Thursday, February 27, 2014
Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida
Ek ek qatre ka mujhe dena pada hisab
ek ek qatre ka mujhe dena pada hisab
khun-e-jigar vadiat-e-mishagan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
toda jo tu ne aaina timasal dar tha
galiyon mein meri nash ko khenche phiro ki main
jan dad-e-hava-e-sar-e-rahaguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-vafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg aabadar tha
kam janate the hum bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozagar tha
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghalib
Three Reasons To Give Exams
Three reasons to give Exams.
1- You can spend 3 hours in self-medication.
2- You can complete your sleep.
3- You can see your teacher being bore who normally bores you.
Wednesday, February 26, 2014
Education is Ability
Education is the ability to
listen to almost anything without
losing your Temper or your Self Confidence
Tuesday, February 25, 2014
Usne Mujh se Pocha Mere Bina
Usne mujhse pucha mere bina reh loge
.
.
.
.
Saans ruk gayi aur unhe laga hum soch rahe hai
Eid Shayari in Urdu
suna hai chaand niklega,
suna hai eid bhe hogi,
humy to aasman par dor tak kuch bhe nahe dikhta,
kahan wo chaand niklega,
ke jisky wasty hum ne,
kabhi palkien nahe chapki,
wo jiska rasta takty,
hai guzri zindagi apni,
nahe kuch bhe khabar ke wo,
niklega to kab akhir,
hamari muntazir ankhon ko uski deed kab hogi,
abhi pocho nahe humse,
hamari eid kab hogi..
Suna hai chand nikla hai,
suna hai eid bhe hogi…..
Share your comment if u like it.
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
(Koi Tha)
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Marta Tha,
Na Janay Shakhs Tha Kesa?
Mujhy Khony Se Darta Tha,
Wo Jab B Bat Karta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha,
Suno.
Agar Me Bhol Jaon To
Agar Me Roth Jaon To
Kabhi Wapis Na Aon To
Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia,
Yohi Hanste Raho Gay Kia?
Yohi Sajte Raho Gay Kia?
Yehi Baten Thi Bus Uski,
Yehi Yaden Thin Bus Uski
Muje Malom Hay Bus Itna
“Yaar ”
Muje Wo Piyar Karta Tha!
Muje Khony Se Drta Tha.
(Rizi Cool)
Monday, February 24, 2014
Mujhe Kisi Aur Ka
Log Kehte Hain Bhool Ker Usse Nayi Zindgi Shuroo Kar
Woh Rooh Per Qabiz Hai Muje Kisi Our Ka Hone Nahi Deta…!!
Narazgi hindi shayari
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye.
Dard Hota Nahi Duniya Ko Batane Ke Liye,
Har Koi Rota Nahi Ansu Bahane Ke Liye,
Ruthne Ka Maja To Tab Hai,
Jab Koi Apna Ho Manane Ke Liye….
Share with us more Narazgi hindi shayari in Comments Section below.
Sunday, February 23, 2014
Saturday, February 22, 2014
Spirit of Occasion
As you offer your prayers on Eid-ul-Adha,
I hope that the true spirit of this auspicious occasion
fills your heart with happiness and good cheer.
Have a blessed Eid-ul-Adha!
Friday, February 21, 2014
Sms Bhejan Da Nahi Si Shonk Saanu
SMS bhejan da nahi si shonk saanu,
teri yaad ne mobile fada dita,
Message likhde likhde space muki,
assi overwrite alloweed la dita,
yaara mereya message reply karin,
assi apna farz nibha dita!!
Love related quotes
Love related quotes.
love isn’t seen by eyes,it’s seen by heart.
(shakespeare)
The one who gets in love again and again,he doesn’t know how to get in love truly.
(juli snake)
3.love is that game in which you become witless.
(juli samurai)
Thursday, February 20, 2014
two line urdu shayari sms
Mein gurez kya karta us ke sath chalne se,
Zakham to nahin bharta raaste badalne se,
Ishrat shabana to yaar ki razaa se hai,
Yeh khushi nahin milti sirf sham dhalne se,
Aarzuu ki chingaari kab tak sulag sakti,
Bujh gaya hai dil akhir bar bar jalne se,
Zindagi ka har mohra be-rukhi ke rukh par hai,
Yeh bisaat ultey gi aik chaal chalne se,
Doobta hua suraj kya mujhe ujaaley ga,
Main chamak uthoon shayed chand ke nikalne se..
Mein gurez kya karta us ke sath chalne se,
Zakham to nahin bharta raaste badalne se,
Ishrat shabana to yaar ki razaa se hai,
Yeh khushi nahin milti sirf sham dhalne se,
Aarzuu ki chingaari kab tak sulag sakti,
Bujh gaya hai dil akhir bar bar jalne se,
Zindagi ka har mohra be-rukhi ke rukh par hai,
Yeh bisaat ultey gi aik chaal chalne se,
Doobta hua suraj kya mujhe ujaaley ga,
Main chamak uthoon shayed chand ke nikalne se..
Wednesday, February 19, 2014
Hindi shayari on beauty
Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye
Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain
Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…
Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
Darta huin kahin main pagal na ban gaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban gaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin
Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…
Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete.
Kashish honi chaiye yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jate hain.
Waqt hona chaiye sath guzarne ke liye,
bahane to apne aap ban jate hain..
Share with us more ….Hindi shayari on beauty …in comments section below
Hoor ke tarefain
Molvi jumay k din Hoor ki tarefain bayan kr rha tha
Hoor asi hogi wesi hogi, jb zada josh main aya,to bola
“Aur kia bataon, bsGhulam Din ki BV ko dekh lo” :$
Tuesday, February 18, 2014
What Is Self Control
People SMOKE n DRINK 4 few days & get addicted..
Look at me,,
i m STUDYING since CHILDHOOD,but not yet ADDICTED 2 STUDIES..
This is called self control’:)
Parakhna Mat Parakhne Mein - Bashir Badr Shayari
Poetry In Roman Urdu Script:
Poetry In Urdu Script:
Parakhna Mat Parakhne Mein - Video
Dua Shru Karta Hay
Hazrat Abu Huraira (R.A) Se Riwayat Hay K Hazrat Muhammad (S-A-W-W) Ne Irshad Farmaya K
Jo Shakhs Yeh Keh Kar Dua Shru Karta Hay
” Ya Arhamar Rahaimeen ..
Ya Arhamar Rahaimeen ..
Ya Arhamar Rahaimeen ”
To “ALLAH” Farmata Hay K Mein Ne Sun Liya, To Hajat Bayan Kar.
Forward
Monday, February 17, 2014
Sunday, February 16, 2014
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahte the Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Zindagi Mein Kai Hamsafar Mile
Par Un Ki Tabiat Se Tabiat Nahi Mili
Chehron Mein Doosron Ke Tumhein Dhondhte Rahe
Soorat Nahi Milli Kahin Seerat Nahi Mili
Bahut Der Se Aaye Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Dhondne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajah Na Di Tujhe
Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili
Ik zara dil ke qarib aao to kuch chain pade – Ganesh Bihari Tarz
Ik zara dil ke qarib aao to kuch chain pade
jam ko jam se takarao to kuch chain pade
baithe baithe to har mauj se dil dahalega
badake tufan se takarao to kuch chain pade
jee ulajhata hai nagma-e-rangin sun kar
geet ek dard bhara gao to kuch chain pade
daag ke sher javani mein bhale lagate hain
mir ke koi gazal gao to kuch chain pade
yad-e-ayan mein guzishtan se ijazat lekar
‘tarz’ kuch der ko so jao to kuch chain pade
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ganesh Bihari Tarz
Girls get marks
GIRLS GETS 100% MARKS ONLY IN 2 SUBJECTS.. ??
.
.
.
Which is….??
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
IN MAKEUP & BREAKUP..!
