Kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aayi hai
faza-e-murda-e-dil mein bahar aayi hai
zarur teri gali se guzar hua hoga
ki aj bad-e-saba beqarar aayi hai
koi dimag tasavvur bhi jin ka kar na sake
ye jan-e-zar wo lamahen guzar aayi hai
khuda gavah ki un ke firaq mein “kausar”
jo sans aayi hai wo sogavar aayi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kausar Niyazi
No comments:
Post a Comment