Sunday, June 30, 2013

Happy Eid Mubarak

I wish you ALL a very happy and peaceful Eid.


May Allah accept your good deeds, forgive your transgressions and


ease the suffering of all peoples around the globe.


Happy Eid Mubarak

When U Start Ur Day

When u start ur day
Keep 3words in ur pocket
TRY-TRUE-TRUST
TRY-4 better future
TRUE-wid ur work
TRUST-on Allah
then u will success in ur lifE
Gud Morng dost

parde parde mein aatab ache nahi – DaaG Dehlvi



parde parde mein aatab ache nahi
aise andaz-e-hijab ache nahi
mayakade mein ho gaye chup-chap kyon
aj kuch mast-e-sharab ache nahi
ae falak kya hai zamane ke bisat
dam-ba-dam ke inqalab ache nahi
bazm-e-vaiz be-sharan ache nahi
aise jalase be-sharab ache nahi
tauba kar lain hum may-o-mashuq se
be-maza hain ye savab ache nahi
ik najumi “dag” se kehta tha aj
aap ke din ae janab ache nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :DaaG Dehlvi



Saturday, June 29, 2013

Sardar Susar Se

Sardar Apne Susar Se:


Mennu Jahez Vich Motercycle Chayi Di Ay.


Susar: Paen yakka…!!!


Tenu Poray Pind Di Taxi Dey Diti Ay,


Hun V Motercyle Di Ksr Ay?

Friday, June 28, 2013

Payaas Kehti Hai K Ab Rait Nichori

Payaas Kehti Hai K Ab Rait Nichori Jaye

Apne Hissy Me Samandar Nahi Ane Wala...

Payaas Kehti Hai

Thursday, June 27, 2013

Yaaden To Teri Chor K Jati Nahi

Yaaden To Teri Chor K Jati Nahi Mujhe
Dil Hi Faqt Udass Hai Wese To Theek Hun...

Yaaden To Teri Chor

Wednesday, June 26, 2013

Eas¡ly be punched

Somet¡mes l¡ttle th¡ngs hurts:-)


> No reply from ur loved_ones


> Ignorance of class_teacher


> Laugh¡ng of fr¡ends at u


> Shout¡ng of b¡g_brother


> When ur best_fr¡end busy with another fr¡end


> When ur S¡s tells ur secrets to Mom


> When l¡ttle brother don’t give u chips that he brought at home


> When u express ur feelings to some_one spec¡al but she does’nt try to understand.


S¡mply, but True.


Heart is very soft, it can eas¡ly be punched…

faraz poetry sms

”’ Tum  Is Shehr k Khuloos se waqif nai faraz….”’


”’ Ye to mohsin ko bi sar-e-aam saza dete hain …. ”’

Tuesday, June 25, 2013

aamad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost – Mirza Ghalib



aamad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost


ae dil na’aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kon la sakata hai tab-e-jalva-e-didar-e-dost


khana viransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost


ishq mein bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun aakhir garche tha bimar-e-dost


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Kashmir Lahu Kashmir Lahu



Kashmir Laho


Ik Khwab Ki Hay Tabeer Laho
Sifaak Adad,Shamsheer Lahu
Wadi Ki Fiza Dil Geer Lahu
Har Ban Pe Hai Zanjeer Lahu
Wadi Ki Fighaa Shab Geer Lahu
Aur Subah Ki Hai Tanveer Lahu


Kyon Dharti Ki Hai Tasveer Lahu
Muslim Ki Kyon Jageer Lahu



Aaa Dekh, Hain Ranjhe Heer Lahu
Har Ghaat Pe Hai Nakhcheer Lahu
Har Simt Hai Daar O Geet Lahu
Zaalim Ki Har Ek Tadbeer Lahu
Pewast Ba Seena Teer Lahu
Tuflaa Keliye Hai Sheer Lahu
Hontoon Pe Dua,Taseer Lahu
Hai Likhi Gayi Taqdeer Lahu


Har Bacha Jawan Aur Peer Lahu
Kashmir Ki Hai Tauqeer Lahu
Har Saaz O Wafa Kashmir Lahu
Har Jheel Sifa Kashmir Lahu
Wo Kehta Hai Kashmir Lahu
Mai Kehta Hoon Kashmir Lahu


Kashmir Lahu Kashmir Lahu
Kashmir Lahu Kashmir Lahu


Poet :
Raahi



Monday, June 24, 2013

Meri Aankhon mai Aansoo aye na hotay



tumblr_mw3jhp8zrF1sy2geto1_500


Meri Aankhon mai Aansoo aye na hotay,
Wo humay dekh kar muskuraye na hotay,


Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,


Na tarapte hum unke liye itna,
Dill na khawab unke sajaye na hote,


Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….



Mere Haathon Ki Lakeeron Mein - Mohsin Naqvi Poetry

Mohsin Naqvi Sad Poetry

Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Ye Aaib Chupa Hai 'Mohsin'
Mein Jis Shaks Ko Chu Loon, Wo Mera Nahi Rehta...!

Tumhain Udaas Pata Hoon



Tumhain Udaas Pata Hoon Main Kai Din Sey
Na Jane Koun Sey Sadmey Utha Rahi Ho Tum
Wo Shokhiyaan, Wo Tabassum, Wo Qehqahey Na Rahey
Har Aik Cheez Ko Hasrat Sey Dekhti Ho Tum
Chupa Chupa K Khamoshi Main Apni Be-Chaini
Khud Apney Raaz Ki Tash’heer Ban Gaii Ho Tum

Meri Umeed Agar Mit Gaii Tu Mitne Do
Umeed Kya Hay? Bas Ik Paish-O Pas Hay Kuch Bhi Nahi
Meri Hayyat Ki Ghum-Giniyoon Ka Ghum Na Karo
Ghum-E Hayyat Ghum-E Yak-Nafas Hay, Kuch Bhi Nahi
Tum Apney Husn Ki Ra’naiyoon Pe Reh’m Karo
Wafa Faraib Hay, Tool-E Hawis Hay, Kuch Bhi Nahi!


Mujhe Tumhaarey Taghaful Sey Kyu Shikayat Ho
Meri Fana Merey Ehsaas Ka Taqaza Hay
Main Janta Hoon K Duniya Ka Khouf Hay Tum Ko
Mujhe Khab’r Hay Ye Duniya Ajeeb Duniya Hay
Yahan Hayyat K Pardey Main Mout Palti Hay
Shikast-E Saaz Ki Awaz Roh-E Naghma Hay


Mujhe Tumhaari Judaai Ka Koi Runj Nahi
Merey Khayyal Ki Duniya Main Merey Paas Ho Tum
Ye Tum Nay Theek Kaha Hay Tumhain Mila Na Karoon
Magar Mujhe Ye Bata Do K Kyu Udaas Ho Tum?
Khafa Na Hona Meri Jur’rat-E Takhatub Per
Tumhain Khab’r Hay Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum!!!
Mera Tu Kuch Bhi Nahi Hay, Main Ro K Jee Loon Ga
Magar Khuda K Leye Tum Aseer-E Ghum Na Raho!
Howa Hi Kya Hay Jo Zamane Nay Tum Ko Cheen Liya
Yahan Pe Koun Howa Hay Kisi Ka Socho Tu


Mujhe Kasam Hay Meri Dukh Bhari Jawaani Ki
Main Khush Hoon, Meri Mohabbat K Phool Thukra Do!
Main Apni Roh Ki Har Ik Khushi Mita Loon Ga
Magar Tumhaari Mussarrat Mita Nahi Sakta
Main Khud Ko Mout K Haathoon Main Sonp Sakta Hoon
Magar Ye Baar-E Masaib Utha Nahi Sakta
Tumhaare Ghum K Siwa Aur Bhi Tu Ghum Hain Mujhe
Nijaat Jin Sey Main Ik Lehza Bhi Pa Nahi Sakta!!!!!!


Ye Oonchey Oonchey Makanoon Ki Dev’riyoon K Taley
Har Aik Gaam Pe Bhookey Bikhariyoon Ki Sada
Har Aik Ghar Main Aflaas Aur Bhook Ka Shour
Har Aik Samt Ye Insaniyat Ki Aah-O Baka
Ye Karkhaanon Main Lohe Ka Shor-O Ghul Jin Main
Hay Daf’n Laakhoon Ghareeboon Ki Roh Ka Naghma
Ye Shahrahoon Pe Rangeen Sariyoon Ki Jhalak
Ye Jhonpriyoon Main Ghareeboon K Bekafan Laashey
Ye Maal Road Pe Caroon Ki Rail Pail Ka Shor
Ye Patriyoon Pe Ghareeboon K Zard Ro Bachey
Gali Gali Main Ye Biktey Howa Jawaan Chehrey
Haseen Aankhoon Main Afsurdagi Si Chaai Hoi


Ye Jang Aur Ye Merey Watan K Shokh Jawan
Khareedi Jaati Hain Uth’ti Jawaniyaan Jin Ki
Ye Baat Baat Pe Qanoon-O Zabtey Ki Girift
Ye Zillatain, Ye Ghulaami, Ye Door-E Majbori
Ye Ghum Bohat Hain Meri Zindagi Mitaane Ko
Udaas Reh K Merey Dill Ko Aur Runj Na Do!!!



Sunday, June 23, 2013

Naughty Sms Jokes Urdu

Son : Padosi ki ladki ko english nahi ati


Father: Tujhe kese pata?


Son : “GIVE ME SWEET KISS”


kaha 2 thappad marti hai


Urdu Naughty Sms

Saturday, June 22, 2013

IndiCation of SinCerity

“The One who compares you with others is not aware of ur worth coz


the IndiCation of SinCerity arises fr0m the conCept of yOu being MatchLess”

Friday, June 21, 2013

Tum Khush-Naseeb Ho K Khushi Muft Mil Gai

Tum Khush-Naseeb Ho K Khushi Muft Mil Gai

Hum Ne Libada Gham Ka Bhi Pehna Khareed Kar...

Tum Khush-Naseeb

Thursday, June 20, 2013

Wo Narm Labon Ka Dheery Se Kehna

Ufff... Wo Narm Labon Ka Dheery Se Kehna
Koi Dekh Na Le, Ab Nazar Hata Bhi Lo...

Wo Narm Labon

Yeh Zindagi Bas Tumhare Liye Hai



Hum Dil Dy Chuke Sanam
Wo Pyar Ka Sabub Diya Karte Thi
Khud Ro Kr Mujhe Menaya Krti Thi
Yeh Zindgi Bs Tumhare Liye Hay
Is Baat Ka Ehsaas Dilaya Krti Thi
Sone Ki Fursaat Kise Thi Woh
Sari Raat Jagya Krti Thi
Becheni Jub Had Sy Ziyda Barh Jati Thi
Woh Je Bhar K Gale Lagya Krti Thi
Woh Je Bhar K Gale Lagya Krti Thi
Woh Itna Pyar Krne Wale Badal Gye
Jo Zindgi Bhar Sat Nibhane Ka Wada Kya Krti Thi….



Koi Poochta Hai Mujh Se Meri Zindagi Ki Qeemat

Koi Poochta Hai Mujh Se Meri Zindagi Ki Qeemat

Mujhe Yaad Aa jata hai Tera Halka Sa Muskarana...

Koi Poochta Hai

Wednesday, June 19, 2013

Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai



Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai


Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai


Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai


Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai


Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai


Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai


Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai



Tuesday, June 18, 2013

Yunhi Waqt Guzar Jaega

Naraz Rehte Rehte Yunhi Waqt Guzar Jaega
Door Hone k Baad Koi Boht Yaad Aaega
Jee Lo Ye Pal Jab Tak Hum Sath Hen
D0ST
Kal Ka Kia Pata Waqt Kahan Le Jaega.!

Aankhon Me Raha Dil Me Utar Kar Nahi Dekha

Aankhon Me Raha Dil Me Utar Kar Nahi Dekha

Kashti K Musafir Ne Samandar Nahi Dekha

Be-Waqt Agar Jaunga Sab Chonk Parein Ge

Ek Umer Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hun Meri Manzil Pe Nazar Hai

Aankhon Ne Kabhi Meel Ka Pathar Nahi Dekha

Ye Phool MUjhe Koi Warasat Me Mile Hain

Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahi Dekha

Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala

Me Mom Hun Us Ne Mujhee Choo Kar Nahi Dekha...

Aankhon Me Raha

Aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum – Akhtar ul Iman



aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum


aati nahi kaheen se dil-e-zinda ke sada
sune pade hain kucha-o-bazar ishq ke
hai shama-e-anjuman ka naya husn-e-jan gudaz
shayad nahi rahe wo patangon ke valvale
taza na rakh sakegi rivayat-e-dasht-o-dar
wo fitnasar gaye jinhen kanten aziz the


ab kuch nahi to nind se aankhen jalayen hum
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manayen hum


socha na tha ki aayega ye din bhi phir kabhi
ik bar hum mile hain zara muskura to lain
kya jane ab na ulfat-e-derina yad aaye
is husn-e-ikhtiyar pe aankhen jhuka to lain
barasa labon se phul teri umr ho daraz
sanbhale hue to hain par zara dagamaga to lain


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar ul Iman



Monday, June 17, 2013

Kitne Jaldi Door Chale Jate Hain Wo Log

Kitne Jaldi Door Chale Jate Hain Wo Log

Jinhe Hum Zindagi Samajh Kar Kabhi Khona Nahi Chahte...

Kitne Jaldi Door Chale

Sunday, June 16, 2013

Have I Ever Told You Honey

Have I Ever Told You Honey,


That You Mean The World To Me,



That I’ve Never Felt So Much Love,


In My Entire Life.



Have I Ever Told You Honey,


That My Love For You Wil Never End,



That I Will Go On Loving You,


Till My Very Last Breath.



Have I Ever Told You Honey,


That When Ever I Am With You Dear,



I Feel So Happy And Blessed,


I Feel So Much More Than What I’m.



Have I Ever Told You Honey,


That You Are My Everything O Angel,



And That Someday I Hope To Be,


Next To You In Your Strong Arms.



Have I Ever Told You Honey,


That I Only Want You In This Life,



That No One Else Can Replace You,


That You Are The Only One For Me.



Have I Ever Told You Honey,


That It’s You Who Owns My Heart,



And When I Am With You I Feel Like,


I’m Never Gonna Fall Apart.



Have I Ever Told You Honey,


That You Are Always On My Mind,



And When I’m Thinking Of You,


I Blush Because You Are All Mine.



Have I Ever Told You Honey,


That I Love You With All My Heart



And That No Matter What Happens,


From You I Will Never Part.



Have I Ever Told You Honey,


That You Mean Happiness To Me,



And That When I Look At Myself,


You Are All I Ever See Sweets.



Have I Ever Told You Honey,


You’re The Only One I Wanna Be With,



That When Ever I Close My Eyes,


You’re The Only Picture In My Mind.



Have I Ever Told You Honey,


With You I Find Myself Alive And,



That I’ve Never Felt Before,


And I’ve Never Felt A Love Like This,



Have I Ever Told You Honey,


Yes I Have,But Still Let Me Say It,



You Are My Dream Come True


And From All My Heart I Love You

Soraj Ki Pehli Kiran

Soraj ki pehli kiran
Din ka pehla pehar
Panchion ki pehli chehchahat
Dhanak ka pehla rang
Hawa ki dandi sansanahat
Subha ka pehla khomar
GOOD MORING
HAVE NICE DAY

Saturday, June 15, 2013

I Have Learned That

I have learned that only two things are necessary to keep ones wife happy.
First, let her think shes having her own way.
And second, let her have it.

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin' - Mohsin Naqvi Poetry

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin'

Ajab Haalqa-e-Ahbab Hai Muqadir Main 'Mohsin'
Qadam Qadam Pe Mera Maan Toot Jata hai.....

Dedicated to all my friends

Dictionary is the only place where


1.death comes before life
2.End comes before start
3.child comes before parents
4.divorce comes before marriage
5.Evening comes before morning
6.Result comes before Test
7.Destination comes before struggle
8.Dinner comes before lunch
9.Doctor comes before fever.


But the thing i consider right in dictionary is that


10.FRIEND COMES BEFORE RELATIVE.


Dedicated to all my friends.

Teri sanson ki thakan

Tere honton pe tabasum ki wo halki si lakeer..
Mere takhayul mai reh reh k jhalak uthti hy..
Yon achank tere aaraz ka khayal ata hy..
Jaise zulmat mai koi shama bharak uthti hy..


Tere perhan e rangen ki janoon khez mehak..
Khawb bn bn k mere zehan mai lehrati hy..
Rat ko sard khamoshi mai hr ik jhonke se..
Tere anfaas, tere jism ki aanch ati hy..


Mai sulagte hoe razon ko ayan to kr dn..
Lykin in razon ki tasheer se g drta hy..
Rat k khawab ujale mai bayan to kr dn..
In haseen khawabn ki tahber se g drta hy..


Teri sanson ki thakan, teri nigahon ka sakoot..
Darhaqeqat koi rangeen shararat hy na ho..
Mai jise pyar ka andaz smj betha hn..
Wo tabasum, wo takalum teri adat hy na ho..


Kahen aisa na ho paon mere thara jayen..
Aur teri marmari bahon ka sahara na mile..
Ashk behte rahen khamosh, siyah raaton main..
Aur tere reshmi anchal ka kinara na mile.

Look Outside Its So Romantic

Look outside its so romantic…
The cloud is hugging you,
With a cold wind,
The star singing for you,
The moon dancing for you,
Because i invite them all to wish you,
Good Night, Have a lovely Dreams and Sleep Well.

Friday, June 14, 2013

I Love you

Love is not about how much you say I Love You
but how much you can prove that its true

Christmas Is A Holy Night

Christmas is a holy night…


A Star of Wonder,
A Breath of Heaven…


A Perfect Child,
a Fathers gift…


And a World Forever Blessed.
Merry Christmas

Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun - Quran Islamic Poetry

Quran Islamic Poetry

Roman Urdu - Quran Islamic Poetry

Mujh Ko Bhi Parh, Kitaab Hun, Mazmoon-e-Khas Hun, 
Maana Tere Nisaab Mein Shamil Nahi Hun Mein….

Nisaab = Course

Urdu Shayari - Islamai Shayari

مجھ کو بھی پڑھ کتاب ہوں مضمون خاص ہوں 
مانا کہ تیرے نصاب میں  نہیں ہوں میں 

Wapis Aya To Na Dhoond Saka Humein

Wapis Aya To Na Dhoond Saka Humein

Galat Samjh Kar Kho Diya Tha Jis Ne...

Wapis Aya To Na

Thursday, June 13, 2013

Sache dil se dua

Lady Teacher:Agar sache dil se God se dua ki jaye to woh puri hoti hai..
.
.
.
Pappu: Rehne do madam Agar aisa hota to Aaj aap waha nahi,
.
.
.
.
meri Bahon me hoti… 😉

Wednesday, June 12, 2013

JUMA k Din

JUMA
k Din GhusaL 1 hafte K Gunahon Ka Kuffara hai


JUMA
ko Nakhun tarashna Bemari Se Hifazat hai


JUMA
ko Durud Se Behter koi Zikr Nhi
“Jumä Mubärìk”

Parhne Walon Ka Qehat Hai Warna - Aansu Shayari

Parhne Walon Ka Qehat Hai Warna,
Girte Aansu Kitab Hote Hain….

Girte Aansu

Tuesday, June 11, 2013

Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch

Nazar Se Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Me Rehna

Kisi K Paas Rehne Ka Tareeka Ho To Aisa Ho...

Nazar Se Door Reh

Dil De To Is Mizaaj Ka Parvar Digaar De

Dil De To Is Mizaaj Ka Parvar Digaar De

Jo Ranj Ki Ghari Bhi Khushi Se Guzaar De...

Dil De To Is Mizaaj

Definition Of Girlfriends

IAS 59 ”Girlfriends”
Definition: A girlfriend is a current asset as a result of past efforts and events that is probable to generate future Dates, Gifts and much more.
If not properly handled, may become long term liability i.e ”Wife” :-S.

Monday, June 10, 2013

Dil ki Qeemat To Muhabbat K Siwa Kuch Na

Dil ki Qeemat To Muhabbat K Siwa Kuch Na Thi

Jitne Bhi Mile Surat K Khareedar Mile...

Dil ki Qeemat To

Is Qaid Ka Elaahi Dukhra Kise Sunaun

Is Qaid Ka Elaahi Dukhra Kise Sunaun

Dar Hai Yahin Qafas Me Gham Se Na Mar Jaun...

Is Qaid Ka Elaahi

Assi Panchi Tere Baagan De



Assi Panchi Tere Baagan De
Kise Hor Baag Nai Beh Sakde
Tere Haaseyan Ton Jind Vaar Deiye
Par Dukh Tere Nai Seh Sakde
Duniya Chaahe Saanu Lakh Chad De
Asi Bas Tere Baajo Nai Reh Sakde
Sadi Khamoshi Samjh Sake Tan Samaj Lavi Jashan
Har Ik Gal Jubaano Nai Keh Sakde



Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan - 2 Lines Poetry

Wafa-Dard-Poetry

2 Lines Poetry

Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal-e-Dil Pe Nazar Kahan,
Tu Jafa Ki Had Mein Na Aa Saka, Me Wafa Ki Had Se Guzar Gaya…!

Sunday, June 9, 2013

It is Eid today



It is Eid today! It is Eid today!
I can see the tiny new moon
Up there, in the heavenly sky,
Surrounded by beautiful twinkling stars!
Heralding the happy coming of Eid,
It is Eid today!
Thank you, Almighty Allah!
For giving us so much happiness,
For the moon and the stars
And everything we have,
The glad tidings of the season
That reminds us of your Greatness,
The acts of purification we undergo
To show you our loyalty,
The prayers we say
To seek from you Blessings
On this occasion of Eid,
Which brings so much joy.
It is Eid Today!



Share with us more .. Eid mubarik poetry ..in comments section below



Rahe Salamat Zindagi Unki

Rahe Salamat! Zindagi Unki Jo Meri Khushi Ki Faryad Karte Hain,


Aye Khuda Unki Zindagi Khusiyon Se Bhar De,


Jo Mujhe Duaon me Yaad Karty Hain.

Saturday, June 8, 2013

Mere Mehbob Mujhe Hausla Dey



Mere Mehbob Mujhe Hausla Dey
Main Tuut Rahi Hoon


Zindagi Se Haar Ney Lagi Hoon
Sans Ke Bikhrney Ka Intezar Hai


Tera Pyar Jo Kab Se Mere Sahara Tha
Us Ke Chutney Ka Ghum Mujhe Jeene Nahin Deyta



Meri Himat Kaheen Kho Gai Hai
Tera Samna Karne Ka Yara Nahin Hai


Tujhe Chor Ke Jana Mushkil Hai
Kash Ke Is Se Qabil Meri Jaan Nikal Jaye


Yeh Akhri Saal Mulakaat Ka
Meri Zindagi Ka Akhri Saal Ban Jaaye



Sometimes People Grow Together



Baby
Sometimes People Grow Together Slowly,
As Trees Reach Across An Old Stone Wall,
Entangling Roots And Crossing Slender Branches
Till One Can Barely Tell Which Comes From Which.
You’ve Become My Life Slowly,
As Music, Often Played, Lives In The Heart,
Shaping Its Surroundings To Its Beauty,
Mirroring The Sanctum Of Its Source.
I’ve Come To This Realization Slowly,
As A Deer Stands At A Clearing, Nostrils Wide,
Quivers Rippling Down Its Delicate Legs,
Eyes Resigned As Lakes Await The Wind.
Say, My Love, What You Must Tell Me Slowly,
Whether My Love Is Also Yours, As The Sun
Rises Or Sets Over A Tranquil Valley,
Filling The Heart With More Than It Can Hold.


I Love You



Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Achcha Laga



Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Achcha Laga,
Sabse Chhup Kar Woh Kisi Ka Dekhna Achcha Laga,


Surmayi Aankhon Ke Neeche Phool Se Khilne Lage,
Kehte Kehte Kuch Kisi Ka Sochna Achcha Laga,


Baat To Kuch Bhi Nahi Thi Lekin Uska Ek Dum,
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Achcha Laga,

Us Rooh-E-Jaan Ko Aaj Bura Kaise Kahu,
Jab Bhi Aaya Saamne Woh Be-Wafa Achcha Laga..!!



Jaan Se Pyari Jaan Ne Hume Chhod Diya



Jaan Se Pyari Jaan Ne Hume Chhod Diya
Jaanker Jaan Ne Humse Muh Mod Liya


Kya Manga Tha Humne Ek Pyar Ke Siwa
Kya Huwi Khata Humse Jo Yun Dil Mera Tod Diya


Wade Hazaar Kiye Kyo Sab Todne Ke Liye
Kyo Tum Humse Mile Yun Muh Modne Ke Liye


Merker Bhi Khus Rehte Hum Tere Sang Oh Jaan Meri
Kyo Tune Mujhe Jine Ko Akele Chood Diya



Tanhaii Ne Is Ko Bhi To Ghera Tha



Tanhaii Ne Is Ko Bhi To Ghera Tha
Sir Se Lekar Paa’oo Tak Jo Mera Tha


Mai Bhi Pagal Itni Baat Na Jaan Saka
Is Ka Aana Jogi Wala Phera Tha


Maine Likha Lafz Ba Lafz Lahu Se Jisko
Wo Fasana Tera Tha Na Mera Tha


Hum Ne Jeeta Aadha Aadha Apna Aap
Laikin Mera Adha Bhi , Kab Mera Tha


Sajid Jiski Chahaat Tere Dil Mai Thi
Iske Dil Ko Aur Kisi Ne Ghera Tha


Poet : Sajid Hidayat
(Tel: +92 333 4123685)



Successful Man

A successful man is one who makes more money than his wife can spend.


A successful woman is one who can find such a man. :)

Friday, June 7, 2013

Dard se mera daman bhar de ya ALLAH – Qateel Shifai



Dard se mera daman bhar de ya ALLAH
phir chahe divana kar de ya ALLAH
main ne tujhase chand sitare kab mange
raushan dil bedar nazar de ya ALLAH
suraj si ik cheez to hum sab dekh chuke
sach-much ki ab koi sahar de ya ALLAH
ya dharti ki zakhmon par maraham rakh de
ya mera dil pathar kar de ya ALLAH




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai



Funny Friendship Urdu Sms

Freinds “BALLONS” ki tarha hotay hain


Ek dafa hath se choot jayen to wapis nai atey!!


Is Liy main sochta hoon


k


“Apki hawa nikal k apne pas rukh lon” 😉

Thursday, June 6, 2013

Tumhara Tha Tumhara Hun Tumhara Hi Rahun Ga

Tumhara Tha, Tumhara Hun, Tumhara Hi Rahun Ga

Mere Bary Me Is Darja, Galat Fehmi Me Mat Rehna...

Submitted by: Waqas Ali

Raat Gehri Thi Dar Bhi Sakte The

Raat Gehri Thi Dar Bhi Sakte The
Hum Jo Kehte The Kar Bhi Sakte The
Tum Jo Bichre Hum Se Ye Bhi Na Socha
Hum To Pagal The Mar Bhi Sakte The...

Submitted By: Atiq Ur Rehman

Wednesday, June 5, 2013

Shaiyri on national anthem



Pak sarzamin shad bad


Kishware haseen shad bad


Tunishane azmealishan arze Pakistan


Markazey yaqeen shadbad.


Pak sarzamin ka nizam quwate akhuwati awam


Qaum, mulk, Sultanat


Painda ta binda bad shad, bad man zele murad.


Parchame sitarao hilal


Rahbare tarraqio ka mal


Tarjumane mazishane hal jane istaqbal


Sayyai, khudae zul jalal.



Share with us more Shaiyri on national anthem in Comments Section below.



Tafseel Se Kese Sunain Ye Qissa - Mohabbat Shayari

Barbad-Mohabbat-Shayari

Urdu Barbad Shayari

Tafseel Se Kese Sunain Ye Qissa Mohabbat Ka?
Ke Tum Masroof Ho Ab Tak Hame Barbad Karne Me..!

Bana bana ke tamanna mitai jati hai – Shakeel Badayuni



Bana bana ke tamanna mitai jati hai
tarah tarah se wafa aazamai jati hai


jab un ko meri muhabbat ka aitabar nahi
to jhuka jhuka ke nazar kyon milai jati hai


hamare dil ka pata wo hamen nahi dete
hamari cheez hamin se chupai jati hai


‘shakeel’ duri-e-manzil se na-ummid na ho
manzil ab aa hi jati hai ab aa hi jati hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shakeel Badayuni



Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'

Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'

Chalay ho saath to Himmat na haarna 'Wasif'
Ke Manziloon ka tasawar mere safar me nahi...!

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko



Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko


Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko


Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko


Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko


Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko


Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko


Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko


Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko



Tuesday, June 4, 2013

Very interesting & meaningful msg



Very interesting & meaningful msg to share:


If:
A B C D E F G H I J K LM N O P Q R S T U V W X Y Z
is equal to:
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25 26


Then,


H+A+R+D+W+O+R+K ;
8+1+18+4+23+15+18+11=98%


K+N+O+W+L+E+D+G+E ;
11+14+15+23+12+5+4+7+5=96%


L+O+V+E;
12+15+22+5 = 54%


L+U+C+K ;
12+21+3+11 = 47%


None of them makes 100%. Then what makes 100%?


Is it Money? NO!


M+O+N+E+Y= 13+15+14+5+25=72%


Leadership? NO!


L+E+A+D+E+R+S+H+I+P= 12+5+1+4+5+18+19+8+9+16=97%


Every problem has a solution, only if we perhaps change our “ATTITUDE”…


A+T+T+I+T+U+D+E ;
1+20+20+9+20+21+4+5 = 100%


It is therefore OUR ATTITUDE towards Life and Work that makes
OUR Life 100% Successful.


Amazing mathematics


Beautiful msg to share:
Do you agree that we have 26 alphabets in English, as given below


A = 1 ; B = 2 ; C = 3 ; D = 4 ;
E = 5 ; F = 6 ; G = 7 ; H = 8 ;
I = 9 ; J = 10 ; K = 11 ; L = 12 ;
M = 13 ; N = 14 ; O = 15 ; P = 16 ;
Q = 17 ; R = 18 ; S = 19 ; T = 20 ;
U = 21 ; V = 22 ; W = 23 ; X =24 ;
Y = 25 ; Z = 26.


With each alphabet getting a number, in chronological order, as above, study the following, and bring down the total to a single digit and see the result yourself


Hindu –
S h r e e K r i s h n a
19+8+18+5+5+11+18+9+19+8+14+1=135=9


Muslim
M o h a m m e d
13+15+8+1+13+13+5+4=72=9


Jain
M a h a v i r
13+1+8+1+22+9+18=72=9


Sikh
G u r u N a n a k
7+21+18+21+14+1+14+1+11 =108 =9


Parsi
Z a r a t h u s t r a
26+1+18+1+20+8+21+19+20+18+1=153=9


Buddhist
G a u t a m
7+1+21+20+1+13=63=9


Christian
E s a M e s s i a h
5+19+1+13+5+19+19+9+1+8=99=18=9


Each one ends with number 9


THAT IS NATURE’S CREATION TO SHOW THAT GOD IS ONE !!!


 ye msg jisne bhi create kiya..wo great person hai….thousands likes to this msg



Ja Puttar Ek Glass Pani Le Ke Aa

Sardar to Son: Ja Puttar ek glass pani le ke aa
Son: Sorry abba mai nahi ja sakda
2nd Son: Abba ae te hai e chawal, to aap le ke aa

You are my only valentine

V….is for Valentine ; you are my only Valentine
A…..is for I will Always be yours
L…..is for Love at its most extreme
E…..is for Everlasting love ; Ecstatic love.
N…..is for Never-ending love
T…..is for we will Always be Together forever
I…..is for you being Intelligent and Innocent;
N….is 4 Natures naughty way of saying I luv you to
E…..is for Eternity our love is so ever lasting .

Ye Rim Jim Ye Barish

Ye Rim Jim Ye Barish, Ye Awargi Ka Mosam


Hmare Bas Mai Hota Tu Tere Pass Chale Aate

Monday, June 3, 2013

Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai



Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
Tujhe Ai Zindagii Kyaa Ho Gayaa Hai


Badii Zaalim Nihaayat Bevafaa Hai
Ye Duniyaa Phir Bhii Kitanii Khush-Numaa Hai


Har Ik Apane Hii Gam Mein Mubtilaa Hai
Kisii Ke Dard Se Kaun Aashnaa Hai


Mere Naqqaad Merii Shaayarii To
Mere Tuute Huye Dil Kii Sadaa Hai


Kahaan Huun “Shad” Main To Shaad Saa Huun
Vo Shaad-E-Khush-Navaa To Mar Chukaa Hai



Jumy k Din

Jumy k Din


AsaR Ki NAMAZ


k Baad


Farishte Zameen Pr Sone k wark


or


Chandi k Kalam


Sy Durood PAK


Parhnay walon k Naam Likhty Hain


Juma k Din Suraj Ghurob Hony Tk Jitna Ho Saky


Durood Sharif


Prhiye


or


Ye sms 4word Kr dain


koi is neki Se Mehroom Na Rahy


ALLAH Apko


iska Ajar ATA FARMAYE AMEEN.


“JUMMA MUBARAK”

Taqdeer ne is dil

“…”…Taqdeer ne is dil pe itne zakhm lagaye hain…” *,,DOST,,*


“k”jab muskrane ko je chahta hai to aansu nikal ate hain.

Sunday, June 2, 2013

Littar tenu pain

Ansoo tere diggan te akh meri rovey


Satt tenu lagey dard menu hovey


Rab karey saadi dosti inni gehri hovey


Littar tenu pain te galti meri hovey..hahaha

Khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye the – Jagannath Azad



khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ke khabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the


jaise gulashan mein dabe paon bahar aati hai
patti patti ke liye leke nikhar aati hai
aur phir waqt wo aata hai ke har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-gubar aati hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the


jis tarah mahv-e-safar ho koi virane mein
aur raste mein kaheen koi khiyaban aa jaye
chand lamhon mein khiyaban ke guzar jane par
samane phir vohi duniya-e-biyaban aa jaye
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jagannath Azad



Bari Mushkil Se Hota Hai Teri Yaadon Ka

Bari Mushkil Se Hota Hai Teri Yaadon Ka Karobar
Munafa Kam Hi Hai Lekin Guzara Ho Hi Jata Hai...

Bari Mushkil Se

Saturday, June 1, 2013

Feel the depth

Feel the depth of this sentence:


“God does not like the hardness of Tongue and Heart….


That’s why He made them boneless”

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho – Bashir Badr



Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat navaz de magar uske bad sahar na ho
wo bada rahim-o-karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare
tujhe bhulane ke dua karun to dua mein meri asar na ho
mere bazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khvab hai chandani
na uthe sitaron ke palaki, abhi aahaton ka guzar na ho
ye gazal ki jaise hiran ke aankhon mein pichali raat ke chandani
na bujhe kharabe ke roshani, kabhi becharag ye ghar na ho
wo firaq ho ya visal ho, teri yaad mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kya, jo chirag ban ke jala na ho
kabhi dhup de, kabhi badaliyan, dil-o-jan se donon qubul hain
magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ke hawa na ho
kabhi din ke dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko choom ke
yun hi sath sath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho
mere pas mere habib aa zara aur dil ke qarib aa
tujhe dhadakanon mein basa lun main ke bichadane ka kabhi dar na ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr