Wednesday, April 30, 2014
Woh Subha Ka Dhoop Ley
Woh Subha Ka Dhoop Ley Aaye Tere Pyaar Ka Sandesh
Woh Mujhe Phir Na Mile Uss Subha Ke Baad
Umar Guzar Jaati Hai Tere Intezar Mein Uss Subha Ke Baad
Ek Mulaqat Thi Aur Tanha Ruk Gaye Hum Uss Subha Ke Baad
Ek Aisa Zakhm Mila Hai Humey Uss Subha Ke Baad
Laut Aane Ki Umeed Mein Zindagi Gawa Di Humey Uss Subha Ke Baad
Andher Lag Rahe Hai Sare Duniya Ki Takhleeq Uss Subha Ke Baad
Mayus Hue Hai Hum Har Lamha Uss Subha Ke Baad
Batao Aisa Kiya Karen
SARDAR:
Batao aisa kiya karen k Saanp bhi mar jaye aur Laathi bhi na tootay ?
,
,
PATHAN:
Jootay se maar do:)
Tuesday, April 29, 2014
Seeing Cockroach
Seeing a cockroach on ur bed is actually nothing…
.
The real problem starts when it disappears… 😀
Gam-e-hayat ka jagada mita raha hai koi
gam-e-hayat ka jagada mita raha hai koi
chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi
kaho ajal se zara do ghadi thahar jaye
suna hai aane ka wada nibha raha hai koi
wo aj lipate hain kis nazuki se lashe ko
ki jaise ruthon huon ko mana raha hai koi
kaheen palat ki na aa jaye sans nabzon mein
hasin hathon se mayyat saja raha hai koi
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Sardar Anjum
Log Kahte Hai Ki Mai Tujh Se Juda Ho Jaon
Ghazal
Log Kahte Hai Ki Mai Tujh Se Juda Ho Jaon
Dil Ye Kahta Hai Ke Mai Tujh Me Fana Ho Jaaoon
Dekh Kar Teri Hatheli Ki Ye Mehdi Jaanaa’n
Ji To Karta Hai Tera Dast E Hina Ho Jaaoon
Kya Huwa Paas Me Tere Jo Nahi Hai Chaadar
Aa Mere Paas Me Mai Teri Rida Ho Jaaoon
Meri Fitrat Me To Shaamil Hai Manaana Tujhko
Phir Bhala Yaar Mai Kyun Tujh Se Khafa Ho Jaaoon
Is Bhare Shahr Me Sab Aag Ugalte Hain Sana
Kyun Na Mai Aisa Karoo’n Baad E Saba Ho Jaaoon
Monday, April 28, 2014
14th August Mubarak Ho
¡=–.._..-=-._.¡ ! (* ;¡=–!._..-=-._;¡¡
1
2
3
Ham zinda Qaom hain
Bari Sharminda Qaom hain.ham sab ke hai pehchan
PANI,BIJLI,GAS Ka Buhran. I Love pakistan Pakistan Pakistan
@@14 AUGUST@@ MUBAARAK HO….
Student s Life
*Student’s life*
Whole year:
Dhinka chika..
Dhinka chika..
A A A A.. 😛
.
.
.
.
.
.
Last night before exam:
ilaahi teri chokhat pay,
Bikhari ban k aya hoo….
Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
Kyun Kar Na Meray Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
Jannat Mein Lay Kay Jaey Ghi Chahat Rasool Ki
Chaltee Hoon Mein Be Qafelay Walo Ruko Zara
Milnay Do Bas Mujhay Be Ijazat Rasool Ki
Phochay Jo Din-O-Iman Nakerain Qabr Mein
Us Waqt Meray Lab Pay Ho Midhat Rasool Ki
Tarpa Kay Un Kay Qadmo Mein Mujh Ko Gira Day Shok
Jis Waqt Ho Lahad Mein Ziyarat Rasool Ki
Sarkar Nay Bula Kay Madina Dikha Dia
Ho Ghi Mujhay Naseeb Safa”At Rasool Ki
Ya Rab Dikha Day Aaj Ki Shab Jalwaey Habib
Ik Bar To Aata Ho Ziyarat Rasool Ki
Damen Mein Un Kay Lay Lo Pannah Aaj Munkiro
Mahengi Paray Ghi Warna Adawat Rasool Ki
To Hai Ghulam Un Ka Ubad-E-Raza Teray
Mahshar Mein Ho Ghi Saath Himayat Rasool Ki
Kyun Kar Na Meray Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
Jannat Mein Lay Kay Jaey Ghi Chahat Rasool Ki
Sunday, April 27, 2014
Chor Ki Faryad
Chor Ki Faryad
Night packeges ne to hmen bhoka mar dia
Jis ghr ma chori k lye jao koi Ashiq jag rha hota hy
(‘,’)>janu
/)( 5mint rko koi
/ awaz i hy
Sans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
Saturday, April 26, 2014
Dono jahan teri mohabbat mein har ke – Faiz Ahmed Faiz
Dono jahan teri mohabbat mein har ke
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar ke
viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye ke ruth gaye din bahar ke
ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain hum ne hausale parvar-digar ke
duniya ne teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gham rozagar ke
bhule se muskura to diye the wo aj ‘faiz’
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar ke
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
Good Morning in MoMo Style
MoMo: Faisal woh ho gai hai.
NABEEL: Faisal nahi, Nabeel maa g,
MOMO:Nahi Nabeel nai hoi,wo ho gai hai,
NABEEL: Woh kiya mAa g?
MOMO: WOhi jo raat ke bad hoti hai,
NABEEL: Oh maa g subha subha tang na karen,
MOMO: Ayi Shawaash ey yaad aaya! subha ho gai hai.;):* good Morning !:D
Friday, April 25, 2014
Meri Ankhon Mein In My Eyes
Meri Ankon Ke Samandar Men Jalan Kaisi Hai
Phir Dilko Tarpne Ki Lagan Kesi Hai
Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kesi Hai
Meri Ankhon Ke Samandar Mein Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai
Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Mein Dhal Jayeinge Saare Rishtey
Mujh Se Poochho Muhabbat Ki Agan Kaisi Hai
Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doongi
Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai
Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai
Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai
I May Not Be Perfect
I May Not Be Perfect, I May Not Be Great,
But At Least I Don’t Put Myself Up For Bait.
I Can Not Be Taken, My Will Is Too Strong.
I Think I Know The Difference
Between Right And Wrong.
I Am Too Stubborn To Follow The Rest.
Try To Make Me. Be My Guest.
Yes, I’m Different, It’s Easy To Tell.
I May Be Different, But Are You As Well?
Thursday, April 24, 2014
Misbah Aur Afridi
Misbah: Sachin Ko 100th Century Nhe Bnanay Dengy!
Afridi: Mgr Hm Usy Rokengay Kesy? Wo To Form Mn Hy!
Misbah: Hm 90 Pe All Out Hojyengy
Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Meray dil mai dhoom jis larki ne mcha “rakhi” hai
Naam us shokh Haseena ka “Allah-rakhi” hai
Main “Allah-rakha” hoon, Wo “Allah-rakhi” hai
Shayad Allah ny wo mere liye hi bana “rakhi” hai
Kehtay hain k “rakhi”hui cheez hi kaam aati hai
Is liye mene”rakhi” se laga”rakhi” hai
Ab Haqiqat to ye batany k liye “rakhi” hai
Ke “rakhi” ne raton ki neend ura “rakhi” hai
Ye kya tumne “rakhi rakhi” laga “rakhi” hai
Kambakht”rakhi” ne to ksi or se laga “rakhi” hai.
