Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
Vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad
Mai.n kaise aur kis simt mo.Dataa Khud ko
Kisii ki chaah na thii dil me.n terii chaah ke baad
Zamiir kaa.Np to jataa hai aap kuchh bhii kahe.n
Vo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad
KaTii huii thii.n tanaabe.n tamaam rishto.n kii
Chhupaataa sar mai.n kahaa.N tujhase rasm-o-raah ke baad
Khatuut kar diye vaapas magar merii nii.nde.n
I.nhe.n bhii chho.D do ik raham kii nigaah ke baad
aaine men yun to apne aap ko aksar chhua
baad tere yun laga jaise koi patThar chhua
jaise kankad ke girne se ho sakit jheel men
woh bikhar kar reh gaya nazron ne jo manzar chhua
kam se kam itna raha he tere gham ka aihtaraam
ke muskuraahat ne labon ko faasla rakh kar chhua
aaj men dar par khud maujood kuch pehle se tha
lekin uski aahaton ne door hi se dar chhua
neend se aankhon ki khatpat thi par kya kijiye
khawaab ne jab bhi dastak di jism ne bistar chhua
jaam uthaana aur pi jana to koson duur tha
ungliyan jalne lagin jab gair ka saagar chhua
Share with us more Shaiyari by bihari poet in Comments Section below.
No comments:
Post a Comment