Saturday, February 8, 2014

Sarakati jaye hai rukh se naqab aahista-ahista – Ameer Minai



Sarakati jaye hai rukh se naqab aahista-ahista
nikalata aa raha hai aaftab aahista-ahista
jawan hone lage jab wo to hum se kar liya parda
haya yaklakht aayi aur shabab aahista-ahista
shab-e-furkat ka jaga hun farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista-ahista
saval-e-vasl par un ko udu ka khauf hai itna
dabe honton se dete hain javab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista aahista
wo bedardi se sar kate ‘ameer’ aur main kahun un se
huzur aahista-ahista janab aahista-ahista


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ameer Minai



No comments:

Post a Comment