Monday, June 16, 2014

Is ada se wo wafa karte hain – DaaG Dehlvi



Is ada se wo wafa karte hain
koi jane ke wafa karte hain
hamako chodoge to pachataoge
hansanae valon se hansa karte hain
ye batata nahi koi mujhko
dil jo aa jaye to kya karte hain
husn ka haq nahi rehta baqi
har ada mein wo ada karte hain
kis qadar hain teri aankhen bebak
in se fitne bhi haya karte hain
is liye dil ko laga rakkha hai
is mein dil ko laga rakkha hai
“dag” tu dekh to kya hota hai
jabr par jabr kiya karte hain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



No comments:

Post a Comment