Thursday, January 12, 2012

Samajha tha main mujhe kisi qabil bana diya – Siraj Lucknawi



Samajha tha main mujhe kisi qabil bana diya
ye kya kiya ki dard ko phir dil bana diya
gham ne tagaiyurat ke qabil bana diya
jo dard apni had se badha dil bana diya
itane mugalate diye ummid-o-bim ne
sahil ko mauj mauj ko sahil bana diya
itni kadi nigah se dekha na kijiye
har rishta-e-nazar ko rag-e-dil bana diya
ye kya banane wale tere jee mein aa gai
bijli bana raha tha magar dil bana diya
har zarra rahguzar ka to hira nahi ‘siraj’
jis mein salahiyat thi use dil bana diya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Siraj Lucknawi



No comments:

Post a Comment