Santa: My wife died yesterday. I’m trying to cry but tears are not coming out, what to do?
Banta: No problem. Just Imagine she came back.
Wednesday, September 30, 2015
Just Imagine She Came Back
Poocha Tha Haal Us Ne Bari Muddaton Ke Baad
Kuch Par Gaya Hai Aankh Mein, Ye Keh Ke Roo Pary… :(
Tuesday, September 29, 2015
Guru Amar Das Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Guru Amar Das Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Guru Amar Das Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Guru Amar Das Jayanti sms greeting.
Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain
Happy Guru Amar Das Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team
Wishing You A Very Happy Mothers Day
When you Feel you Are Alone In The Crowd
When you Think N01 Can Understand U
When you’r Luv Is Rejected By 0thers
Nd When U Hate You’r Life
Just Cl0se You’r Eyes Nd See Her Face Wh0 Luv U
M0re Than Any 1 Else
Wh0 Care F0r U In L0neliness
Nd Dies When U Cry
She Is N0 1 But You’r Sweet Loving Mother
Love You’r M0m First Nd Always…!!!
Monday, September 28, 2015
Sunday, September 27, 2015
Ganwa Baithey
koun ujhra hoga bhari dunia main hamari tarha
aaaaaaaaammmmmiiiiirrrr
wo bhi na mila hum ko our khud ko bhi ganwa baithey……..
Saturday, September 26, 2015
Da Mor Meena
1. Kree rokhana har sahar meena da mor
• Pa sar sore kor bahar meena da mor
2. Dunya daka ka da meene samandar shee
• Kho bemisla wee gohar meena da mor
3. Sa tamheed, sa qaeeda ao sa takalluf
• Zama zra bande khabar meena da mor
4. Pa ghusa ke ghusa na wee kho brund goree
• Latawee da payo asar meena da mor
5. Sta parwaz warta kharpose ghunde khkaree
• Khandee sta pa par wazar meena da mor
6. Pa tandee laka leekaley haal da zra wee
• Oye lwalee zer o zwar meena da mor
7. Che me tekhta da dunya da ghama na shee
• Bya me pat kree pa sadar meena da mor
8. Yao manzal bande la na wee bal ta droomee
• Hamesha laka safar meena da mor
9. Anaa khpo ke qurbani kree wayee mor yam
• Zan ta na kawee nazar meena da mor
10. Na manzal moomi ao na ye tamanna kree
• Na ye dar ao na ye war meena da mor
11. khpe khpe-abla sar sartora pa khanda wee
• Sa pa ghroona bande sar meena da mor
12. Gham ghusa jang o jadal ao fasadoona
• Dey jawab da har yao shar meena da mor
13. Bad-amala jawargar ao nashayan
• Tre na jor kree zan zeegar meena da mor
14. Zoye qurban kree sar pa mor zra pa janan
• Sar ao zra, jism o jigar meena da mor
15. Ma saree ye humra meena pezandale
• Somra opejanee khar meena da mor
16. Da khazan ao da bahar muhtaja na wee
• Hamesha wee sheen shajar meena da mor
17. ka janan laka spogmae wee da dwao shpo wee
• shpa ao warz wee kaloo sar meena da mor
18. Gunahoono bande tor da kanree sakht zra
• Speenawee da tor hajar meena da mor
19. Tol lafzoona me da storo ghunde tat she
• Che khkara she warta nmar meena da mor
20. Sukh ke hera dukh ke dera shee rayada
• Yadawom zaka aksar meena da mor
21. Aey Aziza hagha wraze na wyarega
• Che ba gore dar pa dar meena da mor
Friday, September 25, 2015
Saqiya ik nazar jam se pahale pahale – Ahmed Faraz
Saqiya ik nazar jam se pahale pahale
hum ko jana hai kaheen sham se pahale pahale
khush hua ae dil ke muhabbat to nibha di tune
log ujad jate hain anjam se pahale pahale
ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni ragabat thi tere naam se pahale pahale
samane umr padi hai shab-e-tanhai ke
wo mujhe chod gaya sham se pahale pahale
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz
Sare Musalmanon ko EID MUBARAK
Aaj Khuda ki hum par ho Meharbani,
Karde maf hum logo ki sari Nafarmani,
Eid K din aj aao mil k karain yeh hi wada,
Khuda ki hi rahon main hum chalain gay sada.
