Thursday, October 31, 2013
Happy Independence Day
Thousands laid down their lives so that our country breath this day…
never forget their sacrifice..
Happy Independence day
Wednesday, October 30, 2013
We All Need Someone
We All Need Someone
To Talk To In Our Life,
A Friend To Whom We Run
In Times Of Stress Or Strife
A Friend Who’s Always There
Throughout The Years,
A Friend We Know Will Care
And Take Away Our Fears.
A Friend Who’s Always Near,
Waiting For Our Call,
To Wipe Away Our Tears,
And Lift Us When We Fall.
A Loving Friend Indeed,
On Whom We Can Depend
To Fulfill Our Every Need
Thank You, Precious Friend
Tuesday, October 29, 2013
Aqal Kaha Chali Gaye
Agar ap ghar mai behan bhaiyon
mai sab se bare hain to
ap ne ye lazmi suna hoga
Wo to chota hai lekin tumhari
Aqal kaha chali gai the.
Monday, October 28, 2013
Never Lose Hope
Four candles were talking to each other
1st-“I am PEACE, no one needs me” & it went off..
2nd-“I am FAITH, nobody believes in me” & it went off..
3rd-“I am LOVE, nobody cares for me” & it went off..
4th-“I can light the other three because I am HOPE & I last forever!”
Life is tough but let’s never lose hope.
I wish that your candle of HOPE lights all your other candles and keep them glowing.
Stay Blessed
Yaqeen Na Aaye To Ek Baar Pooch Kar Dekho
Jo Hans Raha Hai Wo Zakhmon Se Choor Nikle Ga…!
Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai
Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai
Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai
Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai
Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai
Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai
Saturday, October 26, 2013
Yun chup rahana thik nahi koi mithi baat karo – Qateel Shifai
Yun chup rahana thik nahi koi mithi baat karo
mor chakor papiha koyal sab ko mat karo
savan to man bagiya se bin barase bit gaya
ras mein dube nagme ke ab tum barsat karo
hijr ke ik lambi manzil ko janevala hun
apni yadon ke kuch saye mere sath karo
main kiranon ke kaliyan chunakar sej bana lunga
tum mukhade ka chand jalao raushan raat karo
pyar buri shay nahi hai lekin phir bhi yar “qateel”
gali-gali taqasim na tum apne jazabat karo
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai
Rote-Rote Hansi Aa Gayi
Rote-Rote Hansi Aa Gayi Dekho Humko Yaar
Jab Humne Kiya Apne Pyare Yaar Ka Deedar
Uske Chehre Mein Na Jaane Kaisi Hai Kashish
Mujhko Usne Kiya Deewana Bhoola Mein To Apni Service
So Na Paau Raato Ko Sochu Usko Her Ek Pal
Usne Mera Aaj Sajaya Aur Sajayegi Ab Ka
Friday, October 25, 2013
Thursday, October 24, 2013
pahale pahal to Khvaab. – Saleem Kausar
pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai
phir aankhen palkon mein chup kar rone lagti hai
jane tab kyon suraj ke khvahish karte hain log
jab barish mein sab divaren girane lagti hai
tasviron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai
tanhai mein baat karo to bolane lagti hai
sahil se takarane vali vahashi maujen bhi
zinda rahane ke khvahish mein marane lagti hai
tum kya jano lafzon ke aazar ke shiddat ko
yaden tak sochon ke aag mein jalne lagti hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Saleem Kausar
Wednesday, October 23, 2013
Start of Jan
My wishes for you, great start for Jan,
Love for Feb, peace for March,
No worries for April, fun for May,
Joy for June to Nov, happiness for Dec.
Have a lucky and wonderful 2014
Tuesday, October 22, 2013
World Red Cross Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest World Red Cross Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate World Red Cross Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World Red Cross Day sms greeting.
The way you look into my eyes, It scares me
The way you say “I love you”, It scares me
The way you know just what to say, It scares me
The ways you scare me, I love it
The shortest word for me is “I”
The sweetest word for me is “love”
The only word for me is “you!”
Happy World Red Cross Day Mubarak to all of you from shayari Online Team
Jb Gharz Hui Tb Yaad Kia
Jb gharz hui tb yaad kia, Jb waqt mila tb waar kiya.
Ab aur hqeeqat kia likhun is dour k mukhlis doston ki..
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Udas Kyun Ho ?? | Udas Shayari
Monday, October 21, 2013
aa jayen hum nazar jo koi dam bahut hai yan – Meer Taqi Meer
aa jayen hum nazar jo koi dam bahut hai yan
mohalat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan
yak lahaza sina kobi se furasat hamen nahi
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan
hum raharavan-e-rah-e-fana der rah chuke
vaqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan
hasil hai kya sivaye tarai ke dahar mai
uth aasman tale se ke shabanam bahut hai yan
is butakade mai mani ka kis se karen saval
aadam nahi surat-e-adam bahur hai yan
ajaz-e-isavi se nahi bahas ishq mai
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan
mere hilak karane ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan
shayad ke kam subh tak apana khinche na ‘meer’
ahaval aj sham se daraham bahut hai yan
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
Sar se chadar badan se qaba le gai – Bashir Badr
Sar se chadar badan se qaba le gai
zindagi hum faqiron se kya le gai
meri mutthi mein sukhe huye phul hain
khushbuon ko udakar hawa le gai
main samundar ke sine mein chattan tha
raat ek mauj aayi baha le gai
hum jo kagaz the ashkon se bhige huye
kyon chiragon ke lau tak hawa le gai
chand ne raat mujhko jaga kar kaha
ek ladaki tumhara pata le gai
meri shoharat siyasat se mahafus hai
ye tavayaf bhi ismat bacha le gai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
Sunday, October 20, 2013
Mehboba Se Milne Ka Bra Shoq Tha
Mehboba Se Milne Ka Bra Shoq Tha
Aik Din Likh Dia Khat Us Ko
Bholi Bhali Smaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Mukhtar Ko
Main Ne Darya K Bahut Bari Moj Dekhi
Jab Apne Piche Mukhtyar Ki Foj Dekhi
Logo Ne Kha K Kis Pe Azab Aya Hai
Dil Ne Kha Nas Putar Tere Khat Da Jwab Aya Hai>>>>>>>>>>>>
Saturday, October 19, 2013
Ek Bar Kuch Bandar
Ek bar kuch bandar jangal se bhag gaye
phir wo hotel mein phuchen
unme se ek pizaa kha raha tha
ek burger kha raha tha
aur kuch bade dhayan se ye message parh rahe the.
Car Accident
Nurse to patient with bleeding head: your name?
Patient: Pappu Singh.
Nurse: age?
Patient: 25 years.
Nurse: married?
Patient : no no, car accident !!
Hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai – Asrar Ansari
hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai
tumhen bhi kya kabhi koi divana yaad aata hai
havayen tez thin barish bhi thi tufan bhi tha lekin
tera aise mein bhi wada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baton baton mein
phir uth ke wo tera shamma bujhana yaad aata hai
ghatayen kitni dekhi hain par mujhe ‘asrar’
kisi ka rukh par wo zulfen girna yaad aata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Asrar Ansari
Holi SMS and Shayari
Saade Rang Ko Galti Se Aap Naa Kora Samjho,
Isi Mey Samaaye Indradhanushi Saat Rango,
Jo Dikhe Aapko Zindagi Saadgi Bhari Kisi Ki,
To Aap Yun Samjho Satrangi Hai Duniya Usiki,
Holi Aayi Satrangi Rango Ki Bouchar Laayi,
Dher Saari Mithai Aur Mitha Mitha Pyar Laayi,
Aap Ki Zindagi Ho Mithe Pyar Aur Khusiyon Se Bhari,
Jisme Samaaye Saaton Rang Yahi Shubhkamna Hai Hamaari.
Friday, October 18, 2013
Like a Sun
Cleavage is like the sun,
You can glance at it for only a second.
But if you wear sunglasses,
You can look much longer
Deshbhakti Shayari Hindi
shise ke mahalo ko dekh lo, yaha pathar dil wale baste hai,
jo pyar ko khel samjhte hai, or tor ke dil ko hanste hai…
************
wo rahne wali shiso ki mahlo ki uska shok dilo se khelna tha,
me thehra dil wala usse dil laga betha,
usse roshan karne ki khatir, me khud ka aasiyana jala betha,
khus tha bahut jab me garib tha, khusiyo se dur hi sahi lekin gum ke karib na tha,
jab jee bhar gya to thukra diya usne, or me ek dhoka kha betha,
oqat me rahkar dil lagata to me bhi mahobbat ki khusi pata,
jab sabne hath chhor diya to, sharab ne is dilwale ka sath diya,,
jab me is jaha me aaya to me khus tha,
or jab me is jaha se ja raha hu to mere pas gum hai,
dost jab tak usne mere dil ko samjha,
a yar tab tak me uske sare sitam sehkar jannat ke karib ja chuka tha,,,
deewana tha ek tha wo apne dil ka raja,
yaro khusiyo ka din hai aaj bajao band or baza,
ho raha hu ruksat duniya se dekho,
char kandho par uth raha hai mera janza,,
mere marne ki khabar pakar yaro wo bhi dori chali aai,
nahi dekha mujhe kabhi jin najro se,
aaj un aankho se usne bahai aansu,
nahi chal saki kabhi do kadam mere sath wo,
dekho aaj chal rahi hai mere janaze ke sath wo,
jisne thama nahi barso pahle mera hath, aaj thama usne mera hath hai,
jisne jalaya hai mere dil ko itna, aaj dekho usse mujhe bhi jalana hai,
nahi nibha pai pyar ki kasmo ko wo,
par aaj usse sab rasmo kriya ko nibhana hai,
mere marne par bhi zinda rahega mera pyar,
sirf mera sharir mitti me mil jayega,
fekoge jaha us mitti ko, waha khil jayega pyar ka kai phool,,
rahunga uske dil me ek ehsas bankar,
bas jaunga uski ruh me ek sans bankar,
jis jaha se nahi aata hai koi wapas,
are pagli ab tu hi bata us jaha se me kaise laut aau wapas..
wo rahne wali mahalo ki ek rani thi,
or mere dard ki ek kahani thi…
Tum aj hanste ho hans lo mujh par ye aazamaish na bar bar hogi – Khwaja Mir Dard
Tum aj hanste ho hans lo mujh par ye aazamaish na bar bar hogi
main jana ta hun mujhe khabar hai ki kal faza khushagavar hogi
rahe muhabbat mein zindagi bhar rahegi ye kashamakash barabar
na tumako qurabat mein jit hogi na mujhko furaqat mein har hogi
hazar ulfat sataye lekin mere iradon se hai ye mumakin
agar sharafat ko tumane cheda to zindagi tum pe var hogi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khwaja Mir Dard
Thursday, October 17, 2013
Guru Gobind Singh Jayanti Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Guru Gobind Singh Jayanti Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Guru Gobind Singh Jayanti Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Guru Gobind Singh Jayanti Day sms greeting.
Wishing You and Your Family
A Very Happy & Prosperous
Guru Gobind Singh Jayanti
GURU GOBIND SINGH JI DE JANAM DIHA SARIYAN NUN WADHAIYAN…!!
HAPPY GURPURAB – Lakh Lakh Vadhaiyaan !
CELEBRATE GURPURAB WITH YOUR LOVED ONES, FRIENDS AND FAMILY,
AND ENJOY GURU GOBIND SINGH JI’S DIVINE LOVE AND BLESSINGS
HAPPY GURPURAB
Guru brahma gurur vishnu,
Guru devo maheshwaraha,
Guru saakshat para brahma,
Tasmai sree gurave namaha…
Happy Guru Gobind Singh Jayanti
Happy Guru Gobind Singh Jayanti Day Mubarak to all of you from shayari Online Team
Wo hamen jis qadar aazamate rahe – Khumar Barabankvi
Wo hamen jis qadar aazamate rahe
apni hi mushkilon ko badate rahe
wo akele mein bhi jo lagate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne par bhi dost aaye na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui nadiyan ban gain
aur tufan badsatur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye q der tak thar-tharate rahe
thin to kamanen hathon mein agyar ke
tir magar apanon ke janib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh garib aate jate rahe
maikade se nikal kar janab-e-‘khumar’
qaba-o-dair mein khak udate rahe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khumar Barabankvi
Juma k roz
Juma k roz 70 martaba darood pak parhane wale ki, 100 hajtein poori hote hain 30 duniya ki, 70 akhirat ki, fwD iT kyun k aj jitne log parhen ge apko sawab hoga.
Wednesday, October 16, 2013
Diya JAlane k Lye
Aayi Thi Mri Qabr Pe Diya JAlane k Lye
Ghor Kijye
Ayi Thi Mri Qabr Pe Diya Jalane k Lye
Rakha Hua Tael B Le Gayi,Suhag Raat Manane k Liye.
Full pain yakki
Mujhy Gul He Nahi Aziz….
Aakhre salaam mera aakhre ye saans hai,
Chand he lamhon mein seaj mere baans hai
Dil ka deepak jal gaya tha , bas teal ke kami thi,
Jara sa jo reh rakha aaj mere raakh hai
Kasmen waade toote saare toote doari pyaar ke,
shayad pad jaye gaant es mein ab na koi aas hai
Bansuri bajae meine apno armanoo ki
Par sun ne walon mein na koi mera khaas hai
Arthi par aansoo bahe hajaron par kanha kabar par koi aaya Akhelesh,
Aakhir Jinda insaano ke duniya mein hum mare hue ek laas hai
Aakhre salaam mere aakhre ye saans hai
Chand he lamhon mein seaj mere baans hai
Tuesday, October 15, 2013
Monday, October 14, 2013
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Dhaago Me Gaathe Bhi Hai Sandhaan Bhi
Ye Dil Me Kaisee Kasak Hai…
Meri Chaahat Ajeeb Hai,Naadan Bhi
Sawarte Bhi Gaye Kabhi,Kabhi Bikhre Bhi
Khamoshi Hai Kabhi,Kabhi Tanhaai Bhi
Ye Kaise Aalam Me Rehne Lage Hum
Hasaate Hai Apne Aapko,Kabhi Rulaate Bhi
Dhoka Detaa Hai Kabhi Waqt,Kabhi Kabhi Kismat Bhi
Hum Inkaar Karte Hai Kabhi,Kabhi Izhaar Bhi
Naa Chedo Hume Hum To Gum Ho Chuke
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi
Dekh lo khwab magar khwab ka charcha na karo – Kafeel Aazer
Dekh lo khwab magar khwab ka charcha na karo
log jal jayenge suraj ki tamanna na karo
waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiyan tute hue aks ki chubh jayengi
aur kuch roz abhi aaina dekha na karo
ajanabi lagane lage khud tumhen apana hi vajud
apne din raat ko itna bhi akela na karo
khwab bachon ki khilaunon ki tarah hote hain
khwab dekha na karo khwab dikhaya na karo
be-khayali mein kabhi ungaliyan jal jayengi
rakh guzri hue lamhon ki kureda na karo
mom ki rishte hain garmi se pighal jayenge
dhup ki shahar mein “azer ye tamasha na karo
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kafeel Aazer
Sunday, October 13, 2013
Dil Mein Is Ka Malal Rakhna
Ye Juday Apni Arzi He Na Dil Mein Is Ka Malal Rakhna
Hamari Ankhon Ne Jo Dekhe He Wo Sare Sapne Bahal Rakhna
Tumhari Sansen Tumhari Dadhkan Hamari Amantein Hein
Hamari Khater Hi Jan E Jana Aapna Khyal Rakhna
Sender : Chaudry Khayyam Jatt
To Send UR Poetry : Mail at urduinn@gmail.com
or Click on Share This Button !!!
Kambakht Manta Hi Nahin Dil Usy Bhoolny Ko
Me Hath Jorta hun To Ye Paon Parr Jata Hai…
Best Poetry Collection Urdu
Kaun Is Raah Se Guzartaa Hai
Dil Yuun Hii Intizaar Kartaa Hai
Dekh Kar Bhii Na Dekhne Vaale
Dil Tujhe Dekh Dekh Dartaa Hai
Shah’r-E-Gul Men Gayii Hai Saarii Raat
Dekhiye Din Kahaan Guzartaa Hai
Dhyaan Kii Siirhiyon Pe Picchle Pahar
Ko’ii Chupke Se Paanv Dhartaa Hai
Dil To Meraa Udaas Hai “Nasir”
Shah’r Kyuun Saaen Saaen Kartaa Hai
Saturday, October 12, 2013
Dosti Ka Haq Hum
Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain
saqi ke har nigah pe bal kha ke pi gaya – Jigar Moradabadi
saqi ke har nigah pe bal kha ke pi gaya
laharon se khelata hua lehra ke pi gaya
bekaifiyon ke kaif se ghabara ke pi gaya
tauba ko tod tad ke tharra ke pi gaya
zahid ye meri shokhi-e-rindana dekhana
rahamat ko baton baton mein bahala ke pi gaya
sarmasti-e-azal mujhe jab yaad aa gai
duniya-e-aitabar ko thukra ke pi gaya
aazurdagi-e-khatir-e-saqi ko dekh kar ae rahamat-e-tamam meri har khata mua’af
main intaha-e-shauq mein ghabara ke pi gaya
pita begair izan ye kab thi meri majal
dar-parda chashm-e-yar ke shah pa ke pi gaya
us jan-e-mayakada ke qasam barha “jigar”
kul aalam-e-bisat pe main cha ke pi gaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jigar Moradabadi
Friday, October 11, 2013
Main Driver Ko Nokri Se
Wife: main driver ko nokri se nikaal rahi hun kyun k aj main doosri bar marte marte bachi hun.
Husbnd: Begum isy ek aur moka do.
Adhoorey Chaand Ki Adhoorey Chaand Ki
Adhoorey Chaand Ki
Woh Adhoori Raat
Hontoo Per Dum Toorti
Un Kahi Un Suni
Woh Adhoori Baat
Woh Kuch Ajnabi Sa
Woh Kuch Shansa Sa
Rahi Adhoori Mulakaat
Dil Ne Kuch Khoya
Dil Ney Kuch Paya
Ajnabi Un Chahi
Adhoori Woh Shaam
Ley Ker Ghum Sare
Merey Badley Mein
Ghum Bhi Apna Na Diya
Kya Dosti Kya Pyaar
Kaisey Deta Woh Is
Rishtey Ko Koi Naam
…..Bus Sub Gumnaam
……Be Naam
……..Anjaan!
Adhoori Mulakaat
Adhoori Her Baat!
Aur
Adhooray Chaand Ki
Woh Adhoori Raat!
Thursday, October 10, 2013
Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya Chiz Hai
Na Jaane Ye Yaadein Bhi Kya
Chiz Hai,
Jab Aati Hai To Rukne Ka Naam
Hi Nahi Leti,
Jab Nahi Aati To Barson Baras
Tak Nahi Aati,
Wednesday, October 9, 2013
Male Life Partner
A Fact Of Life…
Male Criteria For Life Partner
They Expect Their Women To Look Like Miss Universe
&
Work Like
‘Massi’ 😉
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho
Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho
Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho
Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho
Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho
Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho
Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho
Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho
some things name of prophet (P.B.U.H)
HUZOOR PAK (S.A.W) ki kuch pyari cheezon k naam (SOme name of PROPHET PBUH things)
Ap (S.A.W) k “JHANDAY (FLAG) ka naam ‘UQAB’ tha”
AAP (S.A.W) k “PIYALEY (BOWL) k name ‘AYAAN’ tha ”
AP (S.A.W) k Khachar ka naam ‘DULDUL’ tha
Ap (S.A.W) ki “TAALWAR ka name ‘ZULFIQAR’ tha”
Tuesday, October 8, 2013
A Mother’s love, is sure to find
A Mother’s love, is sure to find
A way to comfort, ease your mind
She knows just how, to build you up
When you’re so down, and can’t look up
You love the way, she makes you feel
Like you’re so special, her ideal
Her thought must start, with God above
To bring such caring, with such love
And as it flows, like gentle rain
It surely helps, when troubles pain
The love from mine, is oh so clear
I only wish, she was still here
Her warming glow, is missed each day
Even though, I seldom say
But she did leave, her gift behind
To help me through, when I may pine
And that’s the feel, known deep inside
Her faith and love, I still confide
by Roger J. Robicheau
Monday, October 7, 2013
Ankhon Mein Basaya Ha Tujhe Dil Mein Utara Hai
Ankhon Mein Basaya Ha Tujhe Dil Mein Utara Hai
Meri Jaan Bhari Dunya Mein Koi Tum Se Na Pyara Ha
Tere Phool Se Galon Ne Teri Jheel Si Ankhon Ne
Tere Hussan K Jalwon Ne Humein Jan Se Mara Ha
Teri Tasveer Banata Hoon Usse Dekhta Rehta Hoon
Usy Khoon Se Ranga Ha Askoon Se Nikhara Ha
Ankheen Hai K Roti Hai Sanseen Han K Rukti Hein
Meri Tanha Zindgi Ka Ab Kon Sahara Hay
Dukh Darad Museebat Ka Nhi Koi Gila Mujh Ko
Ay Ishaq Mujhe Tu Ne Kuch Aisa Nikhara Hai
Rota Ha Tarapta Ha Marta Hi Nhi Bazmi
Maar Maar Ky Jeeta Ha Yun Ishaq Mein Hara Ha..!!!
Kismet Ke Haathon Per Ik Adhoori Lakeer
Ab Ke Baar Phir Ye Saal Badla
Phir Waqt Ka Khad-O-Khaal Badla
Imtehaan-E-Zeest Ka Sawaal Badla
Aur Andaz Lamhon Ka Kamaal Badla
Lekin Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai
Haan Woh Adhoora Sa Ik Khawaab
Haan Woh Adhoora Sa Ik Izteraab
Haan Woh Adhoora Sa Ik Hisaad
Haan Woh Adhoora Sa Ik Jawaab
Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Saman-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai
Dil Ke Aaiina-Khaney Ki Adhaori Tasveer
Taqdeer Ki Kitaab Ki Woh Adhoori Tehreer
Kisi Dil Ki Basti Mein Ik Adhoori Jaageer
Kismet Ke Haathon Per Ik Adhoori Lakeer
Haan Mere Afsana-E-Hayat Ka Har Warq Abhi Adhoora Hai
Sab Samaan-E-Zeest Hai Thora Sa Kuch Bhi Nahi Puraa Hai
Sunday, October 6, 2013
Ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai – Asghar Gondvi
Ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hai ki kya janiye kya hai
sau bar jala hai to ye sau bar bana hai
hum sokhta janon ka nasheman bhi bala hai
hothon pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishara hai ki sailab-e-fana hai
sunata hun bade gaur se afasana-e-hasti
kuch khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasavvur se yahan nur ke barish
ye jan-e-hazin hai ki shabistan-e-hira hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Asghar Gondvi
Izat De
= Jo muje msg na kre
ALLAH use
ZARDARI jesi izat
Obama jesi rungat
Shekh Rasheed jesi jawani
Nawaz Sharif jesa hair style
or Chudry Shujat jsi awaz de…!
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi – Siraj Aurangabadi
Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha, jo rahi so bekhabari rahi
shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahanagi
na khirad ke bakhiyagari rahi na junun ke pardadari rahi
chali simt-e-gaib se ik hawa ki chaman zahur ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihal-e-gham jise dil kahen so hari rahi
nazar-e-tagaful-e-yar ka gila kis zaban son bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzoo khum-e-dil mein thi so bhari rahi
wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars-e-nuskha-e-ishq ka
ki kitab-e-aql ke taq mein jyun dhari thi tyun hi dhari rahi
tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar son yahan hua
ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalva-gari rahi
kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-benava-e-“siraj” kon
na khatar raha na hazar raha magar ek bekhatari rahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Siraj Aurangabadi
Saturday, October 5, 2013
Dost kon hota ha
Dost kon hota ha???
Answer:
Dost wo jo bin bulaye aye
Bewaja sir khaye
Aap 1 bolo
Wo 4 sunaye
Kabhi sataye
Kabhi rulaye
Tareef karo to begherti dikhaye
Gali 2 to muskuraye
hr baat mein kamina pn dikhaye
Mgr
Hamesha sath nibhaye.
Dedicate 2 all my chwal frnds.
HASSSO chwlow…
Gulon mein rang bhare, bad-e-naubahar chale
gulon mein rang bhare, bad-e-naubahar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho
kaheen to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aagaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale
bada hai dard ka rishta, ye dil garib sahi
tumhare naam pe aayenge gamgusar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqabat sanwar chale
huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ke talab
girah mein leke gareban ka tar tar chale
maqam ‘faiz’ koi rah mein jacha hi nahi
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz
Friday, October 4, 2013
Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe Fanaa Karde
Hath sine pe jo rakh do to qarar aa jaye – Aziz Kashmiri
hath sine pe jo rakh do to qarar aa jaye
dil ke ujade hue gulashan mein bahar aa jaye
dil to kehta hai ki aankhon mein chupa lun tujh ko
dar yahi hai ki muqaddar ko nakar aa jaye
dil ke zakhmon pe mere pyar ka maraham rakh do
beqarari mein mujhe kuch to qarar aa jaye
yun khuda ke liye chino na mere hosh-o-havas
aisi nazron se na dekho ki khumar aa jaye
chod ke tum bhi chale jaogi qismat ke tarah
bad azane to ajal hi ko na pyar aa jaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Aziz Kashmiri
Empty Pockets Teaches Million
“Empty Pockets teaches million things in life…”
But,
“Full Pockets spoil’s U in million ways”
Thursday, October 3, 2013
Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya – Harichand Akhtar
Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ke ye hai
ki ab insan ko sajada-rava hone ka waqt aaya
takallum ke khamoshi kah rahi hai harf-e-matalab se
ki ashk-amez nazron se ada hone ka waqt aaya
khuda jane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
khuda se kah raha hun nakhuda hone ka waqt aaya
hamen bhi aa pada hai doston se kam kuch yani
hamare doston ke bevafa hone ka waqt aaya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Harichand Akhtar
Dua ke liye
Kehtay Hain Loog Mujh Ko Bhi Duaa K Liyee
Kiss Qadar RAB Nay Mairy Aaib Chupaa Rakhay Hain
Mein Madhosh Nahin Hun
Bin Maye Beheke Mere Kadam
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Dikhe Anjane Saare Jaane Chehre
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Jab Tab Tham Jaye Soch Meri
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Har Dooje Pal Beheke Dhadkan Meri
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Khali Jaise Sare Jazb Mere
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Nihare Ek-Tak Uss Chhor Anhken Meri
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Daure Hai Siharan Yun Jism Mere
Lekin Mein Madhosh Nahin Hun
Nahin Hai Mujhe Hosh Mera
Lekin Phir Bhi Mein Madhosh Nahin Hun
Wednesday, October 2, 2013
konsa style mujh pe suit krta
REPLY MUST:>
“in me sy Wo konsa style hy jo mujh pe bht suit krta hy?”
=> samjhana
=> muskurana
=> mazak krna
=> larai krna
=>har waqt sona
=> pyar krna
=> ghusa krna
=>kehqe lgana
Tumhara Khat Mila Jaanaa
Tuesday, October 1, 2013
Aey Eid k chaand..!!
Aey Eid k Chaand!
Q karta hy Tu molviyon ko Pareshan,
Tujhe Dekhne k Liye Be chain Hain
Mufti Muneeb ur Rehman,
Tujhe Daikh Nahi Pate
Pore Pakistan k insan,
Magar na jane kahan se Dhondh Lete Hain
Tujhe peshawar k pathan,
Aey Eid k chaand..!!
Kal raat chupke se chand zamin par aaya,
Meri andheri duniya ko chandni se sajaya.
Yun to Roz dekhta tha dur se meri veeraniyo ko
Par jane kal usko mujhpar itna pyar kyo aaya
share with us more .. Aey Eid k chaand. in comments section below
Main Chahta Hoon Yeh Duniya Woh Chahta Hai Mujhe
Main Chahta Hoon Yeh Duniya Woh Chahta Hai Mujhe
Yeh Samasya Badi Najuk Hai Koi Hal Likh De,
Yeh Aj Jiska Hy Us Naam Ko Mubarak Ho,
Mari Zubaan Pr Mere Aansoo Se Kal Likh De,
Mein Aik Lamhein Mein Dunya Samet Sakta Hoon,
To Kb Milega Akele Main Wo Aik Pal Likh De,
Meri Zuban Pr Naye Jayko Ke Fal Likh De,
Mere Khuda Tu Mere Naam Aik Gajal Likh De…
Pura dukh aur aadha chand – Parveen Shakir
Pura dukh aur aadha chand
hijr ke shab aur aisa chand
itane ghane badal ke piche
kitna tanha hoga chand
meri karavat par jag uthe
neend ka kitna kacha chand
sehra sehra bhatak raha hai
apne ishq mein sacha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir