Wednesday, July 22, 2015

Meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara – Shakeel Badayuni



meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara
tera gham hai dar-haqiqat mujhe zindagi se pyara
wo agar bura na mane to jahan-e-rang-o-bu mein
main sukun-e-dil ke khatir koi dhundh lun sahara
ye fulak fulak havayen ye jhuki jhuki ghatayen
wo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le ishara
mujhe aa gaya yaqin sa yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe daffa’atan pukara
main bataun farq nasih, jo hai mujh mein aur tujh mein
meri zindagi talatum, teri zindagi kinara
mujhe guftagu se bad kar gam-e-izn-e-guftagu hai
wahi baat puchte hain jo na kah sakun dobara
koi aye ‘shakeel’ dekhe, ye junun nahi to kya hai
ke usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



No comments:

Post a Comment