Friday, May 22, 2015

Dil mein dard aah balab chashm guharbar liye – Akhtar Sandelvi



Dil mein dard aah balab chashm guharbar liye
yun jiya jata hai ae dost to phir kon jiye
khoon hai har gam-e-hasti ka hamare sir par
hum gam-e-ishq ke maron ne bade pap kiye
chand ke chehare pe makhmur gilafi aankhen
sang-e-marmar ke hasin taqon mein jalate hain diye
main tha be-saro-saman bahut saf bacha
rah mein rahnumaon ne bade dav kiye
jab se aagosh-e-gam-e-zist mein aa baitha hun
dhundhate phirate hain qasid tere paigam liye
rashk se dekhte hain tujh ko kai zohrajabin
hum nikalate hain jab hathon mein tera hath liye
pahale tashvish sukun-e-dil va jan thin ‘akhtar’
ab pareshan hun afakar pareshan ke liye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Sandelvi



No comments:

Post a Comment