Diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye zid, ki aj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamen kis qadar hai, kya kahiye
rahe hai yun gah-o-begah ke ku-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma ke yun de rakha hai hamako fareb
ki bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh ke karte hain bazar mein wo pursish-e-hal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kya kahiye
tumhen nahi hai sar-e-rishta-e-vafa ka khayal
hamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen saval pe zaom-e-junun hai, q ladiye
hamen javab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kije
sitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kis ne ki “ghalib” bura nahi lekin
sivay isake ki aashuftasar hai kya kahiye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment