Wednesday, September 2, 2015

Hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya – Ahmed Faraz



hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarate rahe mahafuz kishtiyon wale
main dubata hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehatiyat ke divar kya uthate ho
jo chor dil mein chupa tha wo kam kar bhi gaya
main chup raha ki is mein thi aafiyat jan ke
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochate viran mausamon ke tarah
kada tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam dil mein raha zehan se utar bhi gaya
phati-phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ke wo shakhs mar bhi gaya
magar falak ke adavat usi ke ghar se na thi
jahan ‘faraz’ na tha sail-e-gam udhar bhi gaya
 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz




No comments:

Post a Comment