Thursday, September 12, 2013

Tanha chand ko dekha hoga Koi yaad to aaya hoga



Tanha chaand ko dekha hoga
Koi yaad to aaya hoga ….


Zabt ka sheesha chatkha hoga
Yaad ne kankar phenka hoga


Sawan ki bheegi khushbu ne
Saanso ko sulgaya hoga …


Ghagar se chimti hai radha
Shyaam jo usko chhoota hoga


Ham kya Khaak ghazal likkhen jab
Angdaai par pehra hoga ….


Tere taiwar dekh ke aksar
Mousam rang badalta hoga.


Wasl ki chaah me tapta sooraj
Sagar doob ke rota hoga ..


Saonp ke maojon ko bechaini
Pyasa sahil sota hoga ….


Tara toota aur dil dhadka
Tujhe kisi ne maanga hoga..!!!



No comments:

Post a Comment