Thursday, July 31, 2014

Abi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do



23323


Abi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do
Mujhe Khamosh Rehne Do


Suna Hai Ishq Sacha Ho To
Khamoshi Laho Ban Kar Ragon Mien Nach Othti Hai


Zara Uss Ki Ragon Mien Khamoshi Ko Jhoom Jane Do
Abi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do


Usey Mien Kuyn Bataon Us Ko
Mein Ne Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai


K Sach Baat Ke Khusbo To Khud Mehsoos Hoti Hai
Meri Baaten Meri Sochen Use Khud Jaan Jane Do
Abi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do ?



Haat Samaiy Ke Khanjar Dekh



Haat Samaiy Ke Khanjar Dekh
Faile Jantar-Mantar Dekh


Sacchayi Ka Haal Na Pooch
Bikhre Asthi-Panjar Dekh


Guna-Bhag Mein Vyasth Rahe
Pyase Pade Samandar Dekh


Khad, Swarth Ki Adhik Padi
Huyi Bhawna Banjar Dekh


Kab Tak Sangarenge Ram
Gali-Gali Das-Kandhar Dekh


Mere Hasne Per Math Jaa
Ghav Anginat Andhar Dekh



Wednesday, July 30, 2014

Quiet Increases Gap

When you being Hurt by the Person who is Close to you


do Fight Because


Fight may Saves Relations But being quiet just Increases Gaps

Da Khpal Zarrgi Da Parharono Qisay



Da Khpal Zarrgi Da Parharono Qisay Chatha Okrram,
Za Da Nemgarri Armanono Qisay Chatha Okrram.


Hagha 6 Ma Sara Yozai Ba Sang Pa Sang Garzedo,
Da Hagha Khkuli Da Yadoono Qisay Chatha Okrram.


Hes Khabar Na Wom Che Ba Mala Rakavi Zahmoona,
Os Da Chaman Da Sro Gulono Qisay Chatha Okrram.


Har Yo Lamha Da Jwandun Mala Ye Badala Krala,
Za Da Ter Shawe Baharono Qisay Chatha Okraam.


Sta Da Nazar Ghashi Zma Pa Zarrgi Owaredal,
Za Da Parhar Parhr Zakhmono Qisay Chatha Okrram.


Da Zra Pa Ranz Bande Akhta Yama Raghegama Na,
Da Khpalo Ohko Selabono Qisay Chatha Okraam.


Os Me Be-Ora Imdad Khiyala Be-Gunah Swazavi,
Za Da Hijran Da Sro Orono Qisay Chatha Okraam.


(Contact # 091-6514039)



Bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain – Hasrat Mohani



Bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain
ilahi tark-e-ulfat par wo kyonkar yaad aate hain
na ched ae ham-nashin kaifiat-e-sahaba ke afsane
sharab-e-bekhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain
raha karte hain qaid-e-hosh mein ae wai nakami
wo dasht-e-khud faramoshi ke chakkar yaad aate hain
nahi aati to yaad unaki mahinon bhar nahi aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
haqiqat khul gai ‘hasrat’ tere tark-e-mohabbat ke
tujhe to ab wo pahale se bhi bad kar yaad aate hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Mohani



No Love like a Mother’s Love



No Love like a Mother’s Love


There is no love, like a mother’s love,
no stronger bond on earth…
like the precious bond that comes from God,
to a mother, when she gives birth.


A mother’s love is forever strong,
never changing for all time…
and when her children need her most,
a mother’s love will shine.


God bless these special mothers,
God bless them every one…
for all the tears and heartache,
and for the special work they’ve done.


When her days on earth are over,
a mother’s love lives on…
through many generations,
with God’s blessings on each one.


Be thankful for our mothers,
for they love with a higher love…
from the power God has given,
and the strength from up above.
by Jill Lemming



Tuesday, July 29, 2014

The Most Beautiful Discovery

The most beautiful discovery true friends make is
that they can grow separately without growing apart.

Monday, July 28, 2014

Kaho To Laut Jate Hain poetry | Kaho To Laut Jate Hain in urdu

Kaho To Laut Jate Hain

Abhi To Baat Lamhon Tak He, Salon Tak Nahi Aai
Abhi Muskanon Ki Nobat Bhi Nalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peron Tak He. Balon Tak Nahi Aai

Kaho To Laut Jate Hain

Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zuban Datoon Talak Hai Zehr Piyalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Musk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwan Humaray Darmian He, Duniyan Walloon Tak Nahin Aai

Kaho To Lout Jatan Han

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Han Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Nar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han

Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Dar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Han

Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay To Sath Tumharay Amer Hounay Ki Hasrat He
Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Dar Ka Rasta
Ye Asaboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghar Ka Rasta

Tumhary Gaisooun Ki Chaoon Mil Jayay To Suraj Se Ulajhna Bat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Mere Hath Man Ho To Me Ye Samjho
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Jayain
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Jayain.
Mujhe Maloom He Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo

Kahoo To Chaltay Rahtay Han
Kahoo To Lout Jatay Han...!!!

