Tuesday, May 21, 2013

Jan-e-afasana yahi kuch bhi ho afasane ka naam – Anand Narain Mullah



jan-e-afasana yahi kuch bhi ho afasane ka naam
zindagi hai dil ke dhadakan tez ho jane ka naam
qatara qatara zindagi ke zeher ka pina hai gham
aur khushi hai do ghadi pi kar bahak jane ka naam
intazar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nur
aur bahar-e-bag leti hi nahi aane ka naam
tab-e-nakami nahi to aarzoo karta hai kya
aarzoo hai mauj ke sahil se takarane ka naam
aj tu kal koi aur hoga sadar-e-bazm-e-may
saqiya tujh se nahi hum se hai maikhane ka naam
vaqif-e-“mullah” na thi bazm-e-khirad, ye tay hua
ho na ho, ye hai kisi mashahur divane ka naam



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Anand Narain Mullah



No comments:

Post a Comment