Friday, January 6, 2012

Khusbouon Ki Tarha Meri

Khusbouon ki tarha meri har saans mein
pyaar apna basane ka wada karo
rang jitne tumhari mohabbat ke hain
mere dil mein sajane ka wada karo


hai tumhari wafaon pe mujhko yakeen
phir bhi dil chahta hai mere dil nasheen
yoonhi meri tasalli ki khatir zara
mujhko apna banane ka wada karo


jab mohabbat ka iqrar karte ho tum
dhadkano mein naya rang bharte ho tum
baarha kar chukay ho, magar aaj phir
mujhko apna banane ka wada karo


sirf lafzon se iqrar hota nahi
ik janib se hi pyaar hota nahi
main tumhein yaad rakhne ki khaoon kasam
tum mujhko na bhulane ka wada karo

No comments:

Post a Comment