Saturday, February 15, 2014
Ishq Deen Nahi | Ghalib Poetry
Friday, February 14, 2014
Thursday, February 13, 2014
Khuda Ne Socha Tha
Khuda Ne Socha Tha Ke Rahenge Sab Insaan Pyaar Se,
Zameen Pe Dekha To Armaan Lut’te Nazar Aate Hain
Juthe Wade Aur Rishton Se Jee Bharta Hai Insaan Ka,
Har Ek Ke Dil Me Bure Paigaam Nazar Aate Hain
Kuch To Rahaim Kiya Hota Khuda Pe Khudgarz Insaano,
Hathon Me Talwaar Liye Sare-Aam Nazar Aate Hain
Had Ho Gayi Hain Ab To Hevaaniyat Ki Duniyan Mein,
Jahaan Bhi Dekho Bas Katle-Aam Nazar Aate Hain
Jo Hath Chhute The Kabhi Maa Ke Pairo Ko Yaaron,
Un Hathon Me Aaj Sirf Bhare Jaam Nazar Aate Hain
Ehmiyat Nahi Hai Aaj Insaan Ko Khuda Ke Paigamo Ki,
Duniya Me Har Jagah Aaj Rishte Badnaam Nazar Aate Hain
Har Insaan Ko Pata Hain Ke “Sab Ka Malik Ek Hai”,
Fir Bhi Aaj Kahin “Rahim” To Kahin “Ram”Nazar Aate Hain
Race Me Jeetney Wala Ghora
Race mein jeetny wala GHORRA nahi janta k kamyabi keya hoti hai..?
Wo dorrta hai to sirf apny maalik ki taraf sy milney wali takleef ki waja sy.
To jab kabhi tum khud ko takleef mein pao.
To samjh jana k tumhara MAALIK chahta hai K JEET tumhari ho.
HAVE A SUCCESSFUL LIFE ND A WONDERFUL DAY…
Wednesday, February 12, 2014
aj hum bichade hain to kitane rangeele ho gaye – Shahid Kabir
aj hum bichade hain to kitane rangeele
ho gaye
meri aankhen surkh tere hath pile ho gaye
kab ke patthar ho chuki thi muntazir aankhen magar
chu ke dekha to mere hath gile ho gaye
jane kya ehasas saz-e-husn ke taron mai hain
jin ko chute hi mere nagmen rasile ho gaye
ab koi ummid hai “shahid” na koi aarazu
aasare tute to jine ke vasile ho gaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahid Kabir
Shahid Kabir
Monday, February 10, 2014
The Best Thing About ME
The best thing about ME…
Icam a limited edition…
There is no other copy ;-):-P
Ek Aur Muhabbat Ka Innaam Hua
Ek Aur Muhabbat Ka Innaam Hua
Wafa Jo Ki Bewafa S Katal E Dil Sare Aam Hua
Raabta Tha Sanso Ka Kyun Jeena Moohal Hua
Ibadat Thi Hammsafar Hone Ki
Kafir Bne Phirte Hy Yeh Apna Hal Hua
Pyar H Khuda To Ajj Phr Khuda Badnamm Hua
Ek Aur Mohhabat Ka Innamm Hua
Wafa Jo Ki Bewafa Sy Katal E Dil Sare Aam Hua..!!!
Sunday, February 9, 2014
Eid Mubarak Ghazal Sms
Usay Khna K Loat Ao Suna H Eid Ayi Hai
Ek Br Tu A Kr Mil Jao Suna H Eid Ayi Hai
Usay Khna K Bin Tere Bohat Eiden Guzri Hn
Is Br Tu Milny A Jao Suna H Eid Ayi Hai
Usay Khna Judai Se Muhabat Kam Nhi Hoti
Ye Dunia Ko Batla Jao K Suna H Eid Ayi Hai
Usay Khna K Chaht Ka Bhram Na Totane Dena
Tum Pal Do Pal Hi A Jao Suna H Eid Ayi Hai
Usay Khna K Tanha Hi Koi Eid K Din B
Ye Tanhai Mita Jao Suna H Eid Ayi Hai
Prophet*s Way Of Eating Dates
Prophet never proceeded (4 the prayer)
on the Day of Id-ul-Fitr
unless he had eaten some dates.
