silsila Dekhay
Tujhe Aziz Tha Aur Mein Ne Uss Ko Jeet Lya
Meri Taraf Bhi Tou Eik Pall Tera Khuda Dekhay
dukhuon ki kitaab
Jo meri ankhon sy khawab dekho
tou ek be shab na so sako gay
k lakh chaho na huns sako gay
hazaar chaho na ro sako gay
k khuwaab kia hain azaab hain yeh
mere dukhuon ki kitaab hain yeh….
Tuesday, October 20, 2015
Amjad Bukhari Shayari SMS
Hum Apnay Dard Lafzon Ki Zubani Rakh Nahi Saqtay,
Qalam Ki Nok Par Koi Kahani Rakh Nahi Saqtay,
Muhabbat Kar To Saqtay Hain, Humara Almiya Hai Yeh,
K Hum Tawan Mein Apni Jawani Rakh Nahi Saqtay,
Humara Ishq Bala Hai Tumhari Soch Ki Had Se,
Koi Kangan Koi Chori Nishani Rakh Nahi Saqtay,
Muhabbat Kainati Sach Hai, Yeh Tasleem Hai Laikin,
Zameen Zaday Hain, Jazbay Asmaani Rakh Nahi Saqtay,
Humein Toh Zard Rut Ne Qaid Kar Rakha Hai Kuch Aise,
Koi Umeed Ankhon Mein Suhaani Rakh Nahi Saqtay,
Chalo Kuch Phool Le Ayein Nayi Khuwaish K Mousam Se,
Naye Dalaan Mein Yaadein Purani Rakh Nahi Saqtay,
Para Hai Wasta, “Amjad” Muhabbat K Yazeedon Se,
Yahan Hum Apni Ankhon Mein Bhi Pani Rakh Nahi Saqtay..!!!!
“Amjad Bukhari”
Monday, October 19, 2015
Pura Dukh Aur Adha Chand
Pura Dukh Aur Adha Chand
Hijr Ki Shab Aur Aisa Chand
Itane Ghane Badal Ke Piche
Kitana Tanha Hoga Chand
Meri Karawat Par Jag Uthe
Nind Ka Kitana Kachcha Chand
Sehara Sehara Bhatak Raha Hai
Apane Ishq May Sachcha Chand
Rat Ke Shayad Ek Baje Hain
Sota Hoga Mera Chand
Beautiful Birthday Poems
Happy Birthday, Old Friend
Congratulations to you, my old friend,
Birthday wishes to you, I send.
You look good for your age, I could say,
But you look good to me any day.
When I look in the mirror, I sigh,
‘Cause I know the mirror doesn’t lie.
You’re aging like me, so you see
You’re getting to be an old guy.
By Karl Fuchs
Birthday poems do not always rhyme. This birthda
Urdu lines shayari
Khull Jaata Hai Uss Ki Yaadon Kaa Baazar subha subha,
Bus Mera din issi Ronaq Mein Guzar Jaata Hai..!
Hum Tujhe Sheher Mein Yun Dhoondtay Hain
Jis Tarah Loog Sakoon Dhoondtay Hain
Hum Tujhe Sheher Mein Yun Dhoondtay Hain,
Jis Tarah Loog Sakoon Dhoondtay Hain..
Behky behky hooye andaz-e-byan hoty hain
Ap hoty hain to phir hosh kahan hoty hain
Hont paband hain mafoom byan hoty hain
Koi samjhy to ye Aansu bhi zuban hoty hain
Yaad hai teri nigahon ka badalna mujh ko
Aisy andaz qyamat mein kahan hoty hain
Kyun shab-e-gham na jalaoon teri yaadon k chiragh
Un sy roshan meri manzil k nishan hoty hain
Gham hai baqi to kisi roz khushi bhi ho gi
Phool bhi khaak k pehlu mein jawan hote hain..
Sunday, October 18, 2015
I’am Proud To Be A PAKISTANI.
Us Pakistan K Liye
Jis Ka Khowab Allama Iqbal Ne Daikha Tha.
Us Pakistan K Liye
Jo Islam Ke Naam Per Hasil Kiya Gaya Tha.
Us Pakistan K Liye
Jis Ka Matlab La Ilaha Illallah Tha.
Us Pakistan K Liye
Jis K Liye Lakho Logon Ne Apni Jan K Nazrane Paish Kiye.
Us Pakistan K Liye
Jis K Liye Bapon Ne Apni Baitiyon Ko Apne Hathon Se Mar Dala.
Us Pakistan K Liye
Jis K Liye Ma’oon Ne
Apne Jigar Goshe Apne Samne Qurban Hote Daikhe.
Life Is Worth Living
Life is pretty much unpredictable. I may not live long enough but I won’t miss out
letting you know that life is worth living with someone like you around.
Zahan pe chai hui gham ke ghata ho jaise – Krishan Adeeb
Zahan pe chai hui gham ke ghata ho jaise
dard mein dubi hui sari fiza ho jaise
ab dil-e-zar kisi taur bahalata hi nahi
is ka paiman-e-vafa toot gaya ho jaise
pursish-e-gam ke bhi rasm utha di us ne
hal-e-dil sun ke wo sharminda hua ho jaise
ab to har sans ke aamad pe guman hota hai
zindagi ek fasurda sa diya ho jaise
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Krishan Adeeb
Akele Mein Usse Ehd e Wafa Yaad Aaey
Yun Akele Mein Usse Ehd E Wafa Yaad Aaey
Jaise Bnday Ko Museebat Mein Khuda Yaad Aaey
Jaise Bhatke Huey Panhi Ko Nasheman Apna,
Jaise Apnon K Bicharne Pe Dua Yaad Aaey
Jaise Dhalti Hui Shaamon Ko Swera Koi,
Jaise Pinjre Mein Parinde Ko Fiza Yaad Aaey
Jaise Boorhe Ko Khyalat Mein Bacchpan Apna,
Jaise Bacche Ko Shrarat Pe Saza Yaad Aaey
Jaise Ujri Hui Basti Ko Zmana Apna,
Jaise Toofan K Theharne Pe Diya Yaad Aaey.
Yun Akele Mein Usse Ehd E Wafa Yaad Aaey
Friday, October 16, 2015
Thursday, October 15, 2015
Wednesday, October 14, 2015
Tuesday, October 13, 2015
Mere Paas Laut Aana
Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazer Na Aye
To Derna Mat Mere Paas Laut Aana
Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paye
To Udaas Mat Hona Mere Paas Laut Aana
Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote
To Aanso Mat Bahana
Mere Paas Laut Aana
Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Sherminda Mat Hona
Mere Paas Laut Aana
Bas Itna Kehna Chahta Hon
Ke Hamesha Intizar Keronga
Is Zindgi Se Zyada Pyar Keronga
Magar Jab Tumhen Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana
Humsafar Gum Jo Mohabaat Mein
Humsafar Gum Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne,
Yeh Bhi Mujhpar Bada Ehsaan Kiya Hai Tumne,
Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein,
Aaj Mein Khush Hu Ke Deewana Kaha Hai Tumne,
Jab Bhi Takarayi Mere Jism Se Yeh Shokh Hava,
Mujhko Mehasoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne,
Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh,
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch Aake Kaha Hai Tumne,
Hichkiya Bhi Kabhi Kambhakt Nahi Aati Hai,
Jo Yeh Sochoon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne..!!
Father is greatest gift
The greatest gift i ever had
came from God, i call him dad
Father is your first teacher
Height Of Surprise
Height Of Surprise:
Girl:
Today is My Birthday,
Wat R U Gifting Me
Boy:
Can U See Dat Pink Car
On The Right Side Of The Road?
Girl:
Yah Yah
Boy:
I Am Gifting U Hair Pins
Of Dat Same Colour:-D
Ager Ham Dost Hotay
Ager Ham Dost Hotay
Tu Karam Ki Intaha Kertay
Tumhain Palkoon Pe Rakhtay Hum
Tumhain Dil Main Basaatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay Tu
Tumhain Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay Tu
Aa Ker Khud Tumhain Miltay
Tumhari Laghzishoon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Daitay
Ager Apni Khata Hoti
Tu Khud Ko Bhi Saza Daitay
Mager Yeh Sab Jab Hi Hota
Ager Hum Dost Hotay Tu
Mager Itna Hi Jana Hai
K Tum Ne Aaj Tak Hum Ko
Paraaya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdum Na Maana Hai
Ager Hum Dost Hotay Tu ….
Monday, October 12, 2015
Judai shayari in urdu
Hum judai me tumhari mar bhi sakte hain magar,
Chate ye hain k nikale daam tumhare samane.
Khawab Tha Bhikar Gaya, Khayal Tha Mila Nahi,
Magar Ye Dil Ko Kya Hua, Ye Kyu Bujha Pata Nahi,
Tamam Din Udaas Din, Tamaam Shab Udasiyan,
Kissi Se Kya Bichad Gaya, Ke Jaise Kuch Bacha Nahi…
Share with us more Judai shayari in urdu in Comments Section below.
Burqay wali ko
Larka (burqay wali ko cherty huy)
Jahan sabzi wahan Dalda
kesi ho meri Khalida
Burqay wali: Ghor sy dekh manhoos
na dalda na khalida main hon teri Walda.:-)
Sunday, October 11, 2015
Waqt ki yaadein
Saza Ban Jati hai Guzre huwe waqt ki Yaadein
Najane Kyun Matlab k Liye Mehrban hoTe HaiN Logg..
Never sacrifice happines
Never sacrifice happines 4 achievement.
We r al here 4 special reason.
Stop being a prisoner of ur past.
Become the architect of the future….Good morning
Aik Umar Beet Chali
Ek Umar Beet Chali Hy Tujhey Chahtey Hoye
Tu Aaj Bhi Bey-Khabar Hy……… Kal Ki Tarha
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote
Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote
Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote
Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote
Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote
Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote
Saturday, October 10, 2015
Duniya Mein Wafa Karne Walon Ki Kami Nahi
Bas Piyar Usi Se Ho Jata Hai Jo Bewafa Ho....
Best urdu Islamic Sms
RAJAB Beej bonay ka, SHABAN Aab’pashi ka, Or RAMAZAN Fasal kaatne ka mahina he, Lihaza jo RAJAB me EBADAT ka Beej nhi bota Or SHABAN me Ansuon se Serab nhi krta Wo RAMAZAN me FASL-.E-RAHMAT q kr kaate ga? RAJAB ‘Jism’ ko, SHABAN ‘Dill’ ko, Or RAMAZAN ‘Rooh’ ko PAAK karta hy…! Subhan Allah.
Tabahi ka apni nishan chod aaye – Kaif Azeemabadi
Tabahi ka apni nishan chod aaye
varaq dar varaq dastan chod aaye
har ek ajanabi se pata puchate hain
tujhe zindagi hum kahan chod aaye
wohi log jine ka fan janate hain
jo ehasas-e-sud-o-ziyan chod aaye
nikal aaye tanaha teri rahaguzar par
bhatakane ko hum karavan chod aaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam: Kaif Azeemabadi
Friday, October 9, 2015
pyar toh tum say
Mera dil bhi kitna pagal hai yeh pyar toh tum say karta hai
per samny jab tum atay ho …kuch bhi kehnay say drta hai
Thursday, October 8, 2015
us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun-Ameer minai
us ke hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
dhundhane us ko chala hun jise pa bhi na sakun
dal kar khak mere khoon pe qatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahi meri ke mita bhi na sakun
zabt kambakht ne aur aa ke gala ghonta hai
ke use hal sunaun to suna bhi na sakun
us ke pehlu mein jo leja ke sula dun dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakun
naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajade
sar mera arsh nahi hai ki jhuka bhi na sakun
bevafa likhate hain wo apni kalam se mujh ko
ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun
is tarah soye hain sar rakh ke mere zanon par
apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun
poet of the poem / ghazal or nazam : Ameer minai
Wednesday, October 7, 2015
Lo Apna Jahan A Duniya Walo Hum Is Duniya Ko - Sahir Ludhianvi Poetry
Urdu Sahir Ludhianvi Poetry
Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly..
Taqdeer Ki Andhi Gardish Ney, Jo Khel Khilaye Khel Chaly…
Phir Dosh Na Dena Aey Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chaly…
Us Paar Na Janey Kiya Hoga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chaly…
Zindagi Mien Ujala Kaisa
Tu Nahi Tou Zindagi Mien Ujala Kaisa,
Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke Jaisa
Sadma Tou Hai Tu Mere Sang Nahi
Haste Chehre Pe Ye Hamare Muskarana Kaisa
Jeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke Sath
Sath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana Kaisa
Ya Khuda Ye Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai Chahat
Hum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Ye Intezaar Kaisa
Tu Nahi Tou Zindagi Mien Ujala Kaisa,
Roshni Ke Sath Jeete Hai Bas Maut Ke Jaisa
Sadma Tou Hai Tu Mere Sang Nahi
Haste Chehre Pe Ye Hamare Muskarana Kaisa
Jeete Ja Rahe Hai Zindagi Ka Alam Shauk Ke Sath
Sath Tera Na Ho Tou Ye Hasna Hasana Kaisa
Ya Khuda Ye Kaisi Dillagi Hai Aur Kaisi Hai Chahat
Hum Zarra Bhi Paas Nahi Uske Dil K Fir Ye Intezaar Kaisa
Tamannaon ke bahalave mein aksar aa hi jate hain – Roshan Nanda
Tamannaon ke bahalave mein aksar aa hi jate hain
kabhi hum chot khate hain kabhi hum muskurate hain
hum aksar doston ke bevafai sah to lete hain
magar hum janate hain dil hamare toot jate hain
kisi ke sath jab bite hue lamhon ke yaad aayi
thaki aankhon mein ashkon ke sitare jhil-milate hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Roshan Nanda
apani rusavai tere nam ka charcha dekhun – Parveen Shakir
apani rusavai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind aa jaye to kya mahafilen barpa dekhun
aankh khul jaye to tanhai ka sahara dekhun
sham bhi ho gai dhundhala gai aankhen bhi meri
bhulanevale main kab tak tera rasta dekhun
sab ziden us ke main puri karun har bat sunun
ek bachche ke tarah se use hansta dekhun
mujh pe cha jaye wo barsat ke khushbu ke tarah
ang ang apana usi rut mein mahakata dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khvab ban kar teri aankhon mein utarata dekhun
tu mera kuch nahi lagata hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dhadakata dekhun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir
Tuesday, October 6, 2015
Friendship Is Not About Sorry Its About Sari Glti Teri C
Friendship Is Not About Sorry
Its About Sari Glti Teri C”
Frndshp Iz Not About THANX”
Its About Koi
Ahsan ni Kita Tu”
Frndshp Iz not About “I Miss U”
Its About
“Kithy Mar Gya C Eny Din”
Frndshp Iz Not About “I Understand
Its About “Hmesha Main ee Q Smjan”
Frndshp Iz Not About “I M Happy Success”
Itz About “Treet Tere Pyo Ny Deni Ay
Frndshp Iz Not About “r u coming to Us Tomrrow”
Itz About “Drama Bzi Bnd Kr R Chup Chap Tur Mery Nal”
Love U MY Friend..!!!
Monday, October 5, 2015
Sahil Per Wo Dekh Rahi Thi
Sahil per wo dekh rahi thi
Mit’ti banti rait ki lehar’ein
Rukti, chalti, bal khati aur thaki thaki si
Aur samandar aj bhi bilkul wesa hi tha
Heran heran thehra thehra
Tanhai key karb mein doba
Uljha uljha, piyasa piyasa
Shayad isey yaad aai phir sey
Ik kahani,
Jis mei ik choti si gurriya
Aik jazeray per rehti thi
Char’on aur sanata sa
Gurriya khod sey baat’ein kerti
Aksar in baat’on per hasti, aksar rooti
Kabhi kabhi wo thak si jati
Ik din soraj jaga to herat sey dekha
Gurriya ka chota sa ghironda
Dour dour tak kahi’n nahi tha
Mit’ti banti rait ki lehar’ein aur samandar
Souch rahi thi
Sagar ziyada gehra hai ya….?
Yak dam hoq si uthi man mein
Aur wo boli
Dil ka cheyt bohat gehra hai
Tum Dur Sahi Majbur Sahi
Tum dur sahi Majbur sahi
Par yaad tumhari aati hai
Tum saans waha par leti ho
Aur badbu yaha par aati hai
Manana sms
Aey Maah-e-Ramzan Aahista Chalna
Hamain Khasa Qarz Chukana Hai.
Kuch Khuwab Hain Jinko Likhna Hai,
Aur Tabeeron Ko Pana Hai.
Kuch Log Hain Ujray Dil Walay,
Un Sub Main Pyar Basana Hai.
Aur Khizan Raseeda Angan Main,
Ab Aman Ka Beej Lgana Hai.
Kuch Touba Krni Baqi Hai,
Aur Rabb Ko Hamain Manana Hai.
Aey Maah-e-Ramzan Aahista Chalna,
Hamain Khasa Qarz Chukana Hai.
Woh School Ki Pyar Hai Woh Pyar Bhari Baatein
Woh Syllabus Ki Tension Woh Exam Ki Raatein
Woh Canteen Ki Party Woh Friends Ki Laatain
Woh Rothna Manana Wo Bunk Mulaqatein
Parposal Ki Plaaning Main Woh Raat Ka Guzarna
Phir Class Ke Peche Ki Sear Per Sona
Be Tuki Baton Ko Serious Lena
Woh Matlab Ki Baatain Hansi Mein Urana
Na Woh Din Hain
Na Raat
Na Gusa
Na
Baatein
Agar Kuch Hai To Bus
Yaadain Hi Yaadain
Share with us more …Manana sms .in comments section below.
Main hosh mein tha tou
Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise
Har Raat Tujhy Bhool Jany
Har Raat Tujhy Bhool Jany Ka Irada Kar K So Jata Hoon,
Dost
Magar Meri Subha Ka Aghaz Mumkin Hi Nahi Teri Yad K Baghair.
Good Morning…!
Sunday, October 4, 2015
Neend Aati Nahein Junoon
Neend Aati Nahein, Sari Sari Raat
Koi Tuj Sey Kahay, Mere Dil Kee Baat
Aek Tu Jo Nahein, Aaj Mere Saat
Mujh Ko Veran Lage, Saari Kaynat
Tere Aur Mere
Rastey Hon Kabhi Na Juda Na Juda
Kya, Jaane Koi Zinda Hai Kaise
Meri Jaan, Yeh Zindagi To Ho Rahi Hai Veran
Tere Bin Hai Jaan Aise Badan Mein
Jaise Tanha Ho Panchi Chaman Mein
Koi Tuj Sey Kahay, Mere Dil Kee Baat
Aek Tu Jo Nahein, Aaj Mere Saat
Mujh Ko Veran Lage, Saari Kaynat
Mein To Yehi Chahoon,
Dooriyan Na Rahey Dooriyan, Dooriyan Wo,
Aansoon Bhari Aankhon Mey Ghole
Din Raat, Toh Baarishon Meh Bheegta Tha Mere Saath
Aanganon Me Jo Saaye Jawan Thae
Dhoop Me Log Jaltai Kahaan Thae
Neend Aati Nahein
Neend Aati Nahein
Neend Aati Nahein
Pukaarte Hi Rahe Dar Dar Pe Bheek Yaadon Ki
Kul Raat Janai Kya Hova
Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Raha
Saturday, October 3, 2015
Is Umar Men Itni Phurti
is umar men itni b phurti achi nai faraz!
ak laat teri qabar men hai kuch to khyal kar
Kisi Bhi Shai Ka Jahan Mein
Kisi Bhi Shai Ka Jahan Mein Yakin Kuch Bhi Nahin
Hamare Dil Ke Liye Ab Haseen Kuch Bhi Nahin
Wahi Ummed Wahi Khwab Wahi Ghutan
Yahan Per Paoge Taza Tareen Kuch Bhi Nahin
Nayi Zameen O Falak Ki Talash Hai Zaari
Hai Aasmaan Galat Aur Zameen Kuch Bhi Nahin
Zamane Bhar Ke Nigar Aur Mehazbeen Dekhe
Lekin Tumhare Saamne Koi Haseen Kuch Bhi Nahin
Na Jaane Kaun Kaha Kis Tarah Badal Jaaye
Kisi Bhi Shaks Ka Ab To Yakeen Kuch Bhi Nahin
Badalte Waqt Ne Har Baat Bhi Badal Daali
Hai Ab Makam Aham Aur Makin Kuch Bhi Nahin
Milon Door Se
KHAMOSHI:
aisa darakht js pr karwa phal nhi lgta
HASAD:
aisa aala jo insan ko andar or bahir se khatm krta hy
SACHAI:
aisi dawa jski lazzat karwi magr taseer shehad se zyada meethi hy
ZAHANAT:
aisa nadir poda jo mehnat k bagher nhi lgta
KHUSH IKHLAQI:
aisi khushbu jo milon door se mhsos hoti hy.
Friday, October 2, 2015
Thursday, October 1, 2015
will you marry me poems
One day before me an angel stood
And cast out her spell on me,
The radiance in her smile
Nearly blinded me.
Day by day our love grew
Fanned by a flaming heat,
Our souls had walked forever
Our hearts shared one beat.
My days were not the same
Unless I could hear her voice,
And as her love washed over me
My heart it did rejoice.
For no other greater love
Has ever on earth been found,
Our love was heaven sent
But lived here on the ground.
And when she looks my way
I get this heady rush,
My heart and soul begin to spin
And all from just one touch.
My world will never be the same
Since she came into my life,
And I know the day has finally come
When I need her for my wife.
My heart knows this woman is you
For now I clearly see,
I can’t live another day alone
I’m asking now, will you marry me?
On bended knees, please hear my plea.
I come to you, with the deepest emotion,
to proclaim my true love
and undying devotion.
The way I feel,
cannot be concealed,
when we are together,
time stands still.
My love,
I must confide,
I need you now,
forever,
by my side.
I promise to love you,
like theres no tommorow.
I’ll protect and shelter you,
in times of sorrow.
Your happiness,
will be my goal in life,
Once I have made you my wife.
I’ll be your loving husband
for all of our life.
We’ll share a love,
so divine.
Please accept this proposal of mine.
Wear my ring on your finger,
be my partner for all of our life.
Will you marry me ?
Share with us more ..will you marry me poems ..in comments section below