Wednesday, July 8, 2015

Gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai



gulashan ke faqat phoolon se nahi kanton se bhi zinat hoti hai
jine ke liye is duniya mein gham ke bhi zarurat hoti hai
ae vaiz-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milati hain yahan roz qayamat hoti hai
wo purasish-e-gam ko aaye hain kuch kah na sakun chup rah na sakun
kamosh rahun to mushkil hai kah dun to shikayat hoti hai
karana hi padega zabt-e-alam pine hi padenge yah aansu
fariyad-o-fugan se ae nadan tauhin-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daman pe ‘saba’ wo ashq nahi hain pani hai
jo aansu na chalake aankhon se us ashq ke qimat hoti hai


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Saba Afghani



No comments:

Post a Comment