Wednesday, April 23, 2014
Kabhi shakh-o-sabz-o-barg par kabhi guncha-o-gul-o-khar par – Jigar Moradabadi
Kabhi shakh-o-sabz-o-barg par kabhi guncha-o-gul-o-khar par
main chaman mein chahe jahan rahun mera haq hai fasal-e-bahar par
mujhe de na gaib mein dhamakiyan gire lakh bar ye bijaliyan
meri sar-tanak yahi aashiyan meri milkiyat yahi pyar hai
meri simt se use ae saba ye payam-e-akhir-e-gam suna
abhi dekhana ho to dekh ja ke khizan hai apni bahar pe
ye fareb-e-jalva-e-sar-basar mujhe dar hai ye dil-e-bekhabar
kaheen jam na jaye teri nazar inhin chand naqsh-o-nigar par
ajab inqalab-e-zamana hai mera mukhtasar sa fasana hai
ye jo aj bar hai dosh par yahi sar tha zano-e-yar par
main rahin-e-dard sahi magar mujhe aur kya chahiye “jigar”
gam-e-yar hai mera shefata main farefata gam-e-yar par
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi
Tuesday, April 22, 2014
5 Asbab
“RIZQ Ko Kum” “Karne Wale” “5 Asbab”
(1) Magrib Aur Esha k Darmiyan “Sona”
(2) Qabristan “Mein Hansna”
(3) Namaz Qaza Karna
4) Sajda-e-Tilawat Na Karna
5) Andheray Mein Khana Khana
Ap Yeh Baat Apnay Ghar Walon Ko Bhi Bataein. .
Dekha to tha yun hi kisi gafalat-shi’ar ne – Sahir Ludhianvi
Dekha to tha yun hi kisi gafalat-shi’ar ne
divana kar diya dil-e-be-ikhtiyar ne
ae aarzoo ki dhundale khwabon javab do
phir kis ki yaad aayi thi mujh ko pukarane
tum ko khabar nahi magar ik sadalauh ko
barbad kar diya tere do din ki pyar ne
main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzoo
divana kar diya hai gam-e-rozagar ne
ab ae dil-e-tabah tera kya khayal hai
hum to chale the kakul-e-geti sanvarane
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi
Gham-e-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Submitted By: Zainab
Monday, April 21, 2014
Less Sugar More Fruit
Less sugar, more fruit.
Less soda, more water.
Less worry, more sleep.
LESS WORDS, MORE ACTION
Goli Kut ke
1 sardar apne bache ko mar raha tha or Medicne khala rha tha. 1 admi ne poch tm esy quen mar rhe o.?
Sardar:doctor ne kya c
.
.
Enu goli kut k deni aa.;->
Sunday, April 20, 2014
Ye Lafz e Mohabbat
Wasl ki Naghma Saazi ko,
Hijr ki Noha khwani ko, Chalo
Tarteeb dety hain,
Muhabbat ki kahani ko.
Tumhen Ehsas ho na ho,
Mgr ye aik Haqeeqat hai. Tum hi Takhleeq karte ho,
Meri Shola bayani ko. Suno Lafz-e-Mohabbat aik Aisa Ism-e-Aazam hai,
Isay Parh kr Jo Chahun Mein,
Laga dun Aag Pani ko..
Bana daala tha Aadi Tum ne Sabhi ko Apni Baaton ka,
bhla Ab kon Samjhe ga?Tumhari Be_Zubani ko….?’
Best Urdu Islamic Sms
Hadis sharif ma ata ha ky
“LA HAULA WALA QUWWATA ILLA BILLA”
jannat kay khazano ma sy aik khazana ha..
Or ya 99 amraz ki dawa ha
jis ma sy sab sy kam darjy ka marz “GHUM” ha.
JazakAllah
Beautiful Sunrise
Good morning as the sky breaks into a beautiful sunrise –
May Allah open the heavens to shower you with blessings and
may the Noor of this day brighten your heart & mind.
Saturday, April 19, 2014
Dare Ghaus Ka Gar Tu, Saail Bana Hai
Dare Ghaus Ka Gar Tu, Saail Bana Hai
Qadam Ko Hata Ne Ki, Koshish Na Karna
Milegi Bemaange, Tamannaaein Dil Ki
Zubaan Tak Hila Ne Ki, Koshish Na Karna
Woh DeinGe Yaqinan, Tujhe Aasra Bhi
Milega Wahin Se, Tujhe Mud-Da-Aa Bhi
Sakhi Ghause A’zam Ka, Dar **** Kar Tu
Kahin Aur Jaane Ki, Koshish Na Karna
Jo Baghdaad Le Jaaey, Tujh Ko Nasiba
Laga Dena Dera, Wahin Par Gharibaa
Wahaan Mar Ke Bhi Un Ke, Qadmon Se Kehna
Yahaan Laut Aane Ki, Koshish Na Karna
Lahad Mein Bhi Un Ka, Gada Hun Farishto
Muridaane Ghausul Wara Hun Farishto
Mayn Ya Ghaus Keh Kar, Bula Lunga Dekho
Mujhe Tum Dara Ne Ki, Koshish Na Karna
Kahin Phoola, Phala, Yeh Gulshan Na Ujre
Tere Haath Se Un Ka, Daaman Na Chute
Zamaane Ki Fikr Se, Imaan Apna
Kahin Dagmaga Ne Ki, Koshish Na Karna
Mayn Ehqar Hun Kya, Khush Nasibi Hai Paai
Mili Ghaus Ke Dar Ki, Mujh Ko Gadaai
Chamakta Hun Mayn Chaand, Ban Kar Mukhaalif
Yahaan Jagmaga Ne Ki, Koshish Na Karna
Friday, April 18, 2014
Zikr us parivash ka, aur phir bayan apna – Mirza Ghalib
Zikr us parivash ka, aur phir bayan apna
ban gaya raqib aakhir tha jo razdan apna
mein wo kyon bahut pite bazm-e-ghair mein yarab
aj hi hua manzur un ko imtihan apna
manzar ik bulandi par aur hum bana sakate
arsh se idhar hota kash ke makan apna
de wo jis qadar zillat hum hansi mein talenge
bare aashna nikala unaka pasaban apna
dard-e-dil likhun kab tak? jaun un ko dikhala dun
ungaliyan figar apni khamakhunchakan apna
ghisate ghisate mit jata aap ne abas badala
nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna
ta kare na gamazi, kar liya hai dushman ko
dost ke shikayat mein hum ne ham-zaban apna
hum kahan ke dana the kis hunar mein yakta the
besabab hua ‘ghalib’ dushman aasman apna
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi – Sagar Siddiqui
hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahi
mere nagmat ko andaz-e-nava yaad nahi
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yaad nahi
main ne jin ke liye rahon mein bichaya tha lahu
hum se kahate hain wohi ahad-e-vafa yaad nahi
kaise bhar aain sar-e-sham kisi ke aankhen
kaise tharrae charagon ke ziya yaad nahi
sirf dhundhalai sitaron ke chamak dekhi hai
kab hua kon hua kis se khafa yaad nahi
zindagi jabr-e-musalasal ke tarah katati hai
jane kis jurm ke pai hai saza yaad nahi
aao ik sajda karen aalam-e-madhahoshi mein
kahate hain ke “sagar” ko khuda yaad nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui
Phir wohi mange hue lamhe, phir wohi jam-e-sharab – Akhtar ul Iman
Phir wohi mange hue lamhe, phir wohi jam-e-sharab
phir wohi tarik raton mein khayal-e-mahtab
phir wohi taron ke peshani pe rang-e-lazaval
phir wohi bhuli hui baton ka dhundhala sa khayal
phir wo aankhen bhigi bhigi daman-e-shab mein udas
phir wo ummidon ke madafan zindagi ke aas-pas
phir wohi farda ke baten phir wohi mithe sarab
phir wohi bedar aankhen phir wohi bedar khwab
phir wohi varaftagi tanhai afasanon ka khel
phir wohi rukhsar wo aagosh wo zulf-e-siyah
phir wohi shahar-e-tamanna phir wohi tarik reh
zindagi ke bebasi uff waqt ke tarik jal
dard bhi chinane laga umeed bhi chinane lagi
mujh se meri aarazu-e-did bhi chinane lagi
phir wohi tarik mazi phir wohi bekaif hal
phir wohi besoz lamhen phir wohi jam-e-sharab
phir wohi tarik raton mein khayal-e-mahtab
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman
Thursday, April 17, 2014
The Rain Falls Because
The Rain Falls Because The Sky
Can No Longer Handle Its Heaviness,
Just Like The Tears,
It Falls Because The
Heart Can No
Longer Handle The Pain
Wednesday, April 16, 2014
Chahat ki Mehfil Mai Bhulaya Hai kase Na
Chahat ki Mehfil Mai Bhulaya Hai kase Na
Khud Bhulaa kr pir Sataya Hai Kase Na
Jub tak Jali Hai Shama Jalta Raha Parwana
Kiya is Tarhan Sath Nibhaya Hai Kise Na
Arman Mary Riza Riza ho Gye hain
Yun kil K Aangan S Giraya Hai kase Na
Aag lagi hai Dasht Mai koi kaya Bhujaye Ga
Dill is tarah say Aaj Jalaya Hai kase Na
Dill rota hai Raat Bhar yaad kar K kise ko
Is tarhan Ulfat main Zakham khaya Hai kase Na
Sang dill Jo tha Aaj Wo Bhi Roo Parha
Us ko bhi Tarpaya Hai kase Ne ?
Ansoo Shairy Hindi SMS
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga
Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Vaada Khilaafi Kar Ke Muskurati Ho Tum
Dekhna Ek Din Sanam Tum Ko Pachtana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Par Tera Naam Likh Jaaoun Ga
Thaam Ke Haath Main Phool Tum Ko Aana Hoga
Tere Intezar Main Ik Umar Guzri Hai Sanam
Ab To Aaa Gaya Hai Waqt Ab To Hum Ko Jaana Hoga..
Tuesday, April 15, 2014
Shadi sayeri
Naseeb azmaney ke din aarahe hain
Kareeb aney ke din arahe hain,
Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab us ki sunaney ke din arahe hain,
Abhi se dil o jaan sare raah rah doon
Ke lutne lutaney ke din arahe hain,
Tapakne lagi in ankhon se masti
Nigahen churaney ke din aarahe hain
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,
Khawon me jaisa maine deka bilkul vaisi lagegi..!
Khubsurat pari is sindar,
Gore honthon me mehndi bhi badi gehri chadegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!
… …
Hosh ud jayenge dekhne walo ke,
Jab tere mathe ki bindiya tare jaisi lagegi..
Jab tere hathon me chudiya khankegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!
Sajkar niklegi tu ghar se bahar,
zamane ki nazre tera peecha karenge..
Aankhon me kajal lagakar jaana “janam”,
Isse tu buri najar se bachegi..
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!
Resham se balon ko jab tu ghunghat se dhakegi,
Nagin se lahrayengi yeh julfe..
Jab tu hole si chalegi,
Na reh paunga bin tuje dekhe..
Us raat yeh aankh kaise lagegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi
Share with us more Shadi sayeri in Comments Section below.
har shaam tumhare name
Tum Ne Kaha Tha K Har Shaam Tere Sath Guzarein Gay…!!
Tum Badal Chuky H0, Ya Tmhare Shehr Main Sham Nahin Hoti…??
Funny Faraz Song
Me samja k wo mujh koi SONG suna rahe hai FARAZ
magar us na
Va Gujra va.
Va Gujra va.
keh k apne bhai ko bula liy
From: Admin
Monday, April 14, 2014
Funny FriendShip Sms
Most of my Friends are
Normal , Sane , Cultured , Decent Intellectual & well behaved….
Just wanted to THANK You for breaking the MONOTONY 😛
I Am Coming To Ur House
I am coming to ur house to give u all types of happiness success & joy
Plz welcome me after few minutes
U know Im Urs….
Ramadan
Barkaton n Rehmaton ka Mah-e-Mubarak
Happy Ramadan Mubarak
Remember me in ur prayers.
Sunday, April 13, 2014
Saturday, April 12, 2014
Friday, April 11, 2014
Biphar Raha Hai Dariya Khushki Chupane Ko
Biphar Raha Hai Darya Khushki Chupane Ko
Abar Hy Tiyyar Aur Pani Bahane Ko
Kanp Rhi Hy Zameen Aur Pani Bahane Ko
Zameen Aab O Abar Har Koi Hogiya Khafa
Bedar Ho Ke Ab Hy Waqt-E-Dua
Yake Baad Digary Hazir Pareshaniyan
Beh Raha Hy Laho Surkh Hogain Wadiyan
Hr Tarf Musibatein Hr Soo Tabah Kariein
Aman Ko Jazb Kr Rhi Hy Barbadi Ki Fiza
Bedar Ho Ke Ab Hy Waqt-E-Dua
Ibn-E-Adam Ki Is Halat Pe Ro Raha Hy Akash
Jis Tarf Nigah Karo Wahin Pri Hy Lash
Dukhon Sy Dil Choor Hy Aur Khawab Pash Pash
Nhi Hy Haq Karne Ka Kisi Ko Jafa
Bedar Ho Ke Ab Hy Waqt-E-Dua
Khatam Karo Yeh Fasla Darmiyan-E-Zameen O Sar
Tuba Karo Aur Lagao Peshani Zameen Pr
Pakro Ibrat Jago Ke Waqt Hy Khatam Pr
Kahin Bujhe Na Jae Umeed Ka Yeh Akhri Diya
Bedar Ho Ke Ab Hy Waqt-E-Dua..?
Thursday, April 10, 2014
Khushion Ka Mulk Pakistan
1. Light Aane Ki Khushi,
2. Bazar Mai Shopping K Bad Zinda Ghar Wapis Aane Ki Khushi,
3. Bus Mai Seat Milne Ki Khushi
4. Taweel Arse K Bad Double Sawari Khulne Ki Khushi,
5. Namaz Parhne K Bad Khud-Kash Hamle Se Bachney Ki Khushi,
6. Bus Se Utarne K Bad Apne Mobile Ko Apne Jaib Mai Dekhne Ki Khushi,
7. Masjiid C Nikalte Waqt Chappal Mil Jane Ki Khushi,
Khushion Bhara Pakistan .
Wednesday, April 9, 2014
Pura Dukh Aur Aadha Chand
Pura Dukh Aur Aadha Chand
Hijr Ki Shab Aur Aesa Chand
Din Main Wehshat Behl Gae Thi
Raat Hoe Aur Nikla Chand
Kis Maqtal Say Guzra Hoga
Itna Sehma Sehma Chand
Yadoon Ki Aabad Gali Main
Ghoom Raha Hai Tanha Chand
Meri Kerwat Per Jag Oothay
Neend Ka Kitna Kacha Chand
Meray Moun Ko Kis Hairat Say
Daikh Raha Hai Bhola Chand
Itnay Ghanay Badal Kay Peechay
Kitna Tanha Hoga Chand
Aansoo Rokay Noor Nahaey
Dil Darya Tun Sehra Chand
Itnay Roshun Chehray Per Bhi
Sooraj Ka Hai Saaya Chand
Jab Pani Main Chehra Daikha
Tu Nay Kis Ko Soocha Chand
Bargud Ki Aik Shaakh Hata Ker
Janay Kis Ko Jhanka Chand
Badal Kay Raysham Jholay Main
Bhour Samay Tak Sooya Chand
Raat Kay Shaanay Per Sar Rakhay
Daikh Raha Hai Sapna Chand
Sookhay Patton Kay Jhurmat Per
Shabnam Thi Ya Nunha Chand
Haath Hila Ker Rukhsat Hoga
Oos Ki Soorat Hijr Ka Chand
Sehra Sehra Bhatak Raha Hai
Apnay Ishq Main Sacha Chand
Raat Kay Shayad Aik Bajay Hain
Tuesday, April 8, 2014
Monday, April 7, 2014
Aur Kuch Nahi Hota To Bhari Barish Mein - Barish
Tujh Se Bichre Hue Raston Par Safar Karta Hun…
Autumn Flower Show Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Autumn Flower Show Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Autumn Flower Show greeting.
Ek jhalak ke liye taraste the hum aapki
Phir ek din aaya ki aapki aadat pad gayi
Ab nahi kat sakti zindagi ke din
Jab tak aap nahin ho jaate hamaari.
From the bottom of my heart,
All the way into yours;
I send you my heartfelt love
Hoping to make this ours.
I send you my head, my hand my heart
All that I can ever give;
I mean to make my love known
You are the reason I live.
People say love is set to fail,
I think love can never lose;
My love has an end which is you
And I hope it is me you will choose.
Kehne kehne mein poori zindagi nikal gayi
Phir bhi keh na paaye tumse hum;
Aur jab kehna ka aaj samay aaya
To keh na paaye dil ki baat hum.
Issi liye likhkar keh rahe hain tumse
Dil ki baat is kavita mein,
Isi ummeed mein jee rahe hain
Ki aapka pyar milega haemin.
I have a dream, Y
our love is my ultimate aim;
I have a question to ask you
And it is if you feel the same.
I know of a love so pure
It can melt a heart of stone;
But yours is soft and tender
And maybe the one I can own.
A lover has nothing to lose in life,
But plenty that he can gain;
And with you and your love by my side
My life will never be the same again.
So I ask you to be my Valentine,
The one I will love I will love forever;
Happiness, friendship and loving days
Are all we will have together.
Happy Autumn Flower Show Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Saturday, April 5, 2014
Phool aur kaante sms in urdu
Ek phool ko sab dekh rahe the
Sab uski khushboo se lutf utha rahe the
ke itne mein kaanton ke rone ki awaaz aayi
Phool ne poocha kya hua..
Kaanton ne kaha tum tho phool ho
Tumhaari khushboo logon ko achi lagti hai
Lekin mere saath koi bhi mohabbat nahin karta
Phool ne kaha…main tho tum se mohabbat karti hoon
Chaha Tha Unhe Hale Dil Sunana
Chaha Tha Unhe Junoone Mohhabatt Dikhana
Nasme Laye The Hum Dil Kured Kured Kar
Per Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhe Dekh Kar
Ek Roz Hum Se Kehne Lagi Ek Gulbadan
Ainak Se Baandh Rakhi Hai Kyun Aap Ne Rasan
Milta Hai Kya Isi Se Ye Andaz-E-Fikr-O-Fun
Hum Ne Kaha Ki Aisa Nahi Hain Janab-E-Man
Baithe Jahan Hasin Hon Ek Bazm-E-Aam Mein
Rakhte Hain Hum Nigaah Ko Apni Lagaam Mein…..
Share with us more Phool aur kaante sms in urdu in Comments section below.
Friday, April 4, 2014
muhj sey bichar k
wo muhj sey bichar k ab tak ni roya
koi to hamdard ha jo usey roneeeeeeeey nai deta
Mohabbat Cheez Aisi Hai - Parveen Shakir
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Mohabbat Cheez Aisi Hai,
Kabhi Hoti Hai Apnon Se,
Kabhi Anjaan Rahoon Sy
Kabhi Gumnaam Rahon Sy
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Kabhi Hoti Hai Phoolon Sy
Kabhi Bachpan Ky Jhoolon Sy
Kabhi Be-Ikhtiyaari Mein
Kabhi Pakke Usoolon Sy
Mohabbat Cheez Aisi Hai
Mohabbat Bas Mohabbat Hai
Mohabbat Ik Sadaqat Hai
Mohabbat Cheez Hi Aisi Hai
Dukhon Mein Rool Deti Hai
Dard Anmool Deti Hai
Zehar Bhi Ghool Deti Hai
Mohabbat Cheez Aisi Hai
For Someone Very Special…..!
Thursday, April 3, 2014
Wednesday, April 2, 2014
Us Ney Kaha Sun
Us Ney Kaha Sun
Ehead Nibhaney Ki Khatir Mat Aana
Ehaed Nibhaney Waley Aksar
Majboori Ya Mahjoori Ki
Thakaan Sey Louta Kartey Hain
Tum Jaoo
Aur Dariya Dariya Piyaas Bhujaoo
Jin Aankhoon Main Dubo
Jis Dil Main Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi
Lekin Jab Meri Chahat Aur Khuwahish Ki Lou
Itni Tez Aur Itni Oonchi Ho Jaey
Jab Dil Ro Dey
TAB LOUT AANAA
TAB LOUT AANA