Sare Musalmanon ko EID MUBARAK.
Thursday, September 24, 2015
Ek paravaz dikhai di hai
ek paravaz dikhai di hai
teri aavaz sunai di hai
jis ki aankhon mein kati thi sadiyan
us ne sadiyon ki judai di hai
sirf ek safah palat kar us ne
biti baton ki safai di hai
phir waheen laut ki jana hoga
yar ne kaisi rihai di hai
aag ne kya kya jalaya hai shav par
kitni khus-rang dikhai di hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Gulzar
Wo jo bhee hoga gazal shayri
Rukh Se Naqaab Dhal Gaya Hoga
Chand Bhi Dekhake Jaal Gaya Hoga…
Pyar Ka Rang Nikharta Jata Hai
Pata Duniyako Chal Gaya Hoga…
Tuzase Milane ko Tadapa Tha Wo
Sham Suraj Bhi Dhal Gaya Hoga…
Hai Tumhara Alag Andaz – E – Bayan
Sun Baatein Wo Pighal Gaya Hoga…
Ruthake Tumase Jo Bhi Door Gaya
Raah Chalate Fisal Gaya Hoga…
Dard Ke Phool Dil Mein Khilate Hai
Koi Gakar Gazal Gaya Hoga…
Share with us more Wo jo bhee hoga gazal shayri in Comments Section below.
Wednesday, September 23, 2015
Soz-e-dil bhi nahi sukun bhi nahi – Zia Jalandhari
Soz-e-dil bhi nahi sukun bhi nahi
zindagani vabal yun bhi hai
teri khvahish aur is qadar khvahish
vajah-e-hasil sahi junun bhi hai
khush bhi hai iltafat-e-dost se dil
gairat-e-ishq sar nigun bhi hai
jal ke bujh bhi gai ‘zia’ aksar
aag sine mein jyon ke tyon bhi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zia Jalandhari
Sunday, September 20, 2015
Ankhon Ko Intzaar Ka Deke Hunar Chahla Gaya
Ankhon Ko Intzaar Ka Deke Hunar Chahla Gaya
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Din Ki Woh Mehfilein Gayii, Raaton Ke Ratjage Gaye
Koi Samet Kar Mere Sham-O-Saher Chala Gaya,
Jhonka Hai Ek Bahaar Ka,Rang-E-Khayal -E-Yaar Bhi
Har Soo Bikhar Gayi Khushboo Jidhar Woh Chala Gaya
Uske Hi Dam Se Dil Mein Aaj,Dhoop Bhi Chandni Hai
Deke Woh Apni Yaad Ke ,Shams-O-Qamar Chala Gaya
Kucha-B-Kucha ,Dar-O-Dar ,Kab Se Bhatak Raha Hai Dil
Humko Bhula Ke Raah Woh Apni Dagar Chala Gaya
Saturday, September 19, 2015
Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar
Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se
Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai
Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai
Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge
Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge
Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena
Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena
Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke
Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona
Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge
Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Phhol Hota To Tere Dar Pe Saja Bhi Deta
Zakham Teri Dehleez Per Laon Kaise
Payamber Na Muyaser Hua To Kia Khoob Hua
Zabaan Gher Se Kia Sherh-E-Arzoo Kerte
Paas Jab Tak Woh Rahe Dard Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah
Aks Khushbo Hon Bikherne Se Na Roke Koi
Aur Bikher Jaon To Na Samete Koi.
Jis Tarah Khuwab Ho Gae Gae Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Tot Ker Bikhre Koi.
A Mere Gul-E-Zameen Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Aahl-E-Kitaab Ne Mager Tera Kia Haal Ker Dia.
Woh Jawab De Ker Bhi Der Tak Sochta Raha
Koi Baat Sawal Mein Mere Aa Agai
Too Badlta Hai To Be Saakhta Meri Aankhen
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hein.
Ek Se Musaafir Hein Ek Saa Muqader
Mein Zameen Per Tanha Aur Woh Asmanon Per Chaand
Woh Jawaz Dhoondh Rahi Thi Nai Muhabat Ka
Keh Rahi Thi Mein Us Ko Bhool Jaoon
Thursday, September 17, 2015
Sher o shayari on babasaheb ambedkar
SIr uncha uthakar jina sikhaya mere Bhim ne
Shiksha ka mahatwa samjhaya mere bhim ne
Julm ke khilaf sangharsh karna sikhaya mere Bhim ne,
Aaj mai bahot uncha utha hun,
Mujhe uncha uthaya mere Bhim ne
Sara jaha hai jiki sharan me
naman hi us BABA ke charan me
bane us baba ke charno ki dhool
aao mil kar chadhaye shradha ke phool
Asa Bal Janma Aala.
Sara Gaau Gola Zhala
Gunapramane Nav Jyache Saaje
BHIMRAWANCHI BABASAHEBANCHI
Sarya Vishwat Jayanti Gaje !!!
Share with us more Sher o shayari on babasaheb ambedkar in Comments Section below.
Jis k Bina
“wådå ñå kärø ågär nihbä na sako”
“Chaho na uskø jiskö tum paa na sakø”
“Dø§t duñiya me bohat hote hain
mgr”
“Ek dost rakho jis k bina
Tum muskura na $akø.:-D
Wednesday, September 16, 2015
My Beloved Gave Me Limitless
My Beloved Gave Me Limitless (Love), And I
Gathered To The Best Of The Limits, That I Could Hold:
As If, I’ve Lived My Whole Life, Just In A Moment!
(And), Still I’m Living That Moment, A Hundred Times:
To Which, Beloved! I’ve Dedicated, Whole My Life!’
By Abd Bundeli (Ram Prakash Garg)
Tuesday, September 15, 2015
Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai
Submitted By: Pervaiz Abbas
Log Kahtay Ha K Mohabbat
Log Kahtay ha K Mohabbat
Ek Bar Hoti ha,
Galib
Lekin na Janay me Jab bi Usay
Dakhta hun to Muja Har bar
Mohabbat Ho Jati ha.
Monday, September 14, 2015
Sms Muharram Ul Haram
Kia Jalwa Karbala Mein
Dikhaya Hussain Ne
Sajde Mein Ja K Sar
Kataya Hussain Ne
Naize Pe Sar Tha Aur
Zubaan Pr Aayatei?N
Quraan Is Terha
Sunaya Hussain Ne
Nana K Deen Pe Har
Cheez Waar Dii
Kuch Na Apne Paas
Bachaya Hussain Ne
Kyun Aaqa (S.A.W.W) Ko
Na Apne Nawasey Pe
Naaz Ho
Har Qaul
Mustafa (S.A.W.W) Ka
Nibhaya Hussain Ne
Sunday, September 13, 2015
Jalta nahi aur jal raha hun – Khalil ur Rahman Azmi
jalta nahi aur jal raha hun
kis aag mein main pighal raha hun
mafaluj hain hath-panv mere
phir zahan mein q chal raha hun
rai ka bana ke ek parvat
ab is pe khud hi phisal raha hun
kis hath se hath main milaun
ab apne hi hath mal raha hun
kyon aaina bar bar dekhun
main aj nahi jo kal raha hun
ab kon sa dar raha hai baqi
us dar se kyon main nikal raha hun
qadmon ke tale to kuch nahi hai
kis cheez ko main kuchal raha hun
ab koi nahi raha sahara
main aj se phir sambhal raha hun
ye barf hatao mere sar se
main aj kuch aur jal raha hun
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khalil ur Rahman Azmi
Meri Arji Hai Ma Se
“Meri Arji Hai Ma Se”
Bus Itni Si Arji Hai E Meri Maa,
Dil Jalana Chahe Mera Her Lahe Tum,
Per Dena Na Kisi Aatma Ko Kast Bepanah,
Rula Dena Tum Meri Ankho Bar Bar Maa,
Per Dena Na Derd Kisi Dil Ko Bepnah,
Itni Si Arji Hai E Meri Maa,
Her Gum Likh De Chahe Meri Kismat Mai,
Per Dena Na Gum Mere Dildar Ko Kabhi,
Itni Si Arji Hai E Meri Maa,
Jis Maut Se Jaye Meri Maiya K Praan,
Us Maut Per Likh Dena Tu Naam Mera,
Itni Si Arji Hai E Meri Maa,
Jab Mai Rouu Tanha Akeli,
Hath Mera Tham Lena Aaker Sada Hi.
Bus Itni Si Arji Hai E Meri Maa.
