Saturday, June 7, 2014

Kam aa sakin na apni vafayen to kya karen – Akhtar Shirani



Kam aa sakin na apni vafayen to kya karen
ik bevafa ko bhool na jayen to kya karen
mujh ko ye etaraf duaon mein hai asar
jaye na arsh par jo duayen to kya karen


ik din ke baat ho to use bhool jayen hum
nazil hon roz dil pe balayen to kya karen


shab bhar to un ke yaad mein tare gina kiye
tare-se din ko bhi nazar aayen to kya karen


ahad-e-tarab ke yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhool na jayen to kya karen


ab jee mein hai ki un ko bhula kar hi dekh lain
wo bar bar yaad jo aayen to kya karen
tark-e-vafa bhi jurm-e-muhabbat sahi “akhtar”
milane lagen wafa ke sazayen to kya karen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani



No comments:

Post a Comment