Anas also narrated:
The Prophet used 2 eat odd number of dates
Reshmi door ki terha
Reshmi door ki terha
haath say phisalta hua
yeh saal bhi ja raha hai
guzartay iss saal say
hisaab kuch laina hai…
zakhum jo diye hain iss nay
un ka merham poochna hai
aur poochna hai .. !!!!
jo kho diya, usay payen kahan?
yaadon ko saari, dafnaain kahan?
aagahi apni sulain kahan?
ya youn ker lain
rootha pichla saal bhla ker
aanay walay saal say
dosti ker lain….
Saturday, February 8, 2014
Zindagi tujh ko manane nikle – Ameer Kazalbash
Zindagi tujh ko manane nikle
hum bhi kis darja divane nikle
kuch to dushman the mukhalif-saf mein
kuch mere dost purane nikle
nazarandaz kiya hai us ne
khud se milane ke bahane nikle
be-basarat hai ye basti yaro
aaina kis ko dikhane nikle
in andheron mein jiyoge kab tak
koi to shama jalne nikle
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ameer Kazalbash
Sarakati jaye hai rukh se naqab aahista-ahista – Ameer Minai
Sarakati jaye hai rukh se naqab aahista-ahista
nikalata aa raha hai aaftab aahista-ahista
jawan hone lage jab wo to hum se kar liya parda
haya yaklakht aayi aur shabab aahista-ahista
shab-e-furkat ka jaga hun farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista-ahista
saval-e-vasl par un ko udu ka khauf hai itna
dabe honton se dete hain javab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista aahista
wo bedardi se sar kate ‘ameer’ aur main kahun un se
huzur aahista-ahista janab aahista-ahista
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ameer Minai
Ye jo zindagi ke kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai – Rajesh Reddy
Ye jo zindagi ke kitab hai ye kitab bhi kya kitab hai
kaheen ik hasin sa khwab hai kaheen jan-leva azab hai
kaheen chanv hai kaheen dhup hai kaheen aur hi koi rup hai
kai chehare is mein chupe hue ik ajeeb si ye naqab hai
kaheen kho diya kaheen pa liya kaheen ro liya kaheen ga liya
kaheen chin leti hai har khushi kaheen meharaban behisab hai
kaheen aansuon ke hai dastan kaheen muskurahaton ka bayan
kaheen barqaton ke hai barishen kaheen tishnagi behisab hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rajesh Reddy
Friday, February 7, 2014
Dil Se Teri Nigaah Jigar Tak Utar Gayi
Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi,
Dono ko aik nazar mein razamand kar gayi..
I Love You With The Passion
I love you with the passion put to use
In my old griefs, and with my childhoods faith.
I love you with a love I seemed to lose
With my lost saints, I love you with the breath,
Smiles, tears, of all my life! and, if God choose,
I shall but love you better after death
Thursday, February 6, 2014
Wednesday, February 5, 2014
Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga
Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga,
Be'Hisab Us Main Tera Qasoor Likhun Ga,
Tu Guftaar Ka MaHir Tu Kirdar Ka MaHir,
Pr Husn ko Tere Tera Ghuroor Likhun Ga,
Toot Gaye Bachpan K Tere SarE Khilony,
Ab Dilon Se KheLna Tera Dastoor Likhun Ga,
Raha Ishq Ka Da'awa Tujhe Tamam Umer,
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhun Ga,
Khud-Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla,
Aise Hr Iqdaam Ko Na'Manzoor Likhun Ga,
Humein Kehne Ki Aadat Nahi Likhne Ka ShouQ Hai,
Jazbon Ko Apne QaLam Ki Taseer Likhun Ga,
Tera Wajood, Mera Wajood, Mujhe Ek Sa Lage,
"Wasi"
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhun Ga...!!!