Saturday, September 12, 2015
Hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe – Sagar Nizami
hairat se tak raha hai jahan-e-vafa mujhe
tum ne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe
har manzil-e-hayat se gum kar gaya mujhe
mud mud ke rah mein wo tera dekhana mujhe
kaif-e-khudi ne mauj ko kashti bana diya
hosh-e-khuda hai ab na gam-e-nakhuda mujhe
saqi bane huye hain wo ‘sagar’ shab-e-visal
is waqt koi meri kasam dekhata mujhe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Nizami
POETRY & ESSAY
Difference between POETRY & ESSAY.
Any word said by girlfriend is “Poetry” & anything said by wife is an “Essay”!! :-D.
Friday, September 11, 2015
Naiki ker ke
SONEHRI BAAT
NAIKI Kar K Aisy bhool jaaya Karo
Jaisay Log Shadi Kr k Muskrana Bhol jaaty Hain.
Thursday, September 10, 2015
Wednesday, September 9, 2015
Winter ka Taza Kalaam
Winter ka Taza Kalaam..
Arz kiya hai..
.
Alag alag kambal mein so rahay thay Mehmod-o Ayaaz,
Full speed men pankha chala k bhaag gaya Faraz.
Tuesday, September 8, 2015
Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya – Faiz Ahmed Faiz
Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya
phir aj kis ne sukhan hum se gayebana kiya
gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho ke dast-e-udu
salook jis se kiya hum ne aashiqana kiya
the khak-e-rah bhi hum log qahar-e-tufan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya
khusha ke aj har ik muddai ke lab par hai
wo raz jis ne hamen rand-e-zamana kiya
wo hilagar jo vafaju bhi hai jafakhu bhi
kiya bhi “faiz” to kis but se dostana kiya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
Monday, September 7, 2015
Main Rone Se Darti Hun Juda Hone Se Darti Hun
Deshbhakti shayari sms
Sundar hai jag me sabse, naam bhi nayara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha jati-bhasha se badh kar Desh-Prem ki dhara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jita tha prem se sabko, hai “Baapu” us ka naam
Desh ke khatir jisne kiya apna jeewan balidan
Jaha pe vir Bhagat, Azad aur “Bose” ka nara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jaha pe “Suraj” puja aur nadion me mata Ganga
Chandrama pe lahraya jisne apna dhwaj “TIRANGA”,
Vishv ko jisne ZERO dekar kiya navyug ka ujiyara hai,
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jo sadion se aaj bhi har rishte se pyara hai
Sincha jisko khun se humne aur mamta se sawara hai
Jaha Ajuba hai vishv ka, kehlata “TAJ” humara hai
Woh desh hamara hai, woh desh hamara hai
Jis desh ko “Mata” keh ke hum sab ne diya samman
Wo hai Bharat desh mahan, wo hai Bharat desh mahan
Adhikar milte nahi liye jate hain
Aajad hain magar gulami kiye jate hain
Vandan karo un senaniyon ko
Jo maut ko aanchal mein jiye jate hain…
Khushion Ke Deepak Bhi Jalana Doston,
Guzarish Yahi Hai Na Apne Dilon Se,
Shadion Ki Shahadat Ko Bhulana Doston….
Share with us more Deshbhakti shayari sms in comments section below.