Mohabbat Jeet Hoti Hai!



Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati Hai!
Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se
Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai
Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai
Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai
Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai
Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati!



Sunday, July 27, 2014

New Year Eve Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest New Year Eve Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy New Year Eve greeting.


New Year Good Wishes SMS
Years come n go, but this year I specially wish 4 u a double dose of health n happiness topped with loads of good fortune. Have a gr8 year ahead! HAPPY NEW YEAR!!!!!


Happy Last Night of 2015″
May today’s sun set wth a lot of happines
nd 2015′s Morning brings a lot of succeses
nd uncounted happines in ur life.AMEEN


May what you see in the mirror delight you, and what others see in you delight them. May someone love you enough to forgive your faults, be blind to your blemishes, and tell the world about your virtues.


Happy New Year Eve Mubarak to all of you from Shayari Online Team



Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai

Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai,
Kis Qadar Jaldh Badal Jaty Hain Insaan Janan…

Season Sad Poetry

Saturday, July 26, 2014

Rukane ka samay guzar gaya hai – Parveen Shakir



Rukane ka samay guzar gaya hai
jana tera ab thahar gaya hai
rukhsat ke ghadi khadi hai sar par
dil koi do-nim kar gaya hai
matam ke faza hai shahar-e-dil mein
mujh mein koi shakhs mar gaya hai
bujhane ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khvab-e-saba bikhar gaya hai
bas ik nigah ke thi us ne
sara chehara nikhar gaya hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir



Thursday, July 24, 2014

Rothey Ho Mujhse Mujhe



Rothey Ho Mujhse Mujhe Manana Nahin Aata
Kyun Tumhari Hi Tarah Tumhe Satana Nahin Aata


Jaan Ban Gaye Ho Meri Yeh Jaan Lo Tum
Ab Tumhare Bina Mujhe Jeena Nahin Aata


Naaraz Ho Mujse Tumhe Manao Kaise
Apne Is Pyar Ka Yakeen Tumhe Dilao Kaise


Kyun Aitbaar Nahin Karte Tum Meri Is Mohabbat Pe
Ab Iske Siwa Mujhe Aur Kuch Kaam Nahin Aata


Kyun Door Chale Gaye Ho Tum Mujhse
Mujhe To Tumhe Apne Paas Bulana Nahin Aata


Tumse Door Kaise Chale Jaye Hum
Humein Tumse Door Hona Nahin Aata


Pyar Karte Hain Tumse Bahut Yeh Kaise Kahein Hum
Hum Jaante Hain Shayad Humein Yeh Kehna Nahin Aata



Us K Alfaz Main Is Kadar Noor Tha




Us K Alfaz Main Is Kadar Noor Tha....
K Us Ki Yaad Main Rona Bhe Manzoor Tha....
Bewafa Bhe Nahi Keh Sakta Us Ko....
Q K
Piyar To hum Nai Kia Tha Wo To Bekasoor Tha....


By: Jannet

Kaash Hame Bhi Koi Samjhane Wala Hota



Kaash Hame Bhi Koi Samjhane Wala Hota,
To Aaj Hum Nasamajh Na Hote,


Kaash Koi Prem Ki Pyali Pilane Wala Hota,
To Aaj Hum Sharaabi Na Hote,


Kaash Koi Hum Par Jaan Fida Karne Wala Hota,
To Aaj Hum Kaatil Na Hote,

Kaash Koi Hamare Saath Ghar Basane Wala Hota,
To Aaj Hum Beghar Na Hote,


Kaash Koi Hamare Saath Dosti Karne Wala Hota,
To Aaj Beghar Dost Ka Na Hota,


Shaayad Accha Hi Hua Ke Koi Bhi Nahi Hai,
Nahi To Aaj Hum Shaayar Na Hote..!!!



Tum ne tahariq mujhe di ki jao dekho – Miraji



Tum ne tahariq mujhe di ki jao dekho
chand taron se pare aur duniyayen hain
tum ne hi mujh se kaha tha ki khabar le aao
mere dil mein waheen jane ke tamanayen hain
aur main chal diya gaur kiya kab is par
kitna mahadud hai insan ke quvvat ka tilism
bas yahi jee ko khayal aaya tumhen khush kar dun
ye na socha ki yun mit jayega rahat ka tilism
aur ab ham-dami-o-ishrat-e-rafta kaise
aah ab duri hai duri hai faqat duri hai
tum kaheen aur main kaheen ab nahi pahali halat
laut ke aa bhi nahi sakata ye hai majboori
meri qismat ki judai tumhen manzur hui
meri qismat ki pasand aayi na meri baten
ab nahi jalvagah-e-khilavat-e-shab afsane
ab to bas tira-o-tarik hai apni raten


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Miraji



Wednesday, July 23, 2014

Mai Ne Chaha Tuje

Mai Ne Chaha Tuje Eid Pe Kuch Pesh Karon


Jis Mai Ihsas K Sab Rang Hon Roshan Roshan


Jis Mai Aankhon Ke Tarashe Hoye Moti Lakhon


Jis Mai Shamil Ho Mere Qalab Ki Dharkan Dharkan

Tuesday, July 22, 2014

Niyat e shauq bhar na jaye Kahin | Romantic Poetry


"Nasir kazmi"
Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
tu bhi dil se utar na jaye kahin..

aj dekha hai tujhe der k bad,
aj ka din guzar na jaye kahin..

na mila kar udas logon se,
husn tera bikhar na jaye kahin..

arzu hai k tu yahan aye,
aur phir umr bhar na jaye kahin..

ji jalata hun aur ye sochta hun,
rayegan ye hunar na jaye kahin..

ao kuch der ro hi len 'Nasir',
phir ye dariya utar na jaye kahin..!


Tags: Nasir Kazmi Poetry, Nasir Kazmi, kuch dair ro hi lain, husn shayari, udas log, niyat e shauq, dard bhari shayari, urdu ghazal, urdu poetry, husn poetry

JASHAN-E-AZADI



JASHAN-E-AZADI
Aik Pathan
Pakistan Ka Flag Lene Aik Shop Par Gaya
Usne Dukandar Se Kaha Ke
Pakistan Ka Flag Dikhao…


Dukandar Ne Flag Dikhaya
To Pathan Ne Aik Aisi Baat Ki
Jisse Dukandar Ko Gussa Aagaya…


Guess Pathan Ne Kya Kaha Hoga??


?


?


?


?


?


?


?


Pathan Said:
Yaara Isme Aur Colour Dikhao



Ye Such Hai Pehla Pyar Hi Basa Rehta Hai

Ye Such Hai Pehla Pyar Hi Basa Rehta Hai Khayalon Me

Such Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai...

Ye Such Hai Pehla

I Am Laying On The Floor




I Am Laying On The Floor


Not Wanting To See The Door



Ice Cube Melting On My Chest


All There’s Left Is To Detest



The Feelings Burning Within


Leaving Water On My Skin



Alone Because I Was Wrong


To Flind Love That Wasn’t Strong



It Was To Be A New Start


And To Heal The Scars On My Heart



Wishful Thinking On My Part


As Love Left, Back To Her Start



Back To The One She Craved Most


She Disappeared Like A Ghost



A Dream So She Seem To Be


I Can’t Wak Up To See



The Emptiness At My Side


All I Want To Do Is Hide



And Forget This One Mistake


Heart Break, And Love Was Being Fakef








Monday, July 21, 2014

Tumhare shahar ka mausam bada suhana lage – Qaiser ul Jafri



Tumhare shahar ka mausam bada suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
tumhare bas mein agar ho to bhool jao hamen
tumhen bhulane mein shayad mujhe zamana lage
hamare pyar se jalne lagi hai ye duniya
dua karo kisi dushman ki baddua na lage
na jane kya hai us ke bebak aankhon mein
wo muh chupa ke jaye bhi to bevafa lage
jo dubana hai to itane sukun se dubo
ke aas pas ke laharon ko bhi pata na lage
ho jis ada se mere sath bevafai kar
ke tere bad mujhe koi bevafa na lage
wo phul jo mere daman se ho gaye mansub
khuda kare unhen bazar ke hawa na lage
tum aankh mund ke pi jao zindagi ‘qaiser’
ke ek ghunt mein shayad ye badmaza na lage


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qaiser ul Jafri



Raat Ka Pichla Pehar Hai - Teri Yaad

Raat Ka Pichla Pehar Hai,
Matmi Malboos Orhey,
Dard Ki In Wadiyon Se,
Wehshaton Ke Raste Se,
Larkharati, Dagmagati,
Baal Khole, Bain Karti,
Chandni Ko Saath Ley Kar,
Meri Janib Chal Pari Hai,
Aa Rahi Hai…..
”Teri Yaad”

Yaad Shayari

Sunday, July 20, 2014

Kya Jalwa Karbla Me Dikhaya HUSSAIN ne



Kya Jalwa Karbla Me Dikhaya HUSSAIN ne


Sajde Main Jaa K Saar Ko Ktayaa HUSSAIN ne


Naize Pee Sar Tha Aur Zubaan Pr thi Ayatein


QURAN is taarh Sunaya HUSSAIN ne


NANA k Deen pe hr Chez Waar di


Kuch bhi naa Apne Pass Bachayaa HUSSAIN ne


Kyon AAQA ko naa Apnee Nawasee pe Nazz ho


Hr Qous MUSAFA ka Nibhya HUSSAIN ne..!!!



Zindagi Khushiyo Se

Rahy Salamat Zindagi Un Ki


Jo Meri Khushi Ki Faryaad Karty Hain


Ay Khuda


Un Ki Zindagi Khushio Se Bhar Day


Jo Mujhe Duaon Me Yaad Kartay Hain

Khafa Hone Ke Tariqey

Dhond Raha Hai Woh Mujh Se Khafa Hone Ke Tariqey…!!!


Sochti Hu Thappad Maar Kar Uski Mushkil Aasan Kar Doon..!!

Dil Ke Lutne Ka Sabab



Dil Ki Chottoon Ne Kabhi
Chaen Se Rehne Na Diya
Jab Chali Sard Hawa, Mein Ne Tujhe Yaad Kiya
Is Ka Rona Nahi
Kyoon Tum Ne Kiya Dil Barbaad
Is Ka Gham Hai Keh Bohat Dair Mein Barbaad Kiya



Hum Ko Kis Ke Gham Ne Mara
Yeh Kahani Phir Sahi
Kis Ne Torra Dil Humara
Yeh Kahani Phir Sahi


Dil Ke Lutne Ka Sabab, Poocho Na Sab Ke Saamne
Naam Aye Ga Tumhara
Yeh Kahani Phir Sahi


Nafratoon Ke Teer Kha Kar
Dostoon Ke Shehar Mein
Hum Ne Kis Kis Ko Pukara
Yeh Kahani Phir Sahi


Kya Bataein, Pyaar Ki Baazi, Wafa Ki Raah Mein
Kon Jeeta Kon Hara
Yeh Kahani Phir Sahi..



Saturday, July 19, 2014

Karuun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaauun Use



Karuun Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaauun Use
Gazal Bahaanaa Karuun Aur Gungunaauun Use


Vo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Kii Maanind
Main Zakhm-Zakhm Huun Phir Bhii Gale Lagaauun Use


Ye Log Tazakare Karate Hain Apane Logon Se
Main Kaise Baat Karuun Aur Kahaan Se Laauun Use


Magar Vo Zuudfaraamosh Zuud Ranj Bhii Hai
Ke Ruuth Jaaye Agar Yaad Kuchh Dilaauun Use


Vahii Jo Daulat-E-Dil Hai Vahii Jo Raahat-E-Jaan
Tumhaarii Baat Pe Ay Naasiho Ganvaauun Use


Jo Hamsafar Sar-E-Manzil Bichhad Rahaa Hai ‘Faraz’
Ajab Nahiin Ki Agar Yaad Bhii Na Aauun Use



Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo - Wasi Shah

wasi shah poetry

Wasi Shah Poetry

Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kardo

Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo…

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo…

Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo…

Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo…

Chalo Tum Theek Kehte Ho

Chalo Tum Theek Kehte Ho
Muhabbat Aur Siyasat Me
Sabhi Atwaar Jaiz Hain
Chalo Hum Maan Lete Hain
Magr Ye Jang Kesi Hai
Tum Hi Mere Muqabil Ho
Chalo Hum Jeet Ki Khawahish
Tum Hi Pe Waar Dete Hain
Dhanak K Pull Pe Chal K Hum
Gagan K Paar Jate Hain
Chalo Hum Haar Jate Hain...!

Chalo Tum Theek

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Duaaen Karta Tha Ujjre Hue Mazaaron Pe

Bare Ajeeb Sahaare Talaash Karta Tha

Bhulaaye Kon Aziyyat Pasandiyaan Us Ki

Khushi K Dher Me Sadmy Talash Karta Tha...

Duaaen Karta Tha

Friday, July 18, 2014

Adat Mujhe Andheron Se Darne Ki Daal Kar

Adat Mujhe Andheron Se Darne Ki Daal Kar
Aik Shakhs Meri Zindagi Ko Raat Kar Gaya...

Adat Mujhe Andheron

Dabi Dabi Si Wo Muskarahat



Dabi Dabi Si Wo Muskarahat
Labon Pa Apna Saja Saja K,


Wo Naram Lehja Main Baat Karna
Ada Sa Nazrain Jhuka Jhuka K,


Wo Aankh Teri Shararti Si
Wo Zulf Matha Pa Nachti Si,


Nazar Hatay Na Ek Pal Bi
Main Thak Gya Hon Hata Hata K,



Wo Tera Hathon Ki Unglion Ko
Milla Ka Zulfon Main Kho Sa Jana,


Haya Ko Chehray Pa Phir Sjana
Phool Chehra Khila Khila K,


Wo Hath Horon Ka Ghar Hon Jaisa
Wo Paon Paryon Ka Par Hon Jaisa,


Nahi Ha Teri Misal Jana,
Main Thak Gya Hon Bata Bata K…



Teri talash mein hum jab kabhi nikalate hain – Hafeez Hoshiarpuri



Teri talash mein hum jab kabhi nikalate hain
ik ajanabi ke tarah raste badalate hain
daraz ho gam-e-hijran ki hasil-e-hijran
wo hausalen hain jo aagosh-e-gam mein palate hain
rava nahi hai gam-e-ishq is qadar bhi garur
tere bagair bhi duniya ke kam chalte hain
kabhi jo had se badhi un ke yaad to samajhe
ki un ke dil mein bhi kuch valvale machalate hain
shab-e-firaq kuch aisi bhi teergi to nahi
kabhi kabhi sar-e-mizgan charag jalate hain
ab un ke gham se bhi maharum ho na jayen kabhi
wo janate hain ki is gham se dil bahalate hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Hoshiarpuri



Funny fair-lovely sms

Teri aankain jhuki jhuki
tera chehra khila khila
jab tere chehre per haath ghumaya
to aadha kilo fair & lovely mila

Thursday, July 17, 2014

Wo Na Bhi Milen To Kya Hua Ye Ishq Hai

Wo Na Bhi Milen To Kya Hua Ye Ishq Hai Hawas Nahi

Me Unhi Ka Tha Unhi Ka Hun Wo Mere Nahi To Na Sahi...

Wo Na Bhi Milen

Firaaq-e-Yaar Ne Bechain Mujh Ko Raat Bhar

Firaaq-e-Yaar Ne Bechain Mujh Ko Raat Bhar Rakha
Kabhi Takiya Idhar Rakha Kabhi Takiya Udhar Rakha...

Firaaq-e-Yaar Ne

Qadmon Mein Taj-o-Takht Bhi Rakhe Gaye Magar

Qadmon Mein Taj-o-Takht Bhi Rakhe Gaye Magar,
Hum Ney Tumhari Yaad Ka Sodaa Nahi Kiya......!!

by: Muhammad Awais

Aahatoun Ki Gounj

Aey Kaash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahatoun Ki Gounj,
Tu Bhi Meri Tarhaan……. Kabhi Dhoondta Mujhey.

Yun teri rahaguzar se divanavar guzri – Meena Kumari ‘Naaz’



Yun teri rahaguzar se divanavar guzri
kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzri
baithe rahe hain rasta mein dil ka khandhar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahar guzri
bahati hui ye nadiya ghulate hue kinare
koi to par utre koi to par guzri
tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha
tu dil hi har guzra hum jan har guzri


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meena Kumari ‘Naaz’



Wednesday, July 16, 2014

Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chupaein Kese

Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chupaein Kese

Teri Marzi K Mutaabiq Nazar Aaein Kese...

Apne Chehre Se

Tuesday, July 15, 2014

Tere bare mein jab socha nahi tha – Meraj Faizabadi



Tere bare mein jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasvir se karta tha baten
mere kamare mein aaina nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha
manane-ruthane ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna hai band kar li us ne aankhen
kai raton se wo soya nahi tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meraj Faizabadi



ANS IF YOU CAN

ANS IF YOU CAN !!!
1 Ladke ne 1 Ladki se uska naam pucha…..
Ladki ne kaha mera naam iss
Kagaz mein likha hai.
Usme likha tha: 07/09/2001
expert ho to ladki ka naam batao !!
Ansawer:Gita

Aj ke din na pucho mere dosto – Faiz Ahmed Faiz



Aj ke din na pucho mere dosto
dur kitne hain khushiyan manane ke din
khul ke hansane ke din geet gane ke din
pyar karne ke din dil lagane ke din
aj ke din na pucho mere dosto
zakhm kitne abhi bakht-e-bismil mein hain
dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain
tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain
aj ke din zubun hai mere dosto
aj ke din to yun hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke purane nishan
sab chale su-e-dil karavan karavan
hath sine pe rakho to har ustakhvan
se uthe nala-e-al’aman al’aman
aj ke din na pucho mere dosto
kab tumhare lahu ke darida alam
farq-e-khurshid-e-mahashar pe honge raqam
az karan ta karan kab tumhare qadam
leke uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam
jis dil mein dhul jayega aj ke din ka gham
sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam
dur kitni hai khurshid-e-mahashar ke lau
aj ke din na pucho mere dosto


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



Dil Me Kaanton Ki Khalish Rakhte Hue

Dil Me Kaanton Ki Khalish Rakhte Hue
Log Milte Hain Tar-o-Taza Gulaabon Ki Tarha...

Dil Me Kaanton

Sunday, July 13, 2014

Qabool-e-Jurm Hai Aye Ishq Tere Qadmon Main

Qabool-e-Jurm Hai Aye Ishq Tere Qadmon Main Gir K
Saza-e-Mout Hai Manzoor Mohabbat Ab Nahi Karni...

Submitted By: Haya Khan

Qabool-e-Jurm Hai

Gift of my Humble Prayers

“I am sending you the gift of my humble prayers ”
May Allah increase your health, wealth, wisdom and prosperity.
May Allah reduce your worries, sorrows, problems and enemies.
May your life be filled with love,strength, peace and blessings. “AAMEEN”
=>A J.

Im In Love With You




I Pretend That You’re Not Here,


Listening To What I Say



But Really You’re The Only One,


That Can Make Everything Okay



I Pretend That I Don’t Care,


When You Don’t Talk To Me



But Really I’m Dying Inside,


I Just Wish You Could See



I Pretend That I’m Fine,


With Us Being Just Friends



But Really I Want To Tell You,


I Don’t Want This To Be How It Ends



I Pretend That I Don’t,


Dream Of You At Night



But Really You’re The Only One,


That Can Make My Wrongs Right.



I Pretend That I Don’t Care,


But Really I Do



I Guess What I’m Trying To Say Is,


I’m In Love With You




Friday, July 11, 2014

Log Dharty Hain Kaan Cheekhon Par

Log Dharty Hain Kaan Cheekhon Par
Hum Si Goongi Kitaab Kon Parhe...

Log Dharty Hain

Thursday, July 10, 2014

Tareef shayari in hindi



Pakar tumhe sapne sach lagne lage
ajnabi se the jo kabhi aaj apne lagne lage
hota nahin yakin khud ki kismat par
dhadkane hote bhi woh jaan lagne lage…
`
Taras gaye apke deedar ko
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai
jo har roz apke husn ka deedar karta hai…
`
Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe
kiya hai maine sada aitbaar chehron pe
main teri bazm me kis – kis se dushmani leta
likha tha naam tera be-shumaar chehron pe…
`
Thi woh koi ladki ya thi woh koi bala
dil uski khoobsoorti mein toh hai bas dhala
kuch lamho ke deedar ke aage na ye dil chala
jaise hua koi jadoo ya dikhayi kisi ne kala…
`
Apke aane se khil gaya hai aangan
aapke saath se jhoom untha hai gagan
aap ho isiliye khush hai sara chaman
aur aapse pyar karne ko hum lenge hazaron janam…
Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan
`
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai
humne suni hai aapki taarif apne kaano se
log to aapko Taj Mahal kehte hai
`
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna,
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
`
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai
`
UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA
`
Phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai
`
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare…



Share with us more Tareef shayari in hindi .in comments section below.



Wednesday, July 9, 2014

Teri duniya mein ya rab zist ke saman jalate hain – Sagar Siddiqui



Teri duniya mein ya rab zist ke saman jalate hain
fareb-e-zindagi ke aag mein insan jalate hain
dilon mein azamat-e-tauhid ke dipak fasurda hain
jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain
havas ke barayabi hai khirad-mandon ke mahafil mein
rupahali tikaliyon ke ot mein iman jalate hain
havadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai
suna hai nakhuda ke naam se tufan jalate hain
shagufe jhulate hain is chaman mein bhuk ke jhule
baharon mein nasheman to bahar-e-unavan jalatae hain
kaheen aazeb ke chan-chan mein majboori tadapati hai
riya dam tod deti hai sunehre dan jalate hain
manao jashn-e-may-noshi bikharao zulf-e-mayakhana
ibadat se to “sagar” dahar ke shaitan jalate hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui



Tuesday, July 8, 2014

wo khak B

Tu dhond Falak par Bagh-E-iram, apna To Aqeeda hy
“Mohsin”..


==”Jis khak pe MUKHLIS dost milain, wo khak B JAnNaT hoti ha.

Main Tumhe Chand Kahun Ye Mumkin To Hai

Main Tumhe Chand Kahun Ye Mumkin To Hai Magar
Log Tujhe Raat Bhar Dekhein Ye Mujhe Gawara Nahi...

Main Tumhe Chand

Jis Pe Aitbar Tha Wo Aj Humain Chorne Ka Soch

Jis Pe Aitbar Tha Wo Aj Humain Chorne Ka Soch Raha Hai
Na Jane Duniya Walon Ko Ghareeb Ache Kiun Nahi Lagte...

Jis Pe Aitbar Tha

Sunday, July 6, 2014

Kabhi Hayaat Ki Zaamin Kabhi Waseela-E-Mot

Kabhi Hayaat Ki Zaamin Kabhi Waseela-E-Mot

Nigaah-E-Yaar Tera Bhi Koi Aitnaar Nahi...

Kabhi Hayaat Ki

Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir – Mohabbat Dua Shayari

Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir,
Jo Mere Honton Se Lafz Nikle,
Jo Meri Aankhon Se Ashk Nikle,
Unhi Ke Badle Mein Aey Khudaya!

Jab Bhi Uska Naseeb Likhna!

Urooj Likhna,
Kamal Likhna,
Kabhi Na Harf-e-Zawal Likhna,
Khushiyan Likhna,
Aur Uski Umer-e-Daraz Likhna….

Dua
By: Jannat Abbasi

Hothon Se Izhar E Mohabbat Kar Na Sake



Hothon Se Izhar E Mohabbat Kar Na Sake
Nigahon Se Karte Rahe Baar Baar
Nadaan Tha Ya The Wo Jaanker Anjaan
Dill Ki Baaton Wo Samjh Na Sake
Marne Ke Baad Aaker Matha Pr Hamari
Rone Lage Wo Ye Kah Kr Baar Baar
Kiyun Jate Ho Ay Sanam Chor Kr Humein
Karte Hai Hum Bhi Mohabbat Apse Beshumaar..!!!



Saturday, July 5, 2014

Tum Meri DUA Ho

Tum meri DUA ho kyoun keh…
Khuch log Qismat ki tarah hotay hain jo Dua se milti hai aur khuch log Dua ki tarah hotay hain jo Qismat badal deti hai.

Too Apnay Fun SA Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh



love-sad-shayari-pictures


Too Apnay Fun SA Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh


Mai Toot-gai Hoon Tu Phir Sa Mujhay Bana K Daikh,


Teray Badan Mein Lahu Ban K Dorrti Hoon Mai


Tujhay Anaa Ki Qasam Hai Mujhay Bhula K Daikh,


Mai Itnay Dard Mei Be Qehqahay Lagati Hoon


Too Ek Dukh Mein Mujhay Sirf Muskara K Daikh,


Tujhay To Mai Nay Hamaysha Mannaya Hai Lakin


Mai Aj Rooth Chali Hoon Mujhay Mana k daikh.



Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi

Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi Magar,
Zulfon Ko Rukh Pe Dekh Kr Niyyat Badal Gai...

Qasmon Ko Torny Ki To Niyat Na Thi Magar

Friday, July 4, 2014

Ahmed Faraz Shayeri



Kuch Andhera B Zaruri Hai Gham-E-Yaar K Sath
Ab Diya Koi Na Rakhe Meri Dewaar K Sath


Mein Jo Ik Umer Masafat Mein Raha, Tab Jana
Rah B Chalti Rahi Hai, Meri Raftaar K Sath


Ham To Yusaf Nahi,Bazaar-E-Sukhan Mein “FRAAZ”
Yun Hi Chal Parte Hein,Har Ik Kharidaar K Sath



Masoom Si Mohabbat Ka Bas Itna Sa Fasana Hai



Masoom Si Mohabbat Ka Bas Itna Sa Fasana Hai
Kaghaz Ki Haweli Hay,
Baarish Ka Zamaana Hay,
Kia Shart-e-Mohabbat Hay,
Kya Shart-e-Zamana Hay
Aawaz Bhi Zakhmi Hay Or Geet bhi gana hai
Us Paar Utarne Ki Umeed Bohat Kam Hay
Kashti Bhi Puraani Hay,
Toofaan Bhi Aana Hay,
Samajhe Ya Na Samjhe Woh Andaaz Mohabbat Ka
Ek Khaas Ko Aankhon Se Ek Shair Sunaana Hay,
Bholi Si Ada, Koi Phir Ishq Ki Zid Per Hay
Phir Aag Ka Darya Hay.. Aur Doob K Jana Hay…



Aa Jao Laut Aao Tum Yeh Dil Keh Raha Hai



Aa Jao Laut Aao Tum Yeh Dil Keh Raha Hai


Tm Bin Jiyaa Jayee Kaisey
Kaisey Jiyaa Jayee Tm Bin
Sadiyon Sey Lumbi Hein Ratein
Sadiyun Sey Lumbe Hove Din
Aa Jao Laut Aao Tum
Yeh Dil Keh Raha Hai
Phir Sham e Tanhyi Jgi Hay
Phir Yaad Tum Aaa Rahe Ho
Phir Jaan Nikaalne Lgi Hay
Phir Mujh Ko Trpa Rahe Ho
Aaa Jaoo Luat Kr Tum
Yeh Dill Keh Raha Hay
Iss Dill Sey Toofan Guzrte Hein
Tum Bin Tu Na Jeete Naa Mrte Hein
Aaa Jaoo Luat Kr Tum
Yeh Dill Keh Raha Hay..!!!



Is naz is andaz se tum haye chalo ho – Kaleem Ajiz



Is naz is andaz se tum haye chalo ho
roz ek gazal hum se kahalavaye chalo ho
rakhna hai kaheen panv to rakho ho kaheen panv
chalana zara aaya hai to itaraye chalo ho
divan-e-gul qaidi-e-zanjir hai aur tum
kya thath se gulashan ke hawa khaye chalo ho
mein mein koi khami hai na sagar mein koi khot
pina nahi aaye hai to chalkaye chalo ho
hum kuch nahi kahate hain koi kuch nahi kehta
tum kya ho tumhin sab se kahalavaye chalo ho
zulfon ke to fitrat hai lekin mere pyare
zulfon se bhi zyada balkhaye chalo ho
wo shokh sitamgar to sitam dhaye chale hai
tum ho ke “kaleem” apni gazal gaye chalo ho



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaleem Ajiz



Kyun Aaj Mein Dukhi Hun



Kyun Aaj Mein Dukhi Hun,
Mujhe Gham Kiska Sata Raha Hai.
Uss Mor Par Jo Andhra Chaya Hai,
Kyun Mujhe Woh Daraa Raha Hai
Kyun Unchayiyana Mere Mulk Ki,
Mujhe Khokhli Dikhai De Rahi Hain,
Kyun Woh Jo Gehra Ander Sama Raha Hai
Woh Hai Meri Zami Ka Dil
Jo Aaj Dukh Mana Raha Hai,
Noch Rahe Hai Zamane Wale,
Har Ek Apna Jeevan Sawar Raha Hai
Mere Mulk Ka Kya Hoga Ae Jan..
Mera Bharat Dukhi Hai , Dukh Mana Raha Hai.



Bande hain hum uske

Bande hain hum uske
Hum pe kiska zor
Ummedon ke sooraj
Nikley chaaron ore
Iraadey hain fauladi
Himmatti har kadam
Apne haathon kismat likhne
Aaj chale hain hum..

Bohat Thay Mere Bhi Is Duniya Mein

Bohat Thay Mere Bhi Is Duniya Mein Apne,
Phir Ishq Hua, Aur Hum La_Waris Ho Gaye....

Ishq-LaWaris

Thursday, July 3, 2014

Sab K Hote Hue Bhi Tanhai

Sab k hote hue bhi tanhai milti hai,,
Yaado m bhi gam ki parchai milti hai,,
Jitni bhi Dua karte hai kisi ko pane ki,,
Utni hi jyada unse Bewafai milti hai.

Faraz K Baad Ab

Faraz k baad ab Nawaz Sharif
k liye Arz Karte Hain Ganja
Teri Sharafat Pe sab ko hai Shak.
Wa wa wa Ganja teri sharafat
pe sab ko hai shak. . . . . . . . . .
Halki Halki Bhook Main Halka Phulka TUC
Ooye market
ma phenk do 1 dm latest aaya hai.

Jin Raahon Pe Ek Umr Tere Sath Chala Hun

Jin Raahon Pe Ek Umr Tere Sath Chala Hun

Arsa Hua Wo Rasty Sunsaan Bohat Hain

Mil Jao K Kabhi Laut K Phir Aun Na Shayad

Kamzor Hun Me Raah Me Toofan Bohat Hain

Ek Tum Hi Nahi Meri Judai Me Pareshan

Hum Bhi To Teri Chah Me Veeran Bohat Hain

Is Tark-e-Wafa Pe Me Usy Kese Bhula Dun

Mujh Par Abhi Us Shakhs K Ehsan Bohat Hain

Bhar Aaen Na Aankhain To Me Ek Baat Bataun

Ab Duniya Se Juda Hone K Mere Imkaan Bohat Hain...

Jin Raahon Pe Ek

Wednesday, July 2, 2014

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ik Baar Ujar Jate Hain - Dard Shayari

Phir Nahi Baste Wo Dil Jo Ik Baar Ujar Jate Hain,
Qabrein Jitni Bhi Sanwaro Wahan Ronaq Nahi Hoti….

Dard Poetry

For One Second Time Stood Still




For One Second Time Stood Still For I Am Locked Onto The Gateway Of Your Soul


For One Second The Air Suspends And We Are Both Lifted Off The Ground



For One Second I Hear No Sound Yet Melodies Of Love Enchants Me In Waves


For One Second Words Have No Meaning Yet I Understand Everything



For One Second Everything Is Clear Yet My Eyes Are Closed


For One Second All I Can Dream Of Is One Image Of You



For One Second There Is Magic In The Air Yet We Are Two Ordinary People


For One Second Angels Dance All Around Us Yet We Are Not In Heaven



For One Second I Feel Free Yet Id Never Want To Leave You


For One Second I Feel Alive Yet Id Rather Die Without You



For One Second My Understanding Of My Life Is Only Through You


If I Could Be With You For Just One Second Please Let It Be This Second





Tuesday, July 1, 2014

Pehlo main betha kar

Pehlo main betha kar yar ko.


Jo log kuch nai karte. Woh kamal karte hain.


Good morning . Asslam o alikum

Dekh kar us hasin paikar ko – Farigh Bukhari



Dekh kar us hasin paikar ko
nasha-sa aa gaya samandar ko
dolati dagmagati-si nav
pi gai aa ki sare sagar ko
khushk pedon mein jan padane lagi
dekh kar rup ki samandar ko
bahar pyase ki justaju mein hai
hai sadaf ki talash gohar ko
koi to nimva darichon se
dekhe us ratjage ki manzar ko
ek devi hai muntazir ‘farig’
va kiye pat sajaye mandr ko




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Farigh Bukhari



Kya Zaruri Hai K Hathon Main Tera Hath

Kya Zaruri Hai K Hathon Main Tera Hath Bhi Ho,
Chand Yaadon Ki Rafaaqat Hi Bohat Hoti Hai...

Kya Zaruri Hai K Hathon