Sunday, October 6, 2013

Ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai – Asghar Gondvi



Ik aalam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hai ki kya janiye kya hai
sau bar jala hai to ye sau bar bana hai
hum sokhta janon ka nasheman bhi bala hai
hothon pe tabassum hai ki ek barq-e-bala hai
aankhon ka ishara hai ki sailab-e-fana hai
sunata hun bade gaur se afasana-e-hasti
kuch khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasavvur se yahan nur ke barish
ye jan-e-hazin hai ki shabistan-e-hira hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Asghar Gondvi



No comments:

Post a Comment