Saturday, May 2, 2015

Tabiyat in dinon begana-e-gam hoti jati hai – Jigar Moradabadi



Tabiyat in dinon begana-e-gam hoti jati hai
mere hisse ke goya har khushi kam hotii jati hai
wohi hai shahid-o-saqi, magar dil bujhata jata hai
wohi hai shamma lekin roshani kam hoti jati hai
qayamat kya ye ae husn-e-do aalam hoti jati hai
ke mahafil to wahi hai, dilkashi kam hoti jati hai
wohi maikhana-o-sahaba, wohi sagar wahi shisha
magar aavaz-e-noshanosh maddham hoti jati hai
wohi hai zindagi lekin ‘jigar’ ye hal hai apna
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Jigar Moradabadi



No comments:

Post a Comment