Mana K Zakhm Judai Ka
Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag Jaen
Tum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag Jaen
Os Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hy Wo
Aor Dhondein To Kae Zamane Lag Jaen
Hum Iss Aas Pe Bethay Hyn Shikisht-E-Khayal
Ain Mumkin Hy K Wo Ehd Nabhane Lag Jaen
Mana K Zakhim Judai Ka Buhat Gehra Hay
Aor Aisa Bhi Nahin Hy K Hum Dikhane Lag Jaen
Sunday, September 6, 2015
Saturday, September 5, 2015
Main Shohar Number 420
Aap Ne Veer-Zara Film Dekhi Hai? Film Ke End Mein Jab Veer (Shahrukh Khan) Buddha Ho Jata Hai, To Aik Khoobsurat Poem Mein Apna Haal Sunata Hai “Main Qaidi Number 786, Jail Ki Salakhon Se Bahar Deikhta Hoon”. Akhir Mein Uski Zara Ke Sath Shadi Ho Jati Hai Aur Film Wahin Pe Khatam Hoti Hai. Leikin Is Ke Baad Veer (Shahrukh Khan) Kiya Kehta Hai? Wo Hazir Khidmet Hey……
Main Shohar Number 420
Khirki Se Bahar Deikhta Hoon
Larkiyon Se Bhari College Ki Bus,
Jab Unhain Chor K Jaati Hai
Aik Larki Jo Paros Mein Rehti Hai,
Mere Saamne Aati Hai
Khud Ko Samiya Kehti Hai
Mujhe Uncle Bulati Hai
Aisi Pariyon Ko Deikh Kar,
Bahar Jaane Ko Jee Karta Hai
Khirki Se Neeche Kood Kar,
Hath Milane Ko Jee Karta Hai
Apni Biwi Ko Chor Kar,
Bhaag Jaane Ko Jee Karta Hai
Wo Kehte Hain Uska Bhai Tandrust Hai Bohat
Phir Bhi Maar Khane Ko Jee Karta Hai
Wo Kehte Hain Ab Kuch Hath Nahin Aaye Ga
Phir Bhi Kuch Paane Ko Jee Karta Hai
Wednesday, September 2, 2015
Hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya – Ahmed Faraz
hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarate rahe mahafuz kishtiyon wale
main dubata hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehatiyat ke divar kya uthate ho
jo chor dil mein chupa tha wo kam kar bhi gaya
main chup raha ki is mein thi aafiyat jan ke
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochate viran mausamon ke tarah
kada tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam dil mein raha zehan se utar bhi gaya
phati-phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ke wo shakhs mar bhi gaya
magar falak ke adavat usi ke ghar se na thi
jahan ‘faraz’ na tha sail-e-gam udhar bhi gaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
Best Thing About Time
The best thing abt BAD TIME is that,
“It gives us opportunity to realise who is really sincere with us
and who is just having a formal relation.”
Tuesday, September 1, 2015
SIR PeECHeY Se….
2 bachay examinatin hall my bethey they
examiner bht strict tha
cheating nhn karne de rha tha
ek bachay ne chit likh k examiner ko di.
Examiner khamoshi sy ja k apni chair py beth gya.
2sra bacha pehle se: yar tu ne kya likha?
bachay ne kaha
“SIR PeECHeY Se APKI PANT PHATI hui He”
Ye mashvare baham uthe hain chara-ju karte – Aziz Lucknawi
Ye mashvare baham uthe hain chara-ju karte
ab is mariz ko acha tha qiblaru karte
kafan ko bandhe hue sar se aaye hain warna
hum aur aap se is tarah guftagu karte
javab hazarat-e-naseh ko hum bhi kuch dete
jo guftagu ke tariqe se guftagu karte
pahunch ke hashr ke maidan mein haul kyon hai ‘aziz’
abhi to pahali hi manzil hai justaju karte
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Lucknawi
Tussi Hasde Yo Sanu Hasaan Vaaste
Tussi Hasde yo sanu hasaan vaaste
tussi rone yo saanu rovaan vaaste
ek vaar rus ke ta vekho sohneyo
Marr javange tuhanu manaan vaaste
Test Proved a Women
Recent Tests proved a women
I will be ready in five minutes.
and a man, I will be home in five minutes
are exactly the same.
Har ek larki hoti hai maa baap ki jaan,
Har ek larki hoti hai maa baap ki jaan,
Facebook par photo dalkar na karo badnaam,
Kya pta us din yeh dharti hi hil jaye,
Jab kisi page par tumhari behan ki photo mil jaye,
Us din aankh se bebasi ke aansu mat rona,
Main sach kahti hun logo apne zameer ko mat khona..
Aankhoon Mein Pani
Tumhe Bakhshi Hai Dil Pe Hukmrani Aur Kiya Dete
Yahi To Bus Hamari Rajdhani Hai Aur Kiya Dete
Sitaroon Se Kisi Ki Mang Bharna Ek Fasana Hai,
Tumhare Naam Likh De Zindagani Aur Kiya Dete.
Wo Hum Se Mangta Tha Umar Ka Ik Dilnasheen Hissa,
Na Dete Us Ko Apni Jawani Aur Kiya Dete.
Bichharte Waqat Us Ko Ek Na Ek Tohfa To Dena Tha,
Hamare Pass Tha Aankhoon Mein Pani Aur Kiya Dete.