Sunday, February 2, 2014
Jis ghar men khajoor
RASOOL ALLAH S.A.W.W ne farmaya, “jis ghar men khajoor nahi wo us ghar ki maanind hai jis men koi khana nahi”.
(ibne maja)
Chandani chat pe chal rahi hogi – Dushyant Kumar
chandani chat pe chal rahi hogi
ab akeli tahal rahi hogi
phir mera zikr aa gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi
kal ka sapana bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi
sochata hun ki band kamare mai
ek shama-si jal rahi hogi
tere gahanon si khankhanati thi
bajare ke fasal rahi hogi
jin havaon ne tujh ko dularaya
un mai meri gazal rahi hogi
Poet of the poem/ghazal or nazam : Dushyant Kumar
Best Urdu Funny Poetry Sms
The main purpose of funny Urdu poetry is to make the reader laugh. It is the creative comedy people believe that the poets who write funny poetry are the most creative poets just like all people cannot tell a good joke similarly all poets cannot write Urdu funny poetry.
We can use funny Urdu poetry for many different purposes. We can be used it as a birthday gift or in a get well card, valentine card or to embarrass someone or something and for many other purposes. There is no limit to how the it must be written in the form of joke when a poet is starting the process of writing. Urdu Funny poetry can also be written about something or someone in a comedy style. It can be about a Government policy or about bugs in an apartment.
There are many forms of poetry and funny Urdu poetry is one of the most popular one. We can expect this poetry to grow as long as there are poets writing funny poetry. Funny poetry has been around for many years and it is a great form of poetry to learn about. If you are not familiar with Urdu language than you may have trouble reading it because it is normally design for those that can read Urdu and not for those that are only English speaking. Funny Urdu poetry can teach us to respect other forms of art and to learn about them whenever you can. Many people are not aware of what this can be for them and what benefits learning a new funny poetry can do for them. There are many things that learning this Urdu poetry can do for us.
Funny Urdu poetry can also be used as a gift for the Valentine’s Day. It can be used to surprise your partner and make your partner laugh. Due to this it will be remember for many years to come. Most of us people do not really bother to think of a new idea for the Valentine’s Day. Using this for the Valentine’s Day is a great idea to be unique because nothing is more fun than laughter and we can give this gift to your partner on a special day. A funny Urdu poetry that will make your partner laugh will make your day more memorable and special More on Funny Urdu Poetry Sms .
Tum nagma-e-mah ho anjum ho tum soz-e-tamanna kya jano – Behzad Lucknawi
Tum nagma-e-mah ho anjum ho tum soz-e-tamanna kya jano
tum dard-e-muhabbat kya samajho tum dil ka tadapana kya jano
sau bar agar tum ruth gaye hum tum ko mana hi lete the
ik bar agar hum ruth gaye tum hum ko manana kya jano
takhrib-e-muhabbat aasan hai tamir-e-muhabbat mushkil hai
tum aag lagana sikh gaye tum aag bujhana kya jano
tum dur khade dekha hi kiye aur dubne vala dub gaya
sahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariya kya jano
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Behzad Lucknawi
Saturday, February 1, 2014
Jis tarah ke hain ye divaren ye dar jaisa bhi hai – Anwar Masood
jis tarah ke hain ye divaren ye dar jaisa bhi hai
sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai
us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar
meri chahat ka hai mahavar ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad man kar
rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai
sab gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
wo to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye
tera ‘anwar’ bahunar ya behunar jaisa bhi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anwar Masood
Phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi – Munir Niazi
Phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shaql ke hasrat bhi thi
jo hawa mein ghar banaye kash koi dekhata
dasht mein rehte the par tamir ke aadat bhi thi
kah gaya main samane us ke jo dil ka mudd’a
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
ajanabi shaharon mein rehte umr sari kat gai
go zara se fasale par ghar ke har rahat bhi thi
kya qayamat hai “munir” ab yaad bhi aate nahi
wo purane aashna jin se hamen ulfat bhi thi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi