Saturday, June 15, 2013

Teri sanson ki thakan

Tere honton pe tabasum ki wo halki si lakeer..
Mere takhayul mai reh reh k jhalak uthti hy..
Yon achank tere aaraz ka khayal ata hy..
Jaise zulmat mai koi shama bharak uthti hy..


Tere perhan e rangen ki janoon khez mehak..
Khawb bn bn k mere zehan mai lehrati hy..
Rat ko sard khamoshi mai hr ik jhonke se..
Tere anfaas, tere jism ki aanch ati hy..


Mai sulagte hoe razon ko ayan to kr dn..
Lykin in razon ki tasheer se g drta hy..
Rat k khawab ujale mai bayan to kr dn..
In haseen khawabn ki tahber se g drta hy..


Teri sanson ki thakan, teri nigahon ka sakoot..
Darhaqeqat koi rangeen shararat hy na ho..
Mai jise pyar ka andaz smj betha hn..
Wo tabasum, wo takalum teri adat hy na ho..


Kahen aisa na ho paon mere thara jayen..
Aur teri marmari bahon ka sahara na mile..
Ashk behte rahen khamosh, siyah raaton main..
Aur tere reshmi anchal ka kinara na mile.

No comments:

Post a Comment