Wednesday, July 30, 2014

Bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain – Hasrat Mohani



Bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain
ilahi tark-e-ulfat par wo kyonkar yaad aate hain
na ched ae ham-nashin kaifiat-e-sahaba ke afsane
sharab-e-bekhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain
raha karte hain qaid-e-hosh mein ae wai nakami
wo dasht-e-khud faramoshi ke chakkar yaad aate hain
nahi aati to yaad unaki mahinon bhar nahi aati
magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
haqiqat khul gai ‘hasrat’ tere tark-e-mohabbat ke
tujhe to ab wo pahale se bhi bad kar yaad aate hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Mohani



No comments:

Post a Comment