Sunday, October 25, 2015

Khayal-o-khvab hue hain muhabbaten kaisi – Obaidullah Aleem



Khayal-o-khvab hue hain muhabbaten kaisi
lahu mein nach rahin hain ye vahashaten kaisi
na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha
ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi
azab jin ka tabassum savab jin ke nigah
khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi
hawa ke dosh pe rakkhe hue charag hain hum
jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi
jo bekhabar
koi guzra to sada ye di hai
main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi
jo aa rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai
faza ye ho to dilon ke nazakaten kaisi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Obaidullah Aleem



No comments:

